Shayari
ham taalib-e-shohrat hain hamein nang se kyaa kaam
badnaam agar honge to kyaa naam na hogaa
izhaar-e-ishq us se na karnaa thaa 'sheftaa'
ye kyaa kiyaa ki dost ko dushman banaa diyaa
اظہار عشق اس سے نہ کرنا تھا شیفتہؔ
یہ کیا کیا کہ دوست کو دشمن بنا دیا
इज़हार-ए-इश्क़ उस से न करना था 'शेफ़्ता'
ये क्या किया कि दोस्त को दुश्मन बना दिया

ham taalib-e-shohrat hain hamein nang se kyaa kaam
badnaam agar honge to kyaa naam na hogaa
itni na baDhaa paaki-e-daamaan ki hikaayat
daaman ko zaraa dekh zaraa band-e-qabaa dekh
hazaar daam se niklaa huun ek jumbish mein
jise ghurur ho aae kare shikaar mujhe
shaayad isi kaa naam mohabbat hai 'sheftaa'
ik aag si hai siine ke andar lagi hui
jis lab ke ghair bose lein us lab se 'sheftaa'
kambakht gaaliyaan bhi nahin mere vaaste
fasaane yuun to mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh
baDhaa bhi dete hain ham zeb-e-daastaan ke liye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
marnaa to bahut sahal si ik baat lage hai
jiinaa hi mohabbat mein karaamaat lage hai
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain
sulh-e-kul mein miri guzre hai mohabbat ke biich
na to takraar hai kaafir se na din-daar se bahs
aai hai tire ishq ki baazi dil-o-jaan par
is vaqt nazar kab hai mujhe sud-o-ziyaan par