Shayari
sunaa hai vo bhi mire qatl mein mulavvis hai
vo bevafaa hai magar itnaa bevafaa bhi nahin
is shahar mein khvaabon ki imaarat nahin banti
behtar hai ki taamir kaa naqsha hi badal lo
اس شہر میں خوابوں کی عمارت نہیں بنتی
بہتر ہے کہ تعمیر کا نقشہ ہی بدل لو
इस शहर में ख़्वाबों की इमारत नहीं बनती
बेहतर है कि ता'मीर का नक़्शा ही बदल लो

sunaa hai vo bhi mire qatl mein mulavvis hai
vo bevafaa hai magar itnaa bevafaa bhi nahin
marne ko mar bhi jaaun koi masala nahin
lekin ye tai to ho ki abhi ji rahaa huun main
use gumaan hai ki meri uDaan kuchh kam hai
mujhe yaqin hai ki ye aasmaan kuchh kam hai
ab un ki khvaab-gaahon mein koi aavaaz mat karnaa
bahut thak-haar kar fōtpath par mazdur soe hain
uThaa laayaa kitaabon se vo ik alfaaz kaa jangal
sunaa hai ab miri khaamoshiyon kaa tarjuma hogaa
tu dariyaa hai to hogaa haan magar itnaa samajh lenaa
tire jaise kai dariyaa miri aankhon mein rahte hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
chhoD kar ham ko milaa shama-rukhon se jaa kar
isi qaabil hai tu ai dil ki jalaaein tujh ko
vo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahlaa rahaa
varna duniyaa chaar din bhi rahne ke qaabil na thi
mire aaina-e-dil kaa use manzur thaa lenaa
jo ghairon mein kahaa bhonDaa buraa bad-rang naakaara