Shayari
main tire husn kaa shaidaai nahin ho saktaa
roz baTti hui khairaat se Dar lagtaa hai
tumhaare khat mein nazar aai itni khaamoshi
ki mujh ko rakhne paDe apne kaan kaaghaz par
تمہارے خط میں نظر آئی اتنی خاموشی
کہ مجھ کو رکھنے پڑے اپنے کان کاغذ پر
तुम्हारे ख़त में नज़र आई इतनी ख़ामोशी
कि मुझ को रखने पड़े अपने कान काग़ज़ पर

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'baaqi' jo chup rahoge to uTTheingi ungliyaan
hai bolnaa bhi rasm-e-jahaan bolte raho
ho gae chup hamein paagal kah kar
jab kisi ne bhi na samjhaa ham ko
teri har baat pe chup rahte hain
ham saa patthar bhi koi kyaa hogaa
chappa chappa us ki gali kaa rahaa hai mere zer-e-qadam
josh-e-junun se azm-e-safar tak ek kahaani biich mein hai
in se vaabasta hai miraa bachpan
main khilaunon ki qadr kartaa huun