SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMahirul Qadri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yusufi gar nahin mumkin to zulekhaai kar un se paidaa koi taqrib-e-shanaasaai kar pahle har gham ki mohabbat mein paziraai kar chaak phir daaman-e-tamkin-o-shakebaai kar ru-ba-ru un ke miraa haal sunaane vaale apni jaanib se bhi kuchh haashiya-aaraai kar na tamannaa na tiri yaad na gham ho na khushi kabhi aisaa bhi ataa aalam-e-tanhaai kar meri qismat mein hain patthar tiri qismat mein hain phuul apni shohrat se na andaaza-e-rusvaai kar sab mire haal-e-pareshaan kaa uDaate hain mazaaq ai gham-e-dost miri hausla-afzaai kar"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"chashm-e-nam par muskuraa kar chal diye aag paani mein lagaa kar chal diye saari mahfil laDkhaDaati rah gai mast aankhon se pilaa kar chal diye gard-e-manzil aaj tak hai be-qaraar ik qayaamat hi uThaa kar chal diye meri ummidon ki duniyaa hil gai naaz se daaman bachaa kar chal diye mukhtalif andaaz se dekhaa kiye sab ki nazrein aazmaa kar chal diye gulsitaan mein aap aae bhi to kyaa chand kaliyon ko hansaa kar chal diye vajd mein aa kar havaaein rah gaiin zer-e-lab kuchh gungunaa kar chal diye vo fazaa vo chaudhvin ki chaandni husn ki shabnam giraa kar chal diye vo tabassum vo adaaein vo nigaah sab ko divaana banaa kar chal diye kuchh khabar un ki bhi hai 'maahir' tumhein aap to ghazlein sunaa kar chal diye"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"kuchh is tarah nigaah se izhaar kar gae jaise vo mujh ko vaaqif-e-asraar kar gae iqraar kar diyaa kabhi inkaar kar gae be-khud banaa diyaa kabhi hushyaar kar gae yak-taai-e-jamaal ki hairat na puchhiye har maa-sivaa ke vahm se be-zaar kar gae kuchh is adaa se jalva-e-maani ki sharh ki mere khayaal-o-fikr ko bekaar kar gae allaah re un ke jalva-e-rangin ki fitratein saare jahaan ko naqsh-ba-divaar kar gae vaade kaa un ke zikr hi 'maahir' fuzul hai tum kyaa karoge vo agar inkaar kar gae"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"maanaa maqaam-e-ishrat-e-hasti buland hai main dil ko kyaa karun ki use naa-pasand hai tum ko hijaab mujh ko tamaasha pasand hai meri nazar tumhaari nazar se buland hai allaah re dil ki ishq mein divaana-vaariyaan adnesha-e-ziyaan hai na khauf-e-gazand hai aankhon mein aa chuki hai mohabbat ki vaardaat tufaan-e-be-panaah piyaalon mein band hai ab un kaa intikhaab karegaa ye faisla ulfat buland hai ki tamannaa buland hai 'maahir' azal mein dil ne kiyaa gham kaa intikhaab un ki khataa nahin hai ye dil ki pasand hai"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"ehsaas-e-khushi miT jaataa hai afsurda tabiat hoti hai dil par vo ghaDi bhi aati hai jab gham ki zarurat hoti hai do harf bhi mere sun na sake tum itne kyuun bezaar hue main ne tumhein apnaa samjhaa thaa apnon se shikaayat hoti hai ye sud-o-ziyaan ke paimaane ye jhuTe sachche afsaane in ahl-e-havas ki baaton se badnaam mohabbat hoti hai ik dusri botal aane tak ye durd-e-tah-e-saaghar hi sahi aur tishna-e-mai betaab na ho saaqi ko nadaamat hoti hai 'maahir' ki saada baaton se allaah bachaataa hai rakkhe khud to