Shayari
tum us ke paas ho jis ko tumhaari chaah na thi
kahaan pe pyaas thi dariyaa kahaan banaayaa gayaa
main tire husn kaa shaidaai nahin ho saktaa
roz baTti hui khairaat se Dar lagtaa hai
میں ترے حسن کا شیدائی نہیں ہو سکتا
روز بٹتی ہوئی خیرات سے ڈر لگتا ہے
मैं तिरे हुस्न का शैदाई नहीं हो सकता
रोज़ बटती हुई ख़ैरात से डर लगता है

charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
khairaat mein de aayaa huun jiiti hui baazi
duniyaa ye samajhti hai ki main haar gayaa huun