Shayari
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
aankh se kis ne raushni maangi
khvaab ke naam zindagi maangi
آنکھ سے کس نے روشنی مانگی
خواب کے نام زندگی مانگی
आँख से किस ने रौशनी माँगी
ख़्वाब के नाम ज़िंदगी माँगी
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
'aarif'-husain dhokaa sahi apni zindagi
is zindagi ke baa'd ki haalat bhi hai fareb
taa-umr tiraa naqsh-e-farozaan rahe mujh mein
ik zakhm ki surat mire maathe pe ubhar jaa
aansu ponchhe dukh baanTe insaanon ke
main ne bhi to saari 'umr 'ibaadat ki