"ye aansu be-sabab jaari nahin hai mujhe rone ki bimari nahin hai"

Kaleem Aajiz
Kaleem Aajiz
Sherशेर
See all 67 →ye aansu be-sabab jaari nahin hai
ये आँसू बे-सबब जारी नहीं है
bhala aadmi tha pa nadan nikla
भला आदमी था प नादान निकला
khamoshi men har baat ban jaa.e hai
ख़मोशी में हर बात बन जाए है
mai-kade ki taraf chala zahid
मय-कदे की तरफ़ चला ज़ाहिद
apna dil sina-e-ash.ar men rakh dete hain
अपना दिल सीना-ए-अशआर में रख देते हैं
tumhen yaad hi na aa.uun ye hai aur baat varna
तुम्हें याद ही न आऊँ ये है और बात वर्ना
Popular Sher & Shayari
134 total"bhala aadmi tha pa nadan nikla suna hai kisi se mohabbat kare hai"
"khamoshi men har baat ban jaa.e hai jo bole hai divana kahla.e hai"
"mai-kade ki taraf chala zahid sub.h ka bhula shaam ghar aaya"
"apna dil sina-e-ash.ar men rakh dete hain kuchh haqiqat bhi zaruri hai fasane ke liye"
"tumhen yaad hi na aa.uun ye hai aur baat varna main nahin huun duur itna ki salam tak na pahunche"
daaman pe koi chhinT na khanjar pe koi daagh
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho
zaalim thaa vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majbur the ham us se mohabbat bhi bahut thi
dard aisaa hai ki ji chaahe hai zinda rahiye
zindagi aisi ki mar jaane ko ji chaahe hai
na jaane ruuTh ke baiThaa hai dil kaa chain kahaan
mile to us ko hamaaraa koi salaam kahe
rakhnaa hai kahin paanv to rakkho ho kahin paanv
chalnaa zaraa aayaa hai to itraae chalo ho
miraa haal puchh ke ham-nashin mire soz-e-dil ko havaa na de
bas yahi duaa main karun huun ab ki ye gham kisi ko khudaa na de
Ghazalग़ज़ल
jab sabaa aai idhar zikr-e-bahaar aa hi gayaa
जब सबा आई इधर ज़िक्र-ए-बहार आ ही गया
zakhmon ke nae phuul khilaane ke liye aa
ज़ख़्मों के नए फूल खिलाने के लिए आ
yahi bekasi thi tamaam shab usi bekasi mein sahar hui
यही बेकसी थी तमाम शब उसी बेकसी में सहर हुई
miri masti ke afsaane raheinge
मिरी मस्ती के अफ़्साने रहेंगे
judaa jab tak tiri zulfon se pech-o-kham nahin honge
जुदा जब तक तिरी ज़ुल्फ़ों से पेच-ओ-ख़म नहीं होंगे
dard kab dil mein mehrbaan na rahaa
दर्द कब दिल में मेहरबाँ न रहा





