Shayari
iid mein iid hui aish kaa saamaan dekhaa
dekh kar chaand jo munh aap kaa ai jaan dekhaa
jab kisi ne haal puchaa ro diyaa
chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diyaa
جب کسی نے حال پوچھا رو دیا
چشم تر تو نے تو مجھ کو کھو دیا
जब किसी ने हाल पूछा रो दिया
चश्म-ए-तर तू ने तो मुझ को खो दिया

iid mein iid hui aish kaa saamaan dekhaa
dekh kar chaand jo munh aap kaa ai jaan dekhaa
naazuk thaa bahut kuchh dil meraa ai 'shaad' tahammul ho na sakaa
ik Thes lagi thi yuun hi si kiyaa jald ye shisha TuuT gayaa
talab karein bhi to kyaa shai talab karein ai 'shaad'
hamein to aap nahin apnaa muddaaa maalum
dekhaa kiye vo mast nigaahon se baar baar
jab tak sharaab aai kai daur ho gae
dil-e-muztar se puchh ai raunaq-e-bazm
main khud aayaa nahin laayaa gayaa huun
izhaar-e-muddaaa kaa iraada thaa aaj kuchh
tevar tumhaare dekh ke khaamosh ho gayaa