Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
kitnaa hi dard-o-gham ho shikaayat na kijiye
varna huzur aap mohabbat na kijiye
کتنا ہی درد و غم ہو شکایت نہ کیجیے
ورنہ حضور آپ محبت نہ کیجیے
कितना ही दर्द-ओ-ग़म हो शिकायत न कीजिए
वर्ना हुज़ूर आप मोहब्बत न कीजिए
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tere siine mein bhi ik daagh hai tanhaai kaa
jaantaa main to kabhi duur na hotaa tujh se
gham ki duniyaa rahe aabaad 'shakil'
muflisi mein koi jaagir to hai
ghair ko dard sunaane ki zarurat kyaa hai
apne jhagDe mein zamaane ki zarurat kyaa hai