"thakan se chuur hain aur gard se aTe hain ham nazar uThaa ki tiri samt dekhte hain ham vahi charaagh vahi main vahi fusun teraa har ek baar yunhi tujh ko chaahte hain ham tire khayaal ki khushbu udaas karti hai tire saraab ki vaadi mein gunjte hain ham ye aur baat tire saath din guzartaa hai ye aur baat tiri niind mein rahe hain ham kabhi kabhi to yuun raste mein shaam hoti hai ki hauslon ki tarah khud mein TuTte hain ham"
aanch to diye ki thi sardiyon ki shaamon mein — Farhat Zahid
"aanch to diye ki thi sardiyon ki shaamon mein varna dhuup kab utri sardiyon ki shaamon mein haath se kabutar to phir uDaa diyaa main ne rah gai hai tanhaai sardiyon ki shaamon mein hijr aur hijrat ko oDh kar bhi dekhaa hai saans tak na chalti thi sardiyon ki shaamon mein sard garm lamhon ki aag taapte the ham vo jo ik rasoi thi sardiyon ki shaamon mein aaj der tak sulgi teri yaad ki khushbu dil ki baat dil se thi sardiyon ki shaamon mein"
آنچ تو دئے کی تھی سردیوں کی شاموں میں ورنہ دھوپ کب اتری سردیوں کی شاموں میں ہاتھ سے کبوتر تو پھر اڑا دیا میں نے رہ گئی ہے تنہائی سردیوں کی شاموں میں ہجر اور ہجرت کو اوڑھ کر بھی دیکھا ہے سانس تک نہ چلتی تھی سردیوں کی شاموں میں سرد گرم لمحوں کی آگ تاپتے تھے ہم وہ جو اک رسوئی تھی سردیوں کی شاموں میں آج دیر تک سلگی تیری یاد کی خوشبو دل کی بات دل سے تھی سردیوں کی شاموں میں
आँच तो दिए की थी सर्दियों की शामों में वर्ना धूप कब उतरी सर्दियों की शामों में हाथ से कबूतर तो फिर उड़ा दिया मैं ने रह गई है तन्हाई सर्दियों की शामों में हिज्र और हिजरत को ओढ़ कर भी देखा है साँस तक न चलती थी सर्दियों की शामों में सर्द गर्म लम्हों की आग तापते थे हम वो जो इक रसोई थी सर्दियों की शामों में आज देर तक सुलगी तेरी याद की ख़ुश्बू दिल की बात दिल से थी सर्दियों की शामों में

More by Farhat Zahid
View all →"khvaab uThaa kar taaq pe rakkhe main ne bhi duniyaa tere naaz uThaae main ne bhi vo bhi ummidon par puuraa kab utraa toD diye aadarsh puraane main ne bhi ishq rivaayat ban kar mere saath chalaa tasviron ke aansu dekhe main ne bhi nai naveli aavaazon kaa shor uThaa kan-akhiyon se manzar dekhe main ne bhi aate aate aai hai duniyaa-daari ranj usaare dard sanvaare main ne bhi"
"ye kaise moD pe ik mehrbaan chhoD gayaa havaa ke rukh pe khule baadbaan chhoD gayaa navaadiraat ki qimat lagaane niklaa thaa jo aabdaar badan par nishaan chhoD gayaa tamaam log jise qaatilon ki saf mein rakhein vo mere sahn mein apni kamaan chhoD gayaa dar-e-duaa se tamannaaon ke dariche tak vo mere vaaste ik imtihaan chhoD gayaa pahan liyaa hai ab us ne bhi shahr kaa lahja ye kyaa huaa ki vo apni zabaan chhoD gayaa"
"khulti hui muTThi mein aansu hai ki taaraa hai ik khvaab tumhaaraa hai ik khvaab hamaaraa hai lamhon ki kalaai mein bas yaad khanakti hai bah jaate hain sab is mein ye vaqt kaa dhaaraa hai kyaa dasht-e-rifaaqat mein ehsaas ki surat hai kaise use batlaaein kyaa haal hamaaraa hai"
"khuun mein Duubi ridaaein nahin dekhi jaatin bain karti hui maaein nahin dekhi jaatin khatm hote hue aansu hon ki thamtaa huaa dard ham se ab aur sazaaein nahin dekhi jaatin jaane vaalon kaa bhalaa kaise tumhein dein pursaa khaali haathon ki duaaein nahin dekhi jaatin marne vaalon ki sadaaein to main sun sakti huun jiine vaalon ki karaahein nahin dekhi jaatin phuul toDe hain bujhaae hain mire ghar ke charaagh dushmanaa teri khataaein nahin dekhi jaatin ab to aankhon mein dhuaan bharne lagaa hai 'farhat' aisi ranjur fazaaein nahin dekhi jaatin"
"jazbon ki har ek kali andhi nikli aur mohabbat us se bhi pagli nikli main bhi toD nahin paai jhuTi rasmein main bhi bas ik maamuli laDki nikli tum mujh se nafrat kaise kar paaoge main to apne jhuuT mein bhi sachchi nikli vo ghar jo ujlaa ujlaa saa lagtaa thaa jhaaDaa ponchhaa to kitni miTTi nikli sochaa thaa us se har baat chhupaaungi main bhi vaadon ki kitni kachchi nikli jo apne haathon se phaaD ke pheinki thi dil mein ik tasvir vahi rakkhi nikli"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"