SHAWORDS

khulti hui muTThi mein aansu hai ki taaraa hai — Farhat Zahid

HomeFarhat ZahidGhazal
"khulti hui muTThi mein aansu hai ki taaraa hai ik khvaab tumhaaraa hai ik khvaab hamaaraa hai lamhon ki kalaai mein bas yaad khanakti hai bah jaate hain sab is mein ye vaqt kaa dhaaraa hai kyaa dasht-e-rifaaqat mein ehsaas ki surat hai kaise use batlaaein kyaa haal hamaaraa hai"
Urdu

کھلتی ہوئی مٹھی میں آنسو ہے کہ تارا ہے اک خواب تمہارا ہے اک خواب ہمارا ہے لمحوں کی کلائی میں بس یاد کھنکتی ہے بہہ جاتے ہیں سب اس میں یہ وقت کا دھارا ہے کیا دشت رفاقت میں احساس کی صورت ہے کیسے اسے بتلائیں کیا حال ہمارا ہے

Hindi

खुलती हुई मुट्ठी में आँसू है कि तारा है इक ख़्वाब तुम्हारा है इक ख़्वाब हमारा है लम्हों की कलाई में बस याद खनकती है बह जाते हैं सब इस में ये वक़्त का धारा है क्या दश्त-ए-रिफ़ाक़त में एहसास की सूरत है कैसे उसे बतलाएँ क्या हाल हमारा है

khultī huī muTThī meñ aañsū hai ki taarā hai
Farhat Zahid
Farhat Zahid
Farhat Zahid
poet42 quotes

More by Farhat Zahid

View all →
Quote
"khuun mein Duubi ridaaein nahin dekhi jaatin bain karti hui maaein nahin dekhi jaatin khatm hote hue aansu hon ki thamtaa huaa dard ham se ab aur sazaaein nahin dekhi jaatin jaane vaalon kaa bhalaa kaise tumhein dein pursaa khaali haathon ki duaaein nahin dekhi jaatin marne vaalon ki sadaaein to main sun sakti huun jiine vaalon ki karaahein nahin dekhi jaatin phuul toDe hain bujhaae hain mire ghar ke charaagh dushmanaa teri khataaein nahin dekhi jaatin ab to aankhon mein dhuaan bharne lagaa hai 'farhat' aisi ranjur fazaaein nahin dekhi jaatin"
Farhat ZahidFarhat Zahid

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari