Shayari
unhin ko arz-e-vafaa kaa thaa ishtiyaaq bahut
unhin ko arz-e-vafaa naa-gavaar guzri hai
subu uThaa ki ye naazuk maqaam hai saaqi
na ahrman hai na yazdaan hai dekhiye kyaa ho
سبو اٹھا کہ یہ نازک مقام ہے ساقی
نہ اہرمن ہے نہ یزداں ہے دیکھیے کیا ہو
सुबू उठा कि ये नाज़ुक मक़ाम है साक़ी
न अहरमन है न यज़्दाँ है देखिए क्या हो

unhin ko arz-e-vafaa kaa thaa ishtiyaaq bahut
unhin ko arz-e-vafaa naa-gavaar guzri hai
gham ke taarik ufuq par 'aabid'
kuchh sitaare sar-e-mizhgaan guzre
shara-o-aain ki taazir ke baa-vasf shabaab
lab-o-rukhsaar ki jaanib nigaraan hai ki jo thaa
ik din us ne nain milaa ke sharmaa ke mukh moDaa thaa
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte hain
kuchh ehtiraam bhi kar gham ki vaza-daari kaa
giraan hai arz-e-tamannaa to baar baar na kar
meraa jiinaa hai sej kaanTon ki
un ke marne kaa naam taaj-mahal
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main kyuun karun kisi ko makin-e-makaan-e-dil
main kyuun kahun kisi se ki tu ghar miraa bigaaD
khum mein subu mein jaam mein niyyat lagi rahi
mai-khaane hi mein ham rahe mai-khaana chhoD kar
pahle sharaab ziist thi ab ziist hai sharaab
koi pilaa rahaa hai piye jaa rahaa huun main
tere nisaar saaqiyaa jitni piyun pilaae jaa
mast nazar kaa vaasta mast mujhe banaae jaa