Shayari
hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
zakhm bhi ab hasin lagte hain
tere haathon fareb khaane par
زخم بھی اب حسین لگتے ہیں
تیرے ہاتھوں فریب کھانے پر
ज़ख़्म भी अब हसीन लगते हैं
तेरे हाथों फ़रेब खाने पर

hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
tire vajud ko chhu le to phir mukammal ho
bhaTak rahi hai khushi kab se dar-ba-dar mujh mein
kal tire ehsaas ki baarish tale
meraa sunaa-pan nahaayaa der tak
miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa
mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage
maaro patthar bhi to nahin hiltaa
jam chukaa hai ab is qadar paani
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte
jaan kar us but kaa ghar kaaba ko sajda kar liyaa
ai barahman mujh ko baitullaah ne dhokaa diyaa
mujh ko na dil pasand na vo bevafaa pasand
donon hain khud-gharaz mujhe donon hain naa-pasand
bevafaai pe teri ji hai fidaa
qahr hotaa jo baa-vafaa hotaa
muddat se main safar mein huun vahm-o-gumaan ke saath
ye raasta tamaam fareb-e-nazar na ho
jo milaa us ne bevafaai ki
kuchh ajab rang hai zamaane kaa
kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid khaa rahaa huun
hazaar-haa naqsh aarzu ke banaa rahaa huun miTaa rahaa huun