ye baDe hi hazrat hain auron ko nasihat hoti hai"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"abhi dasht-e-karbalaa mein hai buland ye taraana yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasaana tiraa kaam tan ki puujaa miraa kaam man ki sevaa mujhe justuju yaqin ki tujhe fikr-e-aab-o-daana mire shauq-e-muztarib se hai ravaan nizaam-e-hasti jo Thahar gai mohabbat to Thahar gayaa zamaana vo faqih-e-ku-e-baatin hai adu-e-din-o-millat kisi khauf-e-duniyavi se jo taraash de fasaana tiraa khaar-o-khas pe takiya miraa ishq par bharosa mujhe barq se mohabbat tujhe khauf-e-aashiyaana mire jazb-e-dil ko 'maahir' koi kyaa samajh sakegaa miri shaairi ki had se abhi duur hai zamaana"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"saaqi ki navaazish ne to aur aag lagaa di duniyaa ye samajhti hai miri pyaas bujhaa di ek baar tujhe aql ne chaahaa thaa bhulaanaa sau baar junun ne tiri tasvir dikhaa di is baat ko kahte hue Darte hain safine tufaan ko khudi daaman-e-saahil ne havaa di maanaa ki main paamaal huaa zakhm bhi khaae auron ke liye raah to aasaan banaa di utni to mai-e-naab mein garmi nahin hoti saaqi ne koi chiiz nigaahon se milaa di vo chain se baiThe hain mire dil ko miTaa kar ye bhi nahin ehsaas ki kyaa chiiz miTaa di ai baad-e-chaman tujh ko na aanaa thaa qafas mein tu ne to miri qaid ki miaad baDhaa di le de ke tire daaman-e-ummid mein 'maahir' ek chiiz javaani thi javaani bhi luTaa di"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"vo hans hans ke vaade kiye jaa rahe hain fareb-e-tamannaa diye jaa rahe hain tiraa naam le kar jiye jaa rahe hain gunaah-e-mohabbat kiye jaa rahe hain mire zakhm-e-dil kaa muqaddar to dekho nigaahon se Taanke diye jaa rahe hain na kaali ghaTaaein na phulon kaa mausam magar piine vaale piye jaa rahe hain tiri mahfil-e-naaz se uThne vaale nigaahon mein tujh ko liye jaa rahe hain mire shauq-e-didaar kaa haal sun kar qayaamat ke vaade kiye jaa rahe hain harim-e-tajalli mein zauq-e-nazar hai nigaahon se sajde kiye jaa rahe hain abhi hai asiri kaa aaghaaz 'maahir' abhi to faqat par siye jaa rahe hain"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"taghaaful par bhi un se dil ko ik vaabastagi hogi mohabbat ne mohabbat ki nazar pahchaan li hogi miri jaanib kisi din be-iraada uTh gai hogi nigaah-e-naaz ko phir bhi bahut zahmat hui hogi ye 'aadat hai hasinon ki to is 'aadat ko kyaa kahiye ki jis se dosti hogi usi se dushmani hogi vahaan bhi kashmakash paai vahi saudaagari dekhi main samjhaa thaa ki maikhaane mein duniyaa dusri hogi sitaare chaand suraj sham' sab ko aazmaa dekhaa vo jab tashrif laaeinge to ghar mein raushni hogi bahaar aane to do tum dekh lenaa ai chaman vaalo miri divaangi mein bhi baDi shaaistagi hogi abhi un se ta'alluq hai nigaahon se nigaahon tak kabhi vo muskuraaeinge kisi din baat bhi hogi jahaan Thahraa huaa saa hai fazaa badli hui si hai mire saaqi ne paimaane ki gardish rok di hogi jahaan pahle nasheman thaa vahaan ab phul-patte hain magar aasaar kahte hain yahaan bijli giri hogi ye raaz-e-mai-kada sab ko nahin maa'lum ai 'maahir' tavajjoh chashm-e-saaqi ki ba-qadr-e-tishnagi