"mire hi dil se tu puchh kitni tiri adaaon mein zindagi hai tiraa sitam bhi karam hai mujh par tiri jafaaon mein zindagi hai jo tere javon se hai farozaan jo teri nikhat se jhumti hai jo tere naghmon se guunj uTThe unhin fazaaon mein zindagi hai inhin se rangin hai bazm-e-hasti inhin se nikhar hai husn-e-duniyaa jo chaahein samjhein jahaan vaale miri khataaon mein zindagi hai khushi mein sar dhunne vaalo sun lo ki kitnaa shirin hai naghma-e-gham jo TuuTe dil se sadaaein uTThi unhin sadaaon mein zindagi hai rachi hai sargoshiyaan si jin mein hamaare raaz-o-niyaaz ki hi jo husn-o-ulfat se hi basi hai unhin havaaon mein zindagi hai ghurur kitnaa bhi tum ko apne ho zehn-o-baazu ki quvvaton par zaraa to be-kas dilon se puchho ki kyaa duaaon mein zindagi hai tiri hasin kaa ho saaz bajtaa ki aabshaaron kaa ho tarannum ho raqs-e-gul yaa navaa-e-bulbul inhin navaaon mein zindagi hai jo be-niyaaz-e-zar-e-zamin hai jo dil ki daulat se hi ghani hai 'habib' in ko samajh na kamtar inhin adaaon mein zindagi hai"
aa gae vo mire khayaalon mein — JaiKrishn Chaudhry Habeeb
"aa gae vo mire khayaalon mein ghanTiyaan baj uThin shivaalon mein raat ko chiir kar kiran ubhri raat ghul mil gai ujaalon mein nigah-e-shokh teri kyaa uTThi bijli kaundhi kamal ke taalon mein ek lamha khushi kaa kyaa kam hai zindagi kab hai maah saalon mein dekh kar pal mein phuul girtaa huaa jhurjhuri si hai husn vaalon mein haasil-e-zist hai vahi lamhein jo ki guzre tire khayaalon mein jab kiyaa zikr be-misaalon kaa zindagi bas gai misaalon mein maaldaaron se kyaa milegaa 'habib' paaegaa kuchh preshaan-haalon mein"
آ گئے وہ مرے خیالوں میں گھنٹیاں بج اٹھیں شوالوں میں رات کو چیر کر کرن ابھری رات گھل مل گئی اجالوں میں نگۂ شوخ تیری کیا اٹھی بجلی کوندھی کمل کے تالوں میں ایک لمحہ خوشی کا کیا کم ہے زندگی کب ہے ماہ سالوں میں دیکھ کر پل میں پھول گرتا ہوا جھرجھری سی ہے حسن والوں میں حاصل زیست ہے وہی لمحیں جو کہ گزرے ترے خیالوں میں جب کیا ذکر بے مثالوں کا زندگی بس گئی مثالوں میں مالداروں سے کیا ملے گا حبیبؔ پائے گا کچھ پریشاں حالوں میں
आ गए वो मिरे ख़यालों में घंटियाँ बज उठीं शिवालों में रात को चीर कर किरन उभरी रात घुल मिल गई उजालों में निगह-ए-शोख़ तेरी क्या उट्ठी बिजली कौंधी कमल के तालों में एक लम्हा ख़ुशी का क्या कम है ज़िंदगी कब है माह सालों में देख कर पल में फूल गिरता हुआ झुरझुरी सी है हुस्न वालों में हासिल-ए-ज़ीस्त है वही लम्हें जो कि गुज़रे तिरे ख़यालों में जब किया ज़िक्र बे-मिसालों का ज़िंदगी बस गई मिसालों में मालदारों से क्या मिलेगा 'हबीब' पाएगा कुछ परेशाँ-हालों में

More by JaiKrishn Chaudhry Habeeb
View all →"tiri mohabbat mein gham jo aae to us se baDh kar khushi nahin hai vafaa ki manzil ke khaar mein bhi gulon se kam dil-kashi nahin hai na tujh mein jurat hai rind ki si na tujh mein vusat dil-o-nazar ki aziim shai hai ye rasm-e-rindi ye sirf baada-kashi nahin hai libaas-e-nau mein havas ne aa kar mazaaq-e-husn-o-nazar hain badle vo ishq mein hai na sarfaroshi vo husn mein dilbari nahin hai tujhi se garmi thi mahfilon ki tujhi se thi vo chaman ki sairein nahin vo mahfil mein lutf baaqi gulon ke lab par hansi nahin hai nahin ye mumkin ki us ke dar se tu khaali daaman hi lauT jaae talab hi teri hai khaam ab tak nazar bhi dar par jami nahin hai khirad ki go hain hazaar aankhein hai dil ki sirf ek aankh lekin jo dil ki bujh jaae sham-e-ulfat to phir kahin raushni nahin hai gham-aashnaa teraa dil nahin hai to aae us mein gudaaz kaise jo saaz dil kaa nahin hai TuuTaa to us mein phir naghmagi nahin hai karoge kyaa tum 'habib' aakhir hayaat-e-tul-o-tavil le kar tabassum-e-gul ke ek lamhe mein kyaa koi zindagi nahin hai"
