Shayari
is qadar unchi hui divaar-e-nafrat har taraf
aaj har insaan se insaan ki paziraai gai
main akelaa huun tu bhi tanhaa hai
ham bhi kitne hain be-sahaare dekh
میں اکیلا ہوں تو بھی تنہا ہے
ہم بھی کتنے ہیں بے سہارے دیکھ
मैं अकेला हूँ तू भी तन्हा है
हम भी कितने हैं बे-सहारे देख

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tu koi gham hai to dil mein jagah banaa apni
tu ik sadaa hai to ehsaas ki kamaan se nikal
kisi ke lauTne ki jab sadaa suni to khulaa
ki mere saath koi aur bhi safar mein thaa
hanste hue chehron se hamein hoti hai vahshat
ham log udaasi ke shajar DhunD rahe hain