hogi"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"fursat-e-aaghi bhi di lazzat-e-be-khudi bhi di maut ke saath saath hi aap ne aagahi bhi di soz-e-darun ataa kiyaa jurat-e-aashiqi bhi di un ki nigaah-e-naaz ne gham hi nahin khushi bhi di us ne niyaaz-o-naaz ke saare varaq ulaT diye dast-e-khalil bhi diyaa sanat-e-aazri bhi di phir bhi miri nigaah mein donon jahaan siyaah the meri shab-e-firaaq ko chaand ne raushni bhi di aap ne ik nigaah mein sab ko nihaal kar diyaa phuul ko muskuraahaTein mauj ko bekali bhi di chhin lo mujh se dosto taaqat-e-arz-e-muddaaa us ne mizaaj-e-yaar ko daavat-e-barhami bhi di daam-e-taayyunaat mein diida o dil ulajh gae soz-e-yaqin ke saath saath lazzat-e-kaafri bhi di maahir'-e-dil-fagaar par aap ki ye navaazishein fitrat-e-aashiqi bhi di daulat-e-shaairi bhi di"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"agar fitrat kaa har andaaz bebaakaana ho jaae hujum-e-rang-o-bu se aadmi divaana ho jaae karam kaisaa sitam se bhi na vo begaana ho jaae main Dartaa huun mohabbat mein kahin aisaa na ho jaae mujhe us anjuman mein baar paa kar is pe khadsha hai miraa andaaz-e-betaabi na gustaakhaana ho jaae nigaah-e-mast saaqi ki tilism-e-rang-o-masti hai kahin paimaana ban jaae kahin mai-khaana ban jaae yahaan bhi kuchh nigaahein tishna-e-didaar hain saaqi idhar bhi ek daur-e-nargis-e-mastaana ho jaae main us mahfil ki tohmat kis tarah aakhir uThaaungaa khamoshi bhi jahaan afsaana-dar-afsaana ho jaae naqaab ulTe hue ik roz agar vo khud chale aaein siyah-khaana miraa 'maahir' tajalli-khaana ho jaae"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"ai nigaah-e-dost ye kyaa ho gayaa kyaa kar diyaa pahle pahle raushni di phir andheraa kar diyaa aadmi ko dard-e-dil ki qadr karni chaahiye zindagi ki talkhiyon mein lutf paidaa kar diyaa us nigaah-e-shauq ki tira-afagni rakkhi rahi main ne pahle us ko majruh-e-tamaashaa kar diyaa un ki mahfil ke tasavvur ne phir un ki yaad ne mere gham-khaana ki raunaq ko do-baalaa kar diyaa mai-kade ki shaam aur kaanpte haathon mein jaam tishnagi ki khair ho ye kis ko rusvaa kar diyaa"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"har nafas mein dil ki betaabi baDhaate jaaiye duur rah kar bhi mire nazdik aate jaaiye ik zaraa tham tham ke ye parde uThaate jaaiye dekhne vaalon ki nazrein aazmaate jaaiye mere is zulmat-kade ko jagmagaate jaaiye ho sake to meri khaatir muskuraate jaaiye phir isi andaaz se nazrein milaate jaaiye dekhne vaalon ki nazrein aazmaate jaaiye yaa koi taskin ki surat bataate jaaiye yaa phir apni yaad se ghaafil banaate jaaiye rafta rafta khud ko divaana banaate jaaiye husn ki dilchaspiyon ke kaam aate jaaiye aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye kufr o imaan ke sivaa bhi kuchh manaazir aur hain un ke har andaaz par imaan laate jaaiye aa hi jaaegaa koi qismat kaa maaraa qais bhi har taraf umm-e-rukh-e-lailaa bichhaate jaaiye main ne kuchh fitrat hi paai hai ajab mushkil-pasand meri har mushkil ko mushkil-tar banaate jaaiye yaad hai 'maahir' mujhe un kaa vo kahnaa yaad hai aaj to bas raat bhar ghazlein sunaate jaaiye"
Mahirul QadriMahirul Qadri