Shayari
kisi ke honT par khili hansi ki main asiir huun
luTi hui mohabbaton ki dekh lo nazir huun
us ki ujli peshaani se itni vahshat hoti hai
us se mil kar pahron khud ko taariki mein rakhti huun
اس کی اجلی پیشانی سے اتنی وحشت ہوتی ہے
اس سے مل کر پہروں خود کو تاریکی میں رکھتی ہوں
उस की उजली पेशानी से इतनी वहशत होती है
उस से मिल कर पहरों ख़ुद को तारीकी में रखती हूँ

kisi ke honT par khili hansi ki main asiir huun
luTi hui mohabbaton ki dekh lo nazir huun
rang badlaa huaa hai maujon kaa
kaun utraa thaa aaj paani mein
do roz se chhan-chhan pe badan naach rahaa hai
paanv se ajal ke koi paazeb utaare
ik baar jis ko dil se nikaalaa hai ham ne phir
us ko kisi bhi dil mein rasaai nahin mili
ghabraa gai huun yaar hujum-e-butaan se main
ab aahu-e-nigaah ko sahraa-e-hu dikhaa
us ki aankhon ne hatheli pe lahu chhiDkaa hai
tab kahin jaa ke chaDhaa rang-e-hinaai mujh par
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
'shujaaa' maut se pahle zarur ji lenaa
ye kaam bhuul na jaanaa baDaa zaruri hai
sabhi zindagi pe farefta koi maut par nahin shefta
sabhi sud-khor to ho gae hain koi paThaan nahin rahaa
aankhon ke sab moti daane aaine hain baatin ke
ghar kaa bhedi lanka Dhaae main bhi sochun tu bhi soch
moti piro ke zulf mein akhtar banaa diye
tu ne andheri raat mein taare dikhaa diye
kyon koi kokh jo suuni ho vo sharminda ho
kyaa zaruri hai ki har siip se moti nikle