Shayari
dekh ai meri zabun-haali pe hansne vaale
vaqt ki dhuup ne kis darja nikhaaraa mujh ko
taa-umr tiraa naqsh-e-farozaan rahe mujh mein
ik zakhm ki surat mire maathe pe ubhar jaa
تا عمر ترا نقش فروزاں رہے مجھ میں
اک زخم کی صورت مرے ماتھے پہ ابھر جا
ता-उम्र तिरा नक़्श-ए-फ़रोज़ाँ रहे मुझ में
इक ज़ख़्म की सूरत मिरे माथे पे उभर जा

dekh ai meri zabun-haali pe hansne vaale
vaqt ki dhuup ne kis darja nikhaaraa mujh ko
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
bas itnaa rabt kaafi hai mujhe ai bhulne vaale
tiri soi hui aankhon mein akasr jaagtaa huun main
kis ki tanvir se jal uTThe basirat ke charaagh
kis ki tasvir ye aankhon se lagaai gai hai
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi ik imtihaan hai imtihaan kaa Dar nahin
ham andheron se guzar kar raushni kahlaaeinge
zindagi kis tarah kaTegi 'saif'
raat kaTti nazar nahin aati
vo bhi na aayaa umr-e-guzishta ke misl hi
ham bhi khaDe rahe dar-o-divaar ki tarah
koi hayaat ke maani bataa ke samjhaae
tavil kyaa hai bhalaa mukhtasar kaa kyaa matlab