Shayari
mire siine se lag kar der tak roti hai tanhaai
kisi ne kah diyaa us se mohabbat ho gai mujh ko
kitne aalam guzar gae mujh par
tum ko sochaa thaa ek lamhe ko
کتنے عالم گزر گئے مجھ پر
تم کو سوچا تھا ایک لمحے کو
कितने आलम गुज़र गए मुझ पर
तुम को सोचा था एक लम्हे को

mire siine se lag kar der tak roti hai tanhaai
kisi ne kah diyaa us se mohabbat ho gai mujh ko
havaa kaa rang nahin hai magar mizaaj to hai
havaa se dosti karnaa koi mazaaq nahin
qaid kar lo mujhe khayaalon mein
is jahaan se rihaai mil jaae
apni aankhein nahin jalaaungi
main ne bujhte charaagh dekhe hain
sukut-e-shahr-e-dil ki bebasi ko bhi koi samjhe
khaamushi bolti hai to bhalaa kyaa kyaa nahin kahti
aur phir mohabbat mein ji ke mar ke dekhaa hai
log sochte hain jo ham ne kar ke dekhaa hai
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
qatl karne kaa iraada hai magar sochtaa huun
tu agar aae to haathon mein jhijak paidaa ho
savaal karti kai aankhein muntazir hain yahaan
javaab aaj bhi ham soch kar nahin aae
un se mil kar aur bhi kuchh baDh gaiin
uljhanein fikrein qayaas-aaraaiyaan
zamaane ko tamannaa hai tiraa didaar karne ki
mujhe ye fikr hai mujh ko miraa didaar ho jaae