SHAWORDS

agar vo mil ke bichhaDne kaa hausla rakhtaa — Iffat Zarrin

HomeIffat ZarrinGhazal
"agar vo mil ke bichhaDne kaa hausla rakhtaa to darmiyaan na muqaddar kaa faisla rakhtaa vo mujh ko bhuul chukaa ab yaqin hai varna vafaa nahin to jafaaon kaa silsila rakhtaa bhaTak rahe hain musaafir to raaste gum hain andheri raat mein dipak koi jalaa rakhtaa mahak mahak ke bikharti hain us ke aangan mein vo apne ghar kaa daricha agar khulaa rakhtaa agar vo chaand ki basti kaa rahne vaalaa thaa to apne saath sitaaron kaa qaafila rakhtaa jise khabar nahin khud apni zaat ki 'zarrin' vo dusron kaa bhalaa kis tarah pataa rakhtaa"
Urdu

اگر وہ مل کے بچھڑنے کا حوصلہ رکھتا تو درمیاں نہ مقدر کا فیصلہ رکھتا وہ مجھ کو بھول چکا اب یقین ہے ورنہ وفا نہیں تو جفاؤں کا سلسلہ رکھتا بھٹک رہے ہیں مسافر تو راستے گم ہیں اندھیری رات میں دیپک کوئی جلا رکھتا مہک مہک کے بکھرتی ہیں اس کے آنگن میں وہ اپنے گھر کا دریچہ اگر کھلا رکھتا اگر وہ چاند کی بستی کا رہنے والا تھا تو اپنے ساتھ ستاروں کا قافلہ رکھتا جسے خبر نہیں خود اپنی ذات کی زریںؔ وہ دوسروں کا بھلا کس طرح پتا رکھتا

Hindi

अगर वो मिल के बिछड़ने का हौसला रखता तो दरमियाँ न मुक़द्दर का फ़ैसला रखता वो मुझ को भूल चुका अब यक़ीन है वर्ना वफ़ा नहीं तो जफ़ाओं का सिलसिला रखता भटक रहे हैं मुसाफ़िर तो रास्ते गुम हैं अँधेरी रात में दीपक कोई जला रखता महक महक के बिखरती हैं उस के आँगन में वो अपने घर का दरीचा अगर खुला रखता अगर वो चाँद की बस्ती का रहने वाला था तो अपने साथ सितारों का क़ाफ़िला रखता जिसे ख़बर नहीं ख़ुद अपनी ज़ात की 'ज़र्रीं' वो दूसरों का भला किस तरह पता रखता

agar vo mil ke bichhaḌne kā hausla rakhtā
Iffat Zarrin
Iffat Zarrin
Iffat Zarrin
poet21 quotes

More by Iffat Zarrin

View all →
Quote
"aable suukh chuke phir bhi kasak baaqi hai dil ke har zakhm mein yaadon ki mahak baaqi hai chhoD duun kaise bhalaa apne buzurgon kaa chalan meri rag rag mein abhi un kaa namak baaqi hai jin ke saae mein bahal jaataa thaa bachpan aksar mere ehsaas mein ab tak vo dhanak baaqi hai tum ko aanaa hai to aa jaao ba-sad-shauq yahaan ab bhi haalaat mein halki si lachak baaqi hai band hoti nahin palkein miri sadiyaan guzrin khvaab to TuuT chuke sirf chamak baaqi hai dil ki dhaDkan miri aavaaz-e-anaa hai 'zarrin' mere har lafz mein lahje ki khanak baaqi hai"
Iffat ZarrinIffat Zarrin
Quote
"kaarvaan sust-musaafir ko sazaa detaa hai zard patte ko har ik peD giraa detaa hai apni aankhon ko vo be-vajh sazaa detaa hai giile indhan ko agar koi havaa detaa hai ab mire bas mein kahaan hai ki main vaapas aauun meraa maazi mujhe bekaar sadaa detaa hai kis liye tu ne bujhaa Daale sulagte sapne kis liye ab inhein rah rah ke havaa detaa hai zindagi ham ne banaai hai 'amal se lekin ham bhi kahte hain ye hi sab ko khudaa detaa hai ek bahtaa huaa tinkaa bhi aham hai 'zarrin' apni raftaar se dariyaa kaa pataa detaa hai"
Iffat ZarrinIffat Zarrin
Quote
"baarish-e-ashk bazaahir to suhaani hogi haan magar 'umr samundar mein ganvaani hogi mash'alein saath rakho raat bhayaanak hai bahut aag jangal mein bahar-gaam jalaani hogi main musavvir huun mire fan kaa taqaazaa hai yahi mujh ko dushman ki bhi tasvir banaani hogi yuun to patthar ki bhi qismat hai hasin taaj-mahal apni taqdir magar aap banaani hogi aaj to zakhm ke phulon ki mahak hai taaza kal tum aae bhi to har baat puraani hogi mujh ko ehsaas ke paikar mein na DhunDo logo meri aavaaz tumhein DhunD ke laani hogi ham ne har 'ahd se samjhautaa kiyaa hai 'zarrin' kuchh bhi ho ab to har ik baat nibhaani hogi"
Iffat ZarrinIffat Zarrin
Quote
"ajiib karb-e-musalsal dil-o-nazar mein rahaa vo raushni kaa musaafir andhere ghar mein rahaa vo chaandni kaa muraqqaa nahin thaa jugnu thaa charaagh ban ke jalaa aur shajar shajar mein rahaa kahaavaton ki tarah vo bhi shahr-e-maani thaa bujhaa bujhaa saa diyaa jo kisi khanDar mein rahaa vo jis ko khoj saraabon mein thi samundar ki vo apne dasht-e-dil-o-jaan ki rahguzar mein rahaa vahi to naqsh-e-qadam the jo saare miTte gae vo daagh-e-sajda thaa baaqi jo sang-e-dar mein rahaa yahi tilism thaa 'zarrin' jise na toD saki vajud us kaa to taqdir ke bhanvar mein rahaa"
Iffat ZarrinIffat Zarrin
Quote
"jism-o-jaan ki basti mein silsile nahin milte ab kisi bhi markaz se daaere nahin milte do-qadam bichhaDne se qaafile nahin milte manzilein to milti hain raaste nahin milte baarhaa taraashaa hai ham ne aap kaa chehra aap ko na jaane kyuun aaine nahin milte vaqt ki kami kah kar jehl ko chhupaate hain aaj-kal kitaabon mein haashiye nahin milte aaj bhi zamaane mein aadmi karishma hain shoabde to milte hain moajize nahin milte zindagi kaa har lamha aarzu kaa dushman hai haadson ki khvaahish mein haadse nahin milte aaj qatl karnaa bhi ban gayaa hai fan 'zarrin' qatl karne vaalon ke kuchh pate nahin milte"
Iffat ZarrinIffat Zarrin

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud