SHAWORDS

aankh kaa ishaara hai — Abu Leveeza Ali

"aankh kaa ishaara hai ham pe aashkaaraa hai tir-e-nim-kash hai kab ye nazar to aaraa hai hai jo ishq kaa chakkar sar-ba-sar khasaara hai dard ki hukumat hai aur dukh sahaaraa hai ai miri mataa-e-jaan ham mein kyaa hamaaraa hai dil ko gham hain duniyaa ke aur dil tumhaaraa hai hijr do ghaDi kaa hi aag hai sharaara hai mujh mein ek dariyaa hai aur ik kinaara hai"
Urdu

آنکھ کا اشارہ ہے ہم پہ آشکارا ہے تیر نیم کش ہے کب یہ نظر تو آرا ہے ہے جو عشق کا چکر سر بہ سر خسارہ ہے درد کی حکومت ہے اور دکھ سہارا ہے اے مری متاع جاں ہم میں کیا ہمارا ہے دل کو غم ہیں دنیا کے اور دل تمہارا ہے ہجر دو گھڑی کا ہی آگ ہے شرارہ ہے مجھ میں ایک دریا ہے اور اک کنارہ ہے

Hindi

आँख का इशारा है हम पे आश्कारा है तीर-ए-नीम-कश है कब ये नज़र तो आरा है है जो इश्क़ का चक्कर सर-ब-सर ख़सारा है दर्द की हुकूमत है और दुख सहारा है ऐ मिरी मता-ए-जाँ हम में क्या हमारा है दिल को ग़म हैं दुनिया के और दिल तुम्हारा है हिज्र दो घड़ी का ही आग है शरारा है मुझ में एक दरिया है और इक किनारा है

aañkh kā ishāra hai
Abu Leveeza Ali
Abu Leveeza Ali
Abu Leveeza Ali
poet18 quotes

More by Abu Leveeza Ali

View all →
Quote
"palaT jaanaa koi mushkil nahin thaa miraa hi vaapsi kaa dil nahin thaa mataa-e-zist laa-haasil nahin thaa vale paane ke main qaabil nahin thaa vo chhuriyaan dhaar jis par ho rahin thiin miraa hi dil thaa koi sil nahin thaa khulaa baab-e-junun jab mujh pe yaaro miraa tab koi mustaqbil nahin thaa mariz-e-ishq hone tak sunaa hai adhuri zaat thaa kaamil nahin thaa mujhe gharqaab thaa az had zaruri vagarna ziist ke qaabil nahin thaa main pyaasaa thaa magar honTon se mahrum samundar thaa magar saahil nahin thaa na do ilzaam bhaunre ko 'ali' tum vo hargiz phuul kaa qaatil nahin thaa"
Abu Leveeza AliAbu Leveeza Ali
Quote
"shikast-e-khurdgi ke baad hausla nahin huaa jo chukaa pahlaa vaar hi to dusraa nahin huaa kahaa huaa sunaa huaa likhaa huaa nahin huaa hamaare haq mein to koi bhi faisla nahin huaa qadam saqil ho gae tavil raah ho gai malaal thaa kamaal par visaal thaa nahin huaa sukut-e-lab kaa vo sabab hain siskiyaan vo hichkiyaan nigaah-e-ishq se faro vo haadisa nahin huaa tamaam dil ke paarche bikhar chuke zamin par hisaab rakhne vaale kaa muhaasba nahin huaa palaT gae tamaash-bin gai vo shoabada-gari thi gung vo zabaan jab kahaa huaa nahin huaa hui buland ik sadaa ki ab karo vo faisla nigaah-e-naaz-yaafta vo dusraa nahin huaa tumhaare naqsh-e-paa pe main jo chal rahaa huun der se main khatm ho rahaa to huun pa raasta nahin huaa"
Abu Leveeza AliAbu Leveeza Ali
Quote
"pahle kulfat uThaai daftar ki phir uThe khaak chhaani dar-dar ki tum ko DhunDaa na dil ke khaanon mein ham ne kunDi bajaai har ghar ki ham to sahraa-navard hain bhaai baat kar yuun na ham se tu ghar ki dard se phaT rahaa ho jin kaa sar un ko haajat nahin hai patthar ki teri yaadon se siina chiir liyaa aur baaton ne jaa li khanjar ki dard ko dil kaa de diyaa rasta aur phir ham ne li khabar sar ki maare maare phire tiri khaatir sahraa-surat banaa li hai ghar ki ham ko ik laash to giraani hai kaun silvaT sameTe bistar ki"
Abu Leveeza AliAbu Leveeza Ali
Quote
"kisi kaa khat hai yaa ye ghazal hai ye kaisaa parcha paDaa huaa hai gulaal se lab bane hain is mein kitaab chehra banaa huaa hai nigaah us ki hai jhiil jaisi kamaan jaisi bhavon ke niche to surkh honTon ke ek jaanib bhi til kaa pahra lagaa huaa hai haan sabz qindil jal rahi hai balaa ki surkhi ubal rahi hai adaa se palkein jhuki huiin hain hayaa kaa aanchal paDaa huaa hai lo ab hamaari saqil aankhein qadim raston pe chal paDi hain vafaa ke khanDar se kuchh pare hi hamaaraa malba paDaa huaa hai safed baalon ke pichhe apni javaan umri ke pal nahin hain hai ahd-e-tifli kaa ek buDhaa jo laDkhaDaataa khaDaa huaa hai bahut hasin hai ye sachchaa moti jo rang se is ke munsalik hai magar use ye khabar nahin hai hamaaraa aansu juDaa huaa hai hai chaap us ki hamaari dhaDkan jo dil mein dhak dhak lagi hui hai firaaq us kaa visaal hi hai vo ban ke dhaDkaa lagaa huaa hai bahut sanvaaraa musavviron ne bahut se Daale hain rang is mein magar ye surat hai meri surat so rang is kaa uDaa huaa hai"
Abu Leveeza AliAbu Leveeza Ali

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb