Sher
dam-e-rukhsat vo chup rahe 'abid'
aankh men phailta gaya kajal

Syed Aabid Ali Aabid
dam-e-rukhsat vo chup rahe 'abid'
दम-ए-रुख़्सत वो चुप रहे 'आबिद'
ai iltifat-e-yar mujhe sochne to de
ऐ इल्तिफ़ात-ए-यार मुझे सोचने तो दे
ya kabhi ashiqi ka khel na khel
या कभी आशिक़ी का खेल न खेल
tere khush-posh faqiron se vo milte to sahi
तेरे ख़ुश-पोश फ़क़ीरों से वो मिलते तो सही
ik din us ne nain mila ke sharma ke mukh moDa tha
इक दिन उस ने नैन मिला के शर्मा के मुख मोड़ा था
mujhe dhoka hua ki jaadu hai
मुझे धोका हुआ कि जादू है
dam-e-rukhsat vo chup rahe 'abid'
aankh men phailta gaya kajal
ai iltifat-e-yar mujhe sochne to de
marne ka hai maqam ya jiine ka mahal
ya kabhi ashiqi ka khel na khel
ya agar maat ho to haath na mal
tere khush-posh faqiron se vo milte to sahi
jo ye kahte hain vafa pairhan-e-chak men hai
ik din us ne nain mila ke sharma ke mukh moDa tha
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte hain
mujhe dhoka hua ki jaadu hai
paaon bajte hain tere bin chhagal
unhin ko arz-e-vafaa kaa thaa ishtiyaaq bahut
unhin ko arz-e-vafaa naa-gavaar guzri hai
gham ke taarik ufuq par 'aabid'
kuchh sitaare sar-e-mizhgaan guzre
shara-o-aain ki taazir ke baa-vasf shabaab
lab-o-rukhsaar ki jaanib nigaraan hai ki jo thaa
subu uThaa ki ye naazuk maqaam hai saaqi
na ahrman hai na yazdaan hai dekhiye kyaa ho
ik din us ne nain milaa ke sharmaa ke mukh moDaa thaa
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte hain
meraa jiinaa hai sej kaanTon ki
un ke marne kaa naam taaj-mahal