Shayari
rang badlaa huaa hai maujon kaa
kaun utraa thaa aaj paani mein
kisi ke honT par khili hansi ki main asiir huun
luTi hui mohabbaton ki dekh lo nazir huun
کسی کے ہونٹ پر کھلی ہنسی کی میں اسیر ہوں
لٹی ہوئی محبتوں کی دیکھ لو نظیر ہوں
किसी के होंट पर खिली हँसी की मैं असीर हूँ
लुटी हुई मोहब्बतों की देख लो नज़ीर हूँ

rang badlaa huaa hai maujon kaa
kaun utraa thaa aaj paani mein
do roz se chhan-chhan pe badan naach rahaa hai
paanv se ajal ke koi paazeb utaare
ik baar jis ko dil se nikaalaa hai ham ne phir
us ko kisi bhi dil mein rasaai nahin mili
ghabraa gai huun yaar hujum-e-butaan se main
ab aahu-e-nigaah ko sahraa-e-hu dikhaa
us ki ujli peshaani se itni vahshat hoti hai
us se mil kar pahron khud ko taariki mein rakhti huun
us ki aankhon ne hatheli pe lahu chhiDkaa hai
tab kahin jaa ke chaDhaa rang-e-hinaai mujh par
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nikal gayaa miri aankhon se misl-e-khvaa-o-khayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
abhi aaghaaz-e-ulfat hai chalo ik kaam karte hain
bichhaD kar dekh lete hain bichhaD kar kaisaa lagtaa hai
hazaaron ghar hue hain is se viraan
rahe aabaad sarkaar-e-mohabbat
sunaa haal-e-dil-e-'majruh' shab ko
koi hasrat si hasrat thi bayaan mein