"khamosh nazron se husn-e-butaan ki baat karein na lab pe aai jo us daastaan ki baat karein rah-e-junun mein bhaTakte kahaan kahaan pahunche kahaan kahaan ki sunaaein kahaan ki baat karein jigar ke daagh dikhaane se faaeda kyaa hai abas hai mahz ke zor-e-zamaan ki baat karein na bhuul jaae zamaana vafaa ki qadron ko miTe jo ishq mein un ke nishaan ki baat karein jabin-e-shauq kaa sajda yahaan vahaan kyon ho jahaan ho azmat-e-sar ham vahaan ki baat karein qadam qadam pe guzarte hain imtihaan kitne chalo ki aaj nae imtihaan ki baat karein ye yaad-e-lutf-e-bahaaraan bhi kam nahin hai 'habib' bhari khizaan mein bhi kyaa ham khizaan ki baat karein"
"tumhaari aarzu tum se kahin baDh kar hasin nikli ki duniyaa ki har ik shai se yahi dil ke qarin nikli main samjhaa yaad bhi tark-e-taalluq par to aaegi magar jab dil TaTolaa hai vahin ye jaaguzin nikli abhi kuchh aur bhi khelo mire chaahat bhare dil se abhi bhi zakhm kam kam hain abhi hasrat nahin nikli sar-e-mahfil kiyaa rusvaa mujhe teri mohabbat ne jhuki jo naam par tere vo meri hi jabin nikli nigaahon ne tujhe DhunDaa tujhe dil se pukaaraa hai nazar aai na jo surat vo surat dil-nashin nikli hai do hi din ki umr-e-gul magar zinda-dili dekho tabassum lab pe raqsaan hai fazaa hargiz nahin nikli jahaan par sarhadein dair-o-haram ki khatm hoti hain vahin par nur-e-imaan hai vahin raah-e-yaqin nikli hamaari zindagi dariyaa ki mauj-e-muztarib si hai kahin ubhri kahin machli kahin Duubi kahin nikli uThaa karti hain maujon ki tarah hi hasratein dil mein nai kitni ubhar aaein jo ik hasrat kahin nikli shab-e-furqat 'habib' apnaa na koi kaam kaa niklaa na aansu baa-asar nikle na aah-e-aatishin nikli"
"shikva nahin gila nahin rabt koi baham nahin rasm-e-salaam kyaa jahaan pursish-e-haal-e-gham nahin go ki nahin nigaah mein dil se nahin ho duur tum dida-e-dil ke vaaste faasla besh-o-kam nahin bazm se aap kyaa gae raunaq-e-bazm le gae ab vo surur-e-dil kahaan aap gae to ham nahin aap ki yaad aa gai dil pe khushi si chhaa gai ab mujhe gham se vaasta ab mujhe koi gham nahin pahlaa saa vo karam kahaan lutf ki vo nazar kahaan hai ye sitam ki intihaa koi nayaa sitam nahin us ki nigaah-e-mast kaa ab bhi khumaar hai magar saaqi-e-dil-navaaz kaa pahlaa saa vo karam nahin daaman idhar hai taar taar rukh pe nahin udhar naqaab 'ishq agar hai be-vaqaar husn kaa bhi bharam nahin manzil-e-zindagi na puchh sirf safar hai zindagi paanv uThaa qadam baDhaa hosh sanbhaal tham nahin dekh kar un ke iltifaat rah gai dil ki dil mein baat hosh gayaa jo vo gae aae to dam mein dam nahin minnatein shaikh-o-barhaman kijiye kis liye 'habib' dil hai miri nigaah mein dair nahin haram nahin"
"kyaa kahun kyaa kyaa gayaa jab apnaa kaashaana gayaa khum gayaa saaqi gayaa aur ham se mai-khaana gayaa ho gae kitne hi gum aql-o-khirad ki raah mein manzil-e-maqsud tak to sirf divaana gayaa gosha-e-tahzib mein bhi ghaat mein sayyaad hai ab kabhi kaa farq-e-aabaadi-o-viraana gayaa aaj ki is zindagi ke tez-rau tufaan mein vaqt-e-zikr-e-saaghar-o-minaa-o-paimaana gayaa jiit le qalb-o-jigar qudrat kaa ab vo vaqt hai ab sanam ke jitne kaa lutf-e-afsaana gayaa zindagi ne ab taraashe nau-butaan-e-dil-rubaa vo puraanaa tarz-e-sajda aur but-khaana gayaa ham zamaane ke rukh-o-raftaar ki baatein karein ab vo lutf-e-garmi-e-raftaar-e-jaanaanaa gayaa aahan-o-tesha ki hai jhankaar naghma vaqt kaa ho gayaa khaamosh mutrib sher-e-rindaana gayaa khair maqdam ham nae dil se karein ab ai 'habib' raat guzri shama rukhsat aur parvaana gayaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"