SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNafas Ambalvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"thakan se tan-badan TuuTaa paDaa hai masaafat ko magar rasta paDaa hai lahu se tar-ba-tar hain paanv lekin hamein har haal mein chalnaa paDaa hai yahaan main tishnagi se jaan-balab huun udhar milon abhi sahraa paDaa hai koi saansein bhalaa kab tak kharide ye saudaa to bahut mahngaa paDaa hai ye raat ab tak nahin suljhi hai mujh se udhar din bhi abhi uljhaa paDaa hai main aakhir ab ise kaise sanbhaalun yahaan to ghar kaa ghar bikhraa paDaa hai bahut bechain saa rahtaa huun din-bhar sunaa hai gaanv mein sukhaa paDaa hai bulaataa hai mujhe aavaaz de kar vo mere ghar kaa jo malba paDaa hai miraa chandaa gayaa pardes jab se ye ghar aangan bahut suunaa paDaa hai bahut bezaar se lagte ho tum bhi asar tum par 'nafas' gahraa paDaa hai"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"kaun si shaakh kaa pattaa thaa haraa bhuul gayaa peD se Tuut ke main apnaa pata bhuul gayaa main koi vaa’da-faraamosh nahin huun phir bhi mujh pe ilzaam hai main apnaa kahaa bhuul gayaa apne bachchon ke khilaune to use yaad rahe ghar mein bimaar paDi maan ki davaa bhuul gayaa kar to diin main ne charaaghon ki qataarein raushan hai zamaane ki magar tez havaa bhuul gayaa khauf-e-dozakh se Daraataa rahaa vaa'iz mujh ko aur khud apne gunaahon ki sazaa bhuul gayaa tujh se kuchh kaam thaa lekin tire ghar ke aage ab khaDaa soch rahaa huun ki main kyaa bhuul gayaa be-khudi had se jo guzri to main ik roz 'nafas' ghar se kyaa niklaa ki phir ghar kaa pata bhuul gayaa"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"baazi agarche ziist ki ham haar to gae lekin jo dil pe naqsh the aazaar to gae kitne shanaavaron ko ye dariyaa nigal gayaa tughyaaniyon mein duub ke ham paar to gae baarish kaa zor hai mire khasta makaan par lagtaa hai ab ke ye dar-o-divaar to gae ham log ab qadim numaaish ki chiiz hain baazaar se ab apne kharidaar to gae vo darmiyaan ghazal ke jo uTh kar chalaa gayaa ai bazm-e-shaa'iri tire me'yaar to gae lagtaa hai ab ke jaan hi jaaegi ek din is shaa'iri ke shauq mein ghar-baar to gae chal ai 'nafas' ki ham bhi kahin aur jaa basein do-chaar the jo shahr mein gham-khvaar to gae"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"pahle samundaron mein utaaraa gayaa mujhe phir pyaas ki hadon se guzaaraa gayaa mujhe dekhaa to kuchh nahin thaa vahaan dasht ke sivaa phir bhi lagaa ki jaise pukaaraa gayaa mujhe 'umr-e-ravaan ne puchh liyaa mujh se ek din kyon be-dili ke saath guzaaraa gayaa mujhe pahle vo meri maut pe khud mutmain huaa phir daar se zamin pe utaaraa gayaa mujhe baazi ko jitne ki havas mein bisaat par afsos jaan-bujh ke haaraa gayaa mujhe yuun hi main us ki bazm se uTh kar nahin gayaa dar-asl pahle us kaa ishaara gayaa mujhe kuchh main bhi tez-gaam nahin thaa kuchh ai 'nafas' pur-khaar raaston se guzaaraa gayaa mujhe"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"jitne bhi aae zinat-e-baazaar ho gae ik ham hi the jo saahib-e-kirdaar ho gae jhuTon pe tere shahr mein ilzaam tak nahin aur ham ne sach kahaa to gunahgaar ho gae jab bhi kahin charaagh jalaa hai sukut-e-shab sab log aandhiyon ke taraf-daar ho gae vo zaalimon ke saath hain mazlum be-amaan kaise hamaare ahd ke akhbaar ho gae khatre mein hai ab apne qabile ki aabru jo mukhbiron mein the vahi sardaar ho gae Tapkaa lahu 'nafas' ke badan se to yuun huaa qatre jahaan-jahaan gire ash'aar ho gae"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"jab se naa-daanon ne khud ko faani kahnaa chhoD diyaa ham ne apni hairat ko hairaani kahnaa chhoD diyaa dariyaa teri 'azmat par bhi ye ilzaam to aaegaa aakhir pyaase logon ne kyon paani kahnaa chhoD diyaa socho kitni