SHAWORDS

'ajib Dhab kaa musaafir hai ghar na aaegaa — Anis Dehlavi

HomeAnis DehlaviGhazal
"'ajib Dhab kaa musaafir hai ghar na aaegaa jo vaqt biit gayaa lauT kar na aaegaa ye eqtidaar milaa hai baDe jatan kar ke ab un ko apne sivaa kuchh nazar na aaegaa charaagh kaise jaleinge udaas palkon par jo Dhal ke ashkon mein khun-e-jigar na aaegaa ye gumrahi bhi nae raaste nikaalegi hamaare aage agar raahbar na aaegaa na jaane kyon miri aankhein lagi rahin dar par main jaantaa thaa ki vo raat bhar na aaegaa ye saaniha hai ki sar se uThe ghane saae ab apni raah mein koi shajar na aaegaa ghamon ke peD ke niche khaDe hue ho 'anis' tumhaare haath khushi kaa samar na aaegaa"
Urdu

عجیب ڈھب کا مسافر ہے گھر نہ آئے گا جو وقت بیت گیا لوٹ کر نہ آئے گا یہ اقتدار ملا ہے بڑے جتن کر کے اب ان کو اپنے سوا کچھ نظر نہ آئے گا چراغ کیسے جلیں گے اداس پلکوں پر جو ڈھل کے اشکوں میں خون جگر نہ آئے گا یہ گمرہی بھی نئے راستے نکالے گی ہمارے آگے اگر راہ بر نہ آئے گا نہ جانے کیوں مری آنکھیں لگی رہیں در پر میں جانتا تھا کہ وہ رات بھر نہ آئے گا یہ سانحہ ہے کہ سر سے اٹھے گھنے سائے اب اپنی راہ میں کوئی شجر نہ آئے گا غموں کے پیڑ کے نیچے کھڑے ہوئے ہو انیسؔ تمہارے ہاتھ خوشی کا ثمر نہ آئے گا

Hindi

'अजीब ढब का मुसाफ़िर है घर न आएगा जो वक़्त बीत गया लौट कर न आएगा ये इक़्तिदार मिला है बड़े जतन कर के अब उन को अपने सिवा कुछ नज़र न आएगा चराग़ कैसे जलेंगे उदास पलकों पर जो ढल के अश्कों में ख़ून-ए-जिगर न आएगा ये गुमरही भी नए रास्ते निकालेगी हमारे आगे अगर राहबर न आएगा न जाने क्यों मिरी आँखें लगी रहीं दर पर मैं जानता था कि वो रात भर न आएगा ये सानिहा है कि सर से उठे घने साए अब अपनी राह में कोई शजर न आएगा ग़मों के पेड़ के नीचे खड़े हुए हो 'अनीस' तुम्हारे हाथ ख़ुशी का समर न आएगा

'ajīb Dhab kā musāfir hai ghar na aa.egā
Anis Dehlavi
Anis Dehlavi
Anis Dehlavi
poet22 quotes

More by Anis Dehlavi

View all →
Quote
"main us ke sitam sah ke duhaai nahin detaa duniyaa ko miraa dard dikhaai nahin detaa aazaadiyaan paaoge qafas toD ke varna sayyaad parindon ko rihaai nahin detaa kam-zarf ko ehsaan kaa ehsaas nahin hai varna mujhe is taur buraai nahin detaa buDhe hue ye soch ke tum ghar mein na baiTho maan baap ko ab beTaa kamaai nahin detaa daulat se chukaa detaa hai insaaf ki qimat munsif ko gunahgaar safaai nahin detaa paai hain jo saansein bhi ghanimat inhein jaano ye naghma bahut der sunaai nahin detaa paDh letaa hai chehron se 'anis' aap ke jazbaat kyaa gham hai jo kaanon se sunaai nahin detaa"
Anis DehlaviAnis Dehlavi
Quote
"saanson mein shahr-bhar ki utar jaanaa chaahiye khushbu ho tum to tum ko bikhar jaanaa chaahiye karnaa hai aap ko jo nae raaston ki khoj sab jis taraf na jaaein udhar jaanaa chaahiye us bevafaa pe marne ko aamaada dil nahin lekin vafaa ki zid hai ki mar jaanaa chaahiye divaar ban ke vaqt agar raasta na de jhonkaa havaa kaa ban ke guzar jaanaa chaahiye un ke sivaae jin pe tabaahi guzar gai har shakhs kah rahaa hai ki har jaanaa chaahiye yuun aah bhar ki us kaa taghaaful laraz uThe tu khaak ho gayaa ye khabar jaanaa chaahiye agli safon mein ham hi rahein kyuun sadaa 'anis' ab maarke mein us kaa bhi sar jaanaa chaahiye"
Anis DehlaviAnis Dehlavi
Quote
"hamaare zarf ghaTte jaa rahe hain samundar ab simaTte jaa rahe hain ye tughyaani to rukti hi nahin hai kinaare hain ki kaTte jaa rahe hain haqiqat un ki vaazeh ho rahi hai dhundalke ab simaTte jaa rahe hain main jin ki yaad se bhi huun gurezaan mire dil se lipaTte jaa rahe hain samajh mein aa rahi hain us ki baatein nazar se parde haTte jaa rahe hain vo khote jaa rahe hain taaqat apni qabilon mein jo banTte jaa rahe hain 'anis' ab 'umr ki shaam aa chali hai varaq hasti ke phaTte jaa rahe hain"
Anis DehlaviAnis Dehlavi
Quote
"jaan tak kar di fidaa lekin sila kuchh bhi nahin aap ki nazron mein kyaa meri vafaa kuchh bhi nahin chhin liin khushiyaan miri aankhon se meri niind bhi zindagi tu ne mujhe ab tak diyaa kuchh bhi nahin sainkaDon mujh par sitam kartaa rahaa vo umr-bhar phir bhi main ne aaj tak us se kahaa kuchh bhi nahin de rahe hain gaaliyaan yaa phir duaaein mujh ko aap kyaa kahun ab aap se main ne sunaa kuchh bhi nahin aap ki baaton mein aa kar kho diyaa dil kaa sukun zindagi mein dekhiye meri bachaa kuchh bhi nahin"
Anis DehlaviAnis Dehlavi
Quote
"ye sadi ranj-o-masaaib ki sadi lagti hai zindagi bhi mujhe zakhmon ki gali lagti hai jhuuT sunne kaa har ik shakhs huaa hai 'aadi ho jo miThi bhi to sachchaai buri lagti hai ye zaruri nahin insaan ko mil hi jaae aisi har chiiz jo aankhon ko bhali lagti hai khat mein tahrir mujhe milte hain us ke aansu lafz chhutaa huun to aankhon mein nami lagti hai mere purkhon ki bhi miTTi hai isi miTTi mein is liye khaak-e-vatan mujh ko bhali lagti hai ghusl karte hue mahbub saa lagtaa hai ye chaand chaandni raat sitaaron ki nadi lagti hai ham ne dekhe hain fasaadon mein vo manzar bhi 'anis' apne hi khuun mein har chiiz sani lagti hai"
Anis DehlaviAnis Dehlavi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud