Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
apne khuun kaa un pe kyuun daavaa kiyaa
ai dil-e-naadaan ye tu ne kyaa kiyaa
اپنے خوں کا ان پہ کیوں دعویٰ کیا
اے دل ناداں یہ تو نے کیا کیا
अपने ख़ूँ का उन पे क्यूँ दा'वा किया
ऐ दिल-ए-नादाँ ये तू ने क्या किया
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat aise ki 'bedaar' sakht mushkil hai
jo apni jaan se guzre vo us ki chaah kare
sab luTaa ishq ke maidaan mein uryaan aayaa
rah gayaa paas mire daaman-e-sahraa baaqi
zaraa baahon ke halqe aur kas lo
mohabbat saans lenaa chaahti hai
yuun mohabbat kaa badal kuchh bhi nahin
sochtaa huun itnaa haq de duun tumhein