maayusi kaa mausam hai is basti mein logon ne be-maa'ni ko be-maa'ni kahnaa chhoD diyaa meraa in tufaanon se to bas itnaa saa jhagDaa hai main ne tez havaaon ko tufaani kahnaa chhoD diyaa jin ki raa'naai ke pichhe sau-sau jhuuT ki partein hain ham ne aise chehron ko nuraani kahnaa chhoD diyaa maanaa us ne sabz fazaaein sahraa sahraa kar Daalin tum ne kyon viraani ko viraani kahnaa chhoD diyaa mere gham kaa shaayad tum ko is se kuchh andaaza ho main ne us ki chunar ko ab dhaani kahnaa chhoD diyaa"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"na jaane kab ki dabi talkhiyaan nikal aaiin zaraa si baat thi aur barchhiyaan nikal aaiin huaa ye ham pe andheron ki saazishon kaa asar hamaare zehn mein bhi khiDkiyaan nikal aaiin mujhe navaaz di maulaa ne phuul si beTi mire hisaab mein kuchh nekiyaan nikal aaiin vo peD jis pe qazaa ban ke bijliyaan TuTin sunaa hai us pe hari pattiyaan nikal aaiin badalti rut mein ye kam-zarfiyon kaa aalam hai bilon se pankh liye chyunTiyaan nikal aaiin khudaa ke vaaste ab to safar tamaam karo ki ab qafas se bhi to ungliyaan nikal aaiin ye moajiza hi to hai ai 'nafas' ki tufaan mein samundaron se sabhi kashtiyaan nikal aaiin"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"yuun nahin thaa ki tirgi kam thi dhuup se apni dosti kam thi khvaahishon ke hujum the lekin apne hisse mein zindagi kam thi tum na aae to bas huaa itnaa kal charaaghon mein raushni kam thi haan vo hans kar nahin milaa phir bhi us ki baaton mein be-rukhi kam thi gham use bhi na thaa bichhaDne kaa meri aankhon mein bhi nami kam thi kuchh taghaaful-mizaaj thaa saaqi aur kuchh apni pyaas bhi kam thi us kaa lahja to khuub thaa lekin us ke sheron mein shaairi kam thi kyuun mujhe de gayaa vo sannaaTe kyaa mire ghar mein khaamushi kam thi"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"itni mushkil mein kabhi pahle to jaan aai na thi ai mohabbat jab miri tujh se shanaasaai na thi zindagi mein sainkaDon gham the tire gham ke sivaa dil mein viraane to the par itni tanhaai na thi rahguzar thi haadse the faasla thaa dhuup thi barhana-paai thi lekin aabla-paai na thi bach ke tufaan se kisi surat nikal aae magar ham vahaan Duube jahaan dariyaa mein gahraai na thi ai masihaa dekhne niklaa thaa main teraa nizaam har taraf tu thaa magar teri masihaai na thi apne zakhmon ki numaaish be-hison ke shahr mein is dil-e-muztar ki naadaani thi daanaai na thi"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"jo dasht mein milaa thaa mujhe itnaa yaad hai meraa hi naqsh-e-paa thaa mujhe itnaa yaad hai phir kyaa huaa kabhi miri barbaadiyon se puchh teri taraf chalaa thaa mujhe itnaa yaad hai itnaa lahu lahu to nahin thaa badan miraa haan zakhm ik haraa thaa mujhe itnaa yaad hai vo bhiiD mein khaDaa hai jo patthar liye hue kal tak miraa khudaa thaa mujhe itnaa yaad hai main jaise muddaton se isi rahguzar mein huun pal bhar kaa faaslaa thaa mujhe itnaa yaad hai chehra kisi kaa ab bhi tasavvur mein hai 'nafas' ik ajnabi milaa thaa mujhe itnaa yaad hai"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"ab kisi ko kyaa bataaein kis qadar naadaan the ham vahin kashti ko le aae jahaan tufaan the kuchh taDapti aarzuein chand be-maani savaal kaarvaan mein sab ke sar par bas yahi saamaan the ham ne is duniyaa ke mai-khaane mein ye dekhaa fareb bas vahi pyaase rahe jo saahib-e-imaan the zalzalon par aa gayaa ilzaam achchhaa hi huaa varna is takhrib ke pahle se bhi imkaan the un ghamon ne dil mein sadiyon ke vasile kar liye jo faqat do-chaar din ke vaaste mehmaan the bas yahi sach hai ki ham ab un ki mahkumi mein hain jo 'nafas' apni haveli mein kabhi darbaan the"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"junun hai zehn mein to hausle talaash karo