SHAWORDS

aag chulhe ki bujhi jaati hai — Akhtar Hoshiyarpuri

"aag chulhe ki bujhi jaati hai chaandni hai ki khili jaati hai jis qadar niche utartaa huun main jhiil bhi gahri hui jaati hai gard uThi hai jo miri Thokar se ek divaar bani jaati hai pahre honTon pe biThaane vaale baat aankhon se bhi ki jaati hai log saahil pe khaDe dekhte hain naav kaaghaz ki bahi jaati hai"
Urdu

آگ چولھے کی بجھی جاتی ہے چاندنی ہے کہ کھلی جاتی ہے جس قدر نیچے اترتا ہوں میں جھیل بھی گہری ہوئی جاتی ہے گرد اٹھی ہے جو مری ٹھوکر سے ایک دیوار بنی جاتی ہے پہرے ہونٹوں پہ بٹھانے والے بات آنکھوں سے بھی کی جاتی ہے لوگ ساحل پہ کھڑے دیکھتے ہیں ناؤ کاغذ کی بہی جاتی ہے

Hindi

आग चूल्हे की बुझी जाती है चाँदनी है कि खिली जाती है जिस क़दर नीचे उतरता हूँ मैं झील भी गहरी हुई जाती है गर्द उठी है जो मिरी ठोकर से एक दीवार बनी जाती है पहरे होंटों पे बिठाने वाले बात आँखों से भी की जाती है लोग साहिल पे खड़े देखते हैं नाव काग़ज़ की बही जाती है

aag chūlhe kī bujhī jaatī hai
Akhtar Hoshiyarpuri
Akhtar Hoshiyarpuri
Akhtar Hoshiyarpuri
poet96 quotes

