Quote
"aaj 'anjum' muskura kar us ne phir dekha mujhe shikva-e-jaur-o-jafa phir bhuul jaana hi paDa"

Anjum Manpuri
aaj 'anjum' muskura kar us ne phir dekha mujhe
आज 'अंजुम' मुस्कुरा कर उस ने फिर देखा मुझे
na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat
न पूछ उस की दिल-अफ़्सुर्दगी की कैफ़िय्यत
vatan ke log satate the jab vatan men the
वतन के लोग सताते थे जब वतन में थे
ye do-dili men raha ghar na ghaaT ka 'anjum'
ये दो-दिली में रहा घर न घाट का 'अंजुम'
kaam 'anjum' ka jo tamam kiya ye aap ne vaqa.i khuub kiya
काम 'अंजुम' का जो तमाम किया ये आप ने वाक़ई ख़ूब किया
"aaj 'anjum' muskura kar us ne phir dekha mujhe shikva-e-jaur-o-jafa phir bhuul jaana hi paDa"
"na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat jo gham-nasib khushi men bhi muskura na saka"
"vatan ke log satate the jab vatan men the vatan ki yaad satati hai jab vatan men nahin"
"ye do-dili men raha ghar na ghaaT ka 'anjum' buton ko kar na saka khush khuda ko pa na saka"
"kaam 'anjum' ka jo tamam kiya ye aap ne vaqa.i khuub kiya kam-bakht isi ke laa.eq tha ab aap abas pachhtate hain"
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
vatan ke log sataate the jab vatan mein the
vatan ki yaad sataati hai jab vatan mein nahin
na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat
jo gham-nasib khushi mein bhi muskuraa na sakaa
aaj 'anjum' muskuraa kar us ne phir dekhaa mujhe
shikva-e-jaur-o-jafaa phir bhuul jaanaa hi paDaa
kaam 'anjum' kaa jo tamaam kiyaa ye aap ne vaaqai khuub kiyaa
kam-bakht isi ke laaeq thaa ab aap abas pachhtaate hain
vaaiz ki kaDvi baaton ko kab dhyaan mein apne laate hain
वाइ'ज़ की कड़वी बातों को कब ध्यान में अपने लाते हैं
adu to kyaa ye falak bhi use sataa na sakaa
अदू तो क्या ये फ़लक भी उसे सता न सका
dil bhar aayaa phir bhi raaz-e-dil chhupaanaa hi paDaa
दिल भर आया फिर भी राज़-ए-दिल छुपाना ही पड़ा