misaal-e-aab-e-ravaan raaste talaash karo ye iztiraab ragon mein bahut zaruri hai uTho safar ke nae silsile talaash karo ye sar-zamin safar ke liye bahut kam hai chalo ufaq pe nae marhale talaash karo jo thak gae ho ye bosida zindagi ji kar to zindagi ke alag zaaviye talaash karo jo chaahte ho ki akhbaar chal paDe apnaa to surkhiyon ke liye haadse talaash karo ye tang-zauq adibon se khush nahin honge mushaaere ke liye maskhare talaash karo khudaa pe chhoD do ye kal koi paDhe na paDhe nai ghazal ke liye qaafiye talaash karo"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"sunaa thaa neza-o-talvaar-o-khanjar bech Daale hain magar zill-e-ilaahi ne to lashkar bech Daale hain paDi hain ret ke Tilon pe TuuTi kashtiyaan apni huaa hai ab ke maujon ne samundar bech Daale hain agar vo meri aankhein bech detaa to munaasib thaa magar us ne to in aankhon ke manzar bech Daale hain kisi ne ehtiraaman ik ‘ajaaib-ghar ke kamre mein hamaare jism rakkhe hain magar sar bech Daale hain mohabbat se bhare khat bhejte rahte the jo aksar ab un logon ne bhi apne kabutar bech Daale hain kisi din apne bachchon se lipaT kar roeinge naadaan jinhon ne shahr jaa kar gaanv ke ghar bech Daale hain ye vo ehsaan hai tujh se jo marte dam na utregaa ki teri parvarish mein maan ne zevar bech Daale hain"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"kaun si shaakh kaa patta thaa haraa bhuul gayaa peD se TuuT ke main apnaa pata bhuul gayaa main koi vaada-faraamosh nahin huun phir bhi mujh pe ilzaam hai main apnaa kahaa bhuul gayaa apne bachchon ke khilaune to use yaad rahe ghar mein bimaar paDi maan ki davaa bhuul gayaa kar to diin main ne charaaghon ki qataarein raushan hai zamaane ki magar tez havaa bhuul gayaa khauf-e-dozakh se Daraataa rahaa vaaiz mujh ko aur khud apne gunaahon ki sazaa bhuul gayaa tujh se kuchh kaam thaa lekin tire ghar ke aage ab khaDaa soch rahaa huun ki main kyaa bhuul gayaa be-khudi had se jo guzri to main ik roz 'nafas' ghar se kyaa niklaa ki phir ghar pata kaa bhuul gayaa"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"ham shahr-e-mohabbat ko basaane mein lage hain kuchh log magar aag lagaane mein lage hain taarikh to taarikh hai hargiz na miTegi naadaan hain jo taarikh miTaane mein lage hain afsos ki is jang mein ab zill-e-ilaahi khud apne hi lashkar ko haraane mein lage hain vo hai ki kahaani hi badalne pe tulaa hai aur ham hain ki kirdaar nibhaane mein lage hain kuchh dard to zulmat ne diye hain hamein lekin kuchh zakhm charaaghon ko jalaane mein lage hain lauTe hain to ab saath faqat gard-e-safar hai ab jaa ke kahin hosh Thikaane mein lage hain jo baat 'nafas' saare zamaane pe 'ayaan thi ham hain ki vahi baat bataane mein lage hain"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"agar charaagh bhi aandhi se Dar gae hote to sochiye ki ujaale kidhar gae hote ye mere dost mire chaara-gar mire ahbaab na chheDte to mire zakhm bhar gae hote koi nigaah jo apni bhi muntazir hoti to ham bhi shaam Dhale apne ghar gae hote agar vo meri ayaadat ko aa gayaa hotaa to doston ke bhi chehre utar gae hote hamein to shauq-e-sukhan ne sameT rakkhaa hai vagarna ham to kabhi ke bikhar gae hote unhein bhi mujh se mohabbat to hai 'nafas' lekin main puchhtaa to yaqinan mukar gae hote"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"baat karte ho to takraar ki bu aati hai yaar tum se kisi bimaar ki bu aati hai chaae ke saath ye khabrein na paDhaa kar varna munh se din bhar usi akhbaar ki bu aati hai aap kah kar na ho tu mujh se mukhaatib ai dost mujh ko is lafz se aghyaar ki bu aati hai teri guftaar se hotaa hai tijaarat kaa gumaan tere lahje se kharidaar ki bu aati hai pahle khushbu ki tarah log mahakte the yahaan ab to girte hue me'yaar