Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
sochte hain ki bari khud ko karoge kaise
ham na boleinge magar dard sunaai deinge
سوچتے ہیں کہ بری خود کو کرو گے کیسے
ہم نہ بولیں گے مگر درد سنائی دیں گے
सोचते हैं कि बरी ख़ुद को करोगे कैसे
हम न बोलेंगे मगर दर्द सुनाई देंगे

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kitnaa hi dard-o-gham ho shikaayat na kijiye
varna huzur aap mohabbat na kijiye
naachti hai jab tu apne dilrubaa andaaz se
aafrin ke naghme uThte hain dilon ke saaz se