Shayari
main jis ke saath kai din guzaar aayaa huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin kartaa
koi kamre mein aag taaptaa ho
koi baarish mein bhigtaa rah jaae
کوئی کمرے میں آگ تاپتا ہو
کوئی بارش میں بھیگتا رہ جائے
कोई कमरे में आग तापता हो
कोई बारिश में भीगता रह जाए

main jis ke saath kai din guzaar aayaa huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin kartaa
teraa chup rahnaa mire zehn mein kyaa baiTh gayaa
itni aavaazein tujhe diin ki galaa baiTh gayaa
apni masti mein bahtaa dariyaa huun
main kinaara bhi huun bhanvar bhi huun
daastaan huun main ik tavil magar
tu jo sun le to mukhtasar bhi huun
vo jis ki chhaanv mein pachchis saal guzre hain
vo peD mujh se koi baat kyuun nahin kartaa
sahraa se ho ke baagh mein aayaa huun sair ko
haathon mein phuul hain mire paanv mein ret hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
yuun barasti hain tasavvur mein puraani yaadein
jaise barsaat ki rim-jhim mein samaan hotaa hai