Shayari
ham taalib-e-shohrat hain hamein nang se kyaa kaam
badnaam agar honge to kyaa naam na hogaa
shaayad isi kaa naam mohabbat hai 'sheftaa'
ik aag si hai siine ke andar lagi hui
شاید اسی کا نام محبت ہے شیفتہؔ
اک آگ سی ہے سینے کے اندر لگی ہوئی
शायद इसी का नाम मोहब्बत है 'शेफ़्ता'
इक आग सी है सीने के अंदर लगी हुई

ham taalib-e-shohrat hain hamein nang se kyaa kaam
badnaam agar honge to kyaa naam na hogaa
itni na baDhaa paaki-e-daamaan ki hikaayat
daaman ko zaraa dekh zaraa band-e-qabaa dekh
izhaar-e-ishq us se na karnaa thaa 'sheftaa'
ye kyaa kiyaa ki dost ko dushman banaa diyaa
hazaar daam se niklaa huun ek jumbish mein
jise ghurur ho aae kare shikaar mujhe
jis lab ke ghair bose lein us lab se 'sheftaa'
kambakht gaaliyaan bhi nahin mere vaaste
fasaane yuun to mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh
baDhaa bhi dete hain ham zeb-e-daastaan ke liye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil ki zamin par miri 'ishq hai dasht-e-daaimi
hijr-o-visaal sab ke sab mausamiyaati haadse
ham aur farhaad bahr-e-ishq mein baaham hi kuude the
jo us ke sar se guzraa aab meri taa-kamar aayaa
yaa husn hai naa-vaaqif-e-pindaar-e-mohabbat
yaa ishq hi aasaani-e-atvaar mein gum hai
tu dard bhi duaa bhi tu zakhm bhi davaa bhi
shikve bhi hain tujhi se aur pyaar bhi tujhi se