ki bu aati hai vo jo is shahr mein kuchh log hain ujle ujle ab mujhe un se gunahgaar ki bu aati hai tere akhlaaq mein ik mushk-fishaani hai 'nafas' tere kirdaar se khuddaar ki bu aati hai"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"bekasi jab kisi baazaar mein aa jaati hai ik havas jaise kharidaar mein aa jaati hai raat-bhar chikhti phirti hai khabar basti mein phir taDapti hui akhbaar mein aa jaati hai meraa ham-saaya bhi rotaa hai jo apne ghar mein ik nami si miri divaar mein aa jaati hai ham to sukhe hue dariyaa mein bhi utre lekin apni kashti hai ki manjdhaar mein aa jaati hai dard to dil se zabaan tak bhi nahin aa paayaa phir bhi talkhi hai ki ash'aar mein aa jaati hai jo mire dil pe guzarti hai tujhe kyaa maa'lum jab razaa bhi tire inkaar mein aa jaati hai maah-e-ramzaan mein ranjish bhi mohabbat ban kar muskuraati hui iftaar mein aa jaati hai ye jo har baat pe tum aah si bharte ho 'nafas' ik 'alaamat hai jo bimaar mein aa jaati hai"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"khud ko is shahr mein tanhaa bhi nahin kah sakte aur kisi shakhs ko apnaa bhi nahin kah sakte apni qurbat mein bhi tu ne hamein pyaasaa rakkhaa ham to dariyaa tujhe dariyaa bhi nahin kah sakte kis ke sajdon mein jhukein kis se du'aaein maangein har kisi ko to masihaa bhi nahin kah sakte gaanv mein aaj bhi lagtaa hai vo ghar hai apnaa us ki miTTi ko to malba bhi nahin kah sakte zindagi ek tamaashaa hai magar kyaa kiije is tamaashe ko tamaashaa bhi nahin kah sakte roz aaine mein miltaa hai nae zakhm liye ek chehra jise chehra bhi nahin kah sakte"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"ik ghalat kirdaar ki pahchaan mein maaraa gayaa main kahaani mein nahin 'unvaan mein maaraa gayaa pur-khizaan mausam mein bhi shaadaab thi rangat miri main vo gul huun jo tire guldaan mein maaraa gayaa ghar ke baTvaare mein be-shak sab ko daulat mil gai khuun kaa rishta magar daalaan mein maaraa gayaa log jiinaa chaahte the ye haqiqat hai magar zindagi ko maut ke imkaan mein maaraa gayaa sab se pahle soch phir insaaniyat maari gai phir bahut kuchh thaa jo ik insaan mein maaraa gayaa chand ghazlein kam-nigaahi ke sitam sahti rahin aur kuchh ko dafn kar divaan mein maaraa gayaa phir har ik saae ne ruposhi ki chaadar oDh li shaam kaa suraj bhi jab maidaan mein maaraa gayaa maajraa kyaa thaa 'nafas' kis ki thi vo aah-o-fughaan kaun thaa kal raat jo zindaan mein maaraa gayaa"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"'umr bhi kaT gai aur jiyaa bhi nahin zindagi tujh se koi gila bhi nahin dard jiine ki ik laazmi shart hai aur sitam hai ki is ki davaa bhi nahin lauTnaa hi nahin thaa mujhe phir kabhi varna muD-muD ke ghar dekhtaa bhi nahin 'aks ko dekh kar apne hairaan huun mere kamre mein to aaina bhi nahin zindagi to kabhi ji na paae magar apne hisse mein jaise qazaa bhi nahin bach ke maqtal se to lauT aae magar ab kahaan jaaeinge kuchh pata bhi nahin log itne bure to nahin shaikh-ji aap jaise magar paarsaa bhi nahin apnaa dil bhi sulagtaa sharar hai 'nafas' jo jalaa bhi nahin to bujhaa bhi nahin"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi
Quote
"ab na main huun na miraa gham hai na jaan baaqi hai zindagi bas tire hone kaa gumaan baaqi hai itnaa khush bhi na ho ai mujh ko jalaane vaale dekh jal kar bhi abhi mujh mein dhuaan baaqi hai meri mushkil ki main khud apni zabaan kaaT chukaa us ko ye Dar ki abhi meraa bayaan baaqi hai kuchh to is baar bahaaron ne bhi Dhaae hain sitam us pe ye jabr ki mausam mein khizaan baaqi hai jism ke saath tamanna bhi gai hasrat bhi ab yahaan koi makin hai na makaan baaqi hai mujh ko ab pahle si nisbat bhi nahin hai tujh se ab tujhe mujh se mohabbat bhi kahaan baaqi hai"
Nafas AmbalviNafas Ambalvi