Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
kyaa gham agar yazid rahaa eqtidaar mein
parcham to phir husain kaa mir-e-avaam hai
کیا غم اگر یزید رہا اقتدار میں
پرچم تو پھر حسین کا میر عوام ہے
क्या ग़म अगर यज़ीद रहा इक़्तिदार में
परचम तो फिर हुसैन का मीर-ए-अवाम है
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham-o-karb-o-alam se duur apni zindagi kyuun ho
yahi jiine kaa saamaan hain to phir in mein kami kyuun ho
gham na apnaa na ab khushi apni
yaani duniyaa badal gai apni
kahaan rah jaae thak kar rah-navard-e-gham khudaa jaane
hazaaron manzilein hain manzil-e-aaraam aane tak