More by Akhtar Hoshiyarpuri

View all →
Quote
"dard ki daulat-e-naayaab ko rusvaa na karo vo nazar raaz hai us raaz kaa charchaa na karo vusat-e-dasht mein divaane bhaTak jaate hain dosto aahu-e-ram-khurda kaa pichhaa na karo tum muqaddar kaa sitaara ho mire paas raho tum jabin-e-shab-e-namnaak pe ubhraa na karo pas-e-divaar bhi divaar kaa aalam hogaa tum yunhi rauzan-e-divaar se jhaankaa na karo ghar palaT aane mein aafiyat-e-jaan hai yaaro jab havaa tez chale raah mein Thahraa na karo yaa dil-o-dida ko tanvir-e-mohabbat bakhsho yaa dam-e-subh zamaane mein ujaalaa na karo ye jahaan-e-guzaraan haath kise aayaa hai pichhe muD muD ke kisi shakhs ko dekhaa na karo bhaagte lamhe ko kab rok sakaa hai koi vo to ik saaya hai saae ki tamannaa na karo sar salaamat nahin rahte hain zabaan kaTti hai pattharon ko kabhi bhule se bhi sajda na karo pyaas bujhti hai kahaan tapte bayaabaanon ki miri aankhon miri aankho yunhi barsaa na karo ziist hai tez-qadam aage nikal jaaegi tum kisi moD pe rukne kaa iraada na karo kuchh idhar saae hain jo baDh ke lipaT jaate hain 'akhtar' is raah se ho kar kabhi guzraa na karo"
Akhtar HoshiyarpuriAkhtar Hoshiyarpuri
Quote
"har chand siine mein dil-e-kufr-aashnaa nahin main us ko pujtaa huun jo meraa khudaa nahin vo meri zindagi hai magar zindagi ki tarah mujh se khafaa nahin hai ki vo bevafaa nahin kyaa kyaa na apne saath zamaanon ko laai hai vo ik nigaah jis se koi aashnaa nahin shaayad main khaak-daan ke dhuein ki lakir huun vo mujh ko dekhtaa hai magar puchhtaa nahin guunj us ki aaj bhi mire khalvat-kade mein hai vo naghma jis ko tu ne dobaara sunaa nahin un raaston ki gard miri zindagi pe hai jin raaston pe main kabhi 'akhtar' chalaa nahin"
Akhtar HoshiyarpuriAkhtar Hoshiyarpuri
Quote
"khvaab-mahal mein kaun sar-e-shaam aa kar patthar maartaa hai roz ik taaza kaanch kaa bartan haath se gir kar TuTtaa hai makDi ne darvaaze pe jaale duur talak bun rakkhe hain phir bhi koi guzre dinon ki oT se andar jhaanktaa hai shor saa uThtaa rahtaa hai divaarein bolti rahti hain shaam abhi tak aa nahin paati koi khilaune toDtaa hai avval-e-shab ki lori bhi kab kaam kisi ke aati hai dil vo bachcha apni sadaa par kachchi niind se jaagtaa hai andar baahar ki aavaazein ik nuqte par simTi hain hotaa hai galiyon mein vaavailaa meraa lahu jab boltaa hai meri saanson ki larzish manzar kaa hissa banti hai dekhtaa huun main khiDki se jab shaakh pe pattaa kaanptaa hai mere sirhaane koi baiThaa Dhaaras detaa rahtaa hai nabz pe haath bhi rakhtaa hai TuuTe dhaage bhi joDtaa hai baadal uTThe yaa ki na uTThe baarish bhi ho yaa ki na ho main jab bhigne lagtaa huun vo sar par chhatri taantaa hai vaqt guzarne ke ham-raah bahut kuchh sikhaa 'akhtar' ne nange badan ko kirnon ke pairaahan se ab Dhaanptaa hai"
Akhtar HoshiyarpuriAkhtar Hoshiyarpuri
Quote
"khvaahishein itni baDhin insaan aadhaa rah gayaa khvaab jo dekhaa nahin vo bhi adhuraa rah gayaa main to us ke saath hi ghar se nikal kar aa gayaa aur pichhe ek dastak ek saayaa rah gayaa us ko to pairaahanon se koi dilchaspi na thi dukh to ye hai rafta rafta main bhi nangaa rah gayaa rang tasviron kaa utraa to kahin Thahraa nahin ab ke vo baarish hui har naqsh phikaa rah gayaa 'umr bhar manzar-nigaari khuun mein utri rahi phir bhi aankhon ke muqaabil ek dariyaa rah gayaa raunaqein jitni thiin dahlizon se baahar aa gaiin shaam hi se ghar kaa darvaaza khulaa kyaa rah gayaa ab ke shahr-e-zindagi mein saaneha aisaa huaa main sadaa detaa use vo mujh ko taktaa rah gayaa titliyon ke par kitaabon mein kahin gum ho gae muTThiyon ke aaine mein ek chehra rah gayaa rail ki gaaDi chali to ik musaafir ne kahaa dekhnaa vo koi station pe baiThaa rah gayaa main na kahtaa thaa ki ujlat is qadar achchhi nahin ek paT khiDki kaa aa kar dekh lo vaa rah gayaa log apni kirchiyaan chun chun ke aage baDh gae main magar saamaan ikaTThaa kartaa tanhaa rah gayaa aaj tak mauj-e-havaa to lauT kar aai nahin kyaa kisi ujDe nagar mein diip jaltaa rah gayaa ungliyon ke naqsh gul-daanon pe aate hain nazar aao dekhein apne andar aur kyaa kyaa rah gayaa dhuup ki garmi se inTein pak gaiin phal pak gae ik hamaaraa jism thaa 'akhtar' jo kachchaa rah gayaa"
Akhtar HoshiyarpuriAkhtar Hoshiyarpuri
Quote
"apne qadmon hi ki aavaaz se chaunkaa hotaa yuun mire paas se ho kar koi guzraa hotaa chaandni se bhi sulag uThtaa hai viraana-e-jaan ye agar jaante suraj hi ko chaahaa hotaa zindagi khvaab-e-pareshaan hai bahaar ek khayaal in ko milne se bahut pahle ye sochaa hotaa dopahar guzri magar dhuup kaa aalam hai vahi koi saaya kisi divaar se utraa hotaa ret uD uD ke havaaon mein chali aati hai shahr-e-armaan sar-e-sahraa na basaayaa hotaa aarzu umr-e-gurezaan to nahin tum to nahin ye saraktaa huaa lamha kahin Thahraa hotaa pichhe pichhe koi saaya saa chalaa aataa thaa haae vo kaun thaa muD kar use dekhaa hotaa tujh se yak go na taalluq mujhe ik umr se thaa zindagi tu ne hi baDh kar mujhe rokaa hotaa jaane kyaa soch ke logon ne bujhaae hain charaagh raat kaTti to sahar hoti ujaalaa hotaa apne daaman ko jalaa kar main charaaghaan kartaa agar is raakh mein 'akhtar' koi shoala hotaa"
Akhtar HoshiyarpuriAkhtar Hoshiyarpuri
Quote
"bajaa ki dushman-e-jaan shahr-e-jaan ke baahar hai magar main us ko kahun kyaa jo ghar ke andar hai tamaam naqsh parindon ki tarah utre hain ki kaaghazon pe khile paaniyon kaa manzar hai main ek shakhs jo kumbon mein rah gayaa baT kar main musht-e-khaak jo taqsim ho ke be-ghar hai shajar kaTaa to koi ghonsla kahin na rahaa magar ik uDtaa parinda fazaa kaa zevar hai vo khauf hai ki makin apne apne kamron mein hain vo haal hai ki bayaabaan mein vusat-e-dar hai kahin bhi peD nahin phir bhi patthar aae hain gali mein koi nahin phir bhi shor-e-mahshar hai main is vasia jazire mein vaahid insaan huun ki mere chaaron taraf dasht kaa samundar hai koi bhi khvaab na unchi fasil se utraa magar kiran ke guzarne ko rauzan-e-dar hai tamaam raushaniyaan bujh gai hain basti mein magar vo diip ki jis kaa havaaon mein ghar hai kisi se mujh ko gila kyaa ki kuchh kahun 'akhtar' ki meri zaat hi khud raaste kaa patthar hai"
Akhtar HoshiyarpuriAkhtar Hoshiyarpuri

More on Chaand

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar