Shayari
abhi to baat karo ham se doston ki tarah
phir ikhtilaaf ke pahlu nikaalte rahnaa
yuun barasti hain tasavvur mein puraani yaadein
jaise barsaat ki rim-jhim mein samaan hotaa hai
یوں برستی ہیں تصور میں پرانی یادیں
جیسے برسات کی رم جھم میں سماں ہوتا ہے
yuuñ barastī haiñ tasavvur meñ purānī yādeñ
jaise barsāt kī rim-jhim meñ samāñ hotā hai

abhi to baat karo ham se doston ki tarah
phir ikhtilaaf ke pahlu nikaalte rahnaa
aakhri hichki tire zaanun pe aae
maut bhi main shaairaana chaahtaa huun
apne haathon ki lakiron mein sajaa le mujh ko
main huun teraa tu nasib apnaa banaa le mujh ko
nikal kar dair-o-kaaba se agar miltaa na but-khaana
to Thukraae hue insaan khudaa jaane kahaan jaate
kyuun sharik-e-gham banaate ho kisi ko ai 'qatil'
apni suuli apne kaandhe par uThaao chup raho
ab jis ke ji mein aae vahi paae raushni
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
us ne mujh ko yaad farmaayaa yaqinan
jism mein aayaa huaa hai zalzala saa
jabhi to umr se apni ziyaada lagtaa huun
baDaa hai mujh se kai saal tajraba meraa
dil se ik yaad bhulaa di gai hai
kisi ghaflat ki sazaa di gai hai
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin naayaab hain ham
jo yaad na aae bhuul ke phir ai ham-nafaso vo khvaab hain ham
yaad karnaa har ghaDi tujh yaar kaa
hai vazifa mujh dil-e-bimaar kaa