SHAWORDS

apne hi khuun se is tarah adaavat mat kar — Abbas Dana

HomeAbbas DanaGhazal
"apne hi khuun se is tarah adaavat mat kar zinda rahnaa hai to saanson se baghaavat mat kar siikh le pahle ujaalon ki hifaazat karnaa shama bujh jaae to aandhi se shikaayat mat kar sar ki baazaar-e-siyaasat mein nahin hai qimat sar pe jab taaj nahin hai to hukumat mat kar khvaab ho jaam ho taara ho ki mahbub kaa dil TuTne vaali kisi shai se mohabbat mat kar dekh phir dast-e-zarurat mein na bik jaae zamir zar ke badle mein usulon ki tijaarat mat kar pursish-e-haal se ho jaaeinge phir zakhm hare is se behtar hai yahi meri ayaadat mat kar sar jhukaane ko hi sajda nahin kahte 'daanaa' jis mein dil bhi na jhuke aisi ibaadat mat kar"
Urdu

اپنے ہی خون سے اس طرح عداوت مت کر زندہ رہنا ہے تو سانسوں سے بغاوت مت کر سیکھ لے پہلے اجالوں کی حفاظت کرنا شمع بجھ جائے تو آندھی سے شکایت مت کر سر کی بازار سیاست میں نہیں ہے قیمت سر پہ جب تاج نہیں ہے تو حکومت مت کر خواب ہو جام ہو تارہ ہو کہ محبوب کا دل ٹوٹنے والی کسی شے سے محبت مت کر دیکھ پھر دست ضرورت میں نہ بک جائے ضمیر زر کے بدلے میں اصولوں کی تجارت مت کر پرسش حال سے ہو جائیں گے پھر زخم ہرے اس سے بہتر ہے یہی میری عیادت مت کر سر جھکانے کو ہی سجدہ نہیں کہتے داناؔ جس میں دل بھی نہ جھکے ایسی عبادت مت کر

Hindi

अपने ही ख़ून से इस तरह अदावत मत कर ज़िंदा रहना है तो साँसों से बग़ावत मत कर सीख ले पहले उजालों की हिफ़ाज़त करना शम्अ' बुझ जाए तो आँधी से शिकायत मत कर सर की बाज़ार-ए-सियासत में नहीं है क़ीमत सर पे जब ताज नहीं है तो हुकूमत मत कर ख़्वाब हो जाम हो तारा हो कि महबूब का दिल टूटने वाली किसी शय से मोहब्बत मत कर देख फिर दस्त-ए-ज़रूरत में न बिक जाए ज़मीर ज़र के बदले में उसूलों की तिजारत मत कर पुर्सिश-ए-हाल से हो जाएँगे फिर ज़ख़्म हरे इस से बेहतर है यही मेरी अयादत मत कर सर झुकाने को ही सज्दा नहीं कहते 'दाना' जिस में दिल भी न झुके ऐसी इबादत मत कर

apne hī ḳhuun se is tarah adāvat mat kar
Abbas Dana
Abbas Dana
Abbas Dana
poet25 quotes

More by Abbas Dana

View all →
Quote
"gardish-e-dauraan se ik lamha churaane liye sochnaa paDtaa hai kitnaa muskuraane ke liye kitni zahmat jheltaa hai ek muflis mezbaan ghar ki bad-hali ko mehmaan se chhupaane ke liye bhuuk un ko le gai hai kaar-khaanon ki taraf ghar se bachche nikle the schōl jaane ke liye khuun apnaa bech kar aayaa hai ik majbur baap beTiyon ke haath par mehndi lagaane ke liye zindagi jalti hai kitni dozakhon ki aag mein chaar-divaaron ki ik jannat banaane ke liye haae tyauhaaron ne logon ko bhikaari kar diyaa qarz lenaa paDtaa hai khushiyaan manaane ke liye ho rahe hain aaj daana aandhiyon mein mashvare sirf mere ghar kaa ik dipak bujhaane ke liye"
Abbas DanaAbbas Dana
Quote
"us ki vafaa na meri vafaa kaa savaal thaa donon hi chup the sirf anaa kaa savaal thaa is kashmakash mein khatm huaa raat kaa safar zid thi miri to us ki hayaa kaa savaal thaa sab muntazir the aasmaan detaa hai kyaa javaab pyaase labon pe kaali ghaTaa kaa savaal thaa majbur ham the aur vo mukhtaar thaa magar donon ke beach dast duaa kaa savaal thaa jaanaa thaa mai-kade se hamein ku-e-yaar tak lekin hamaari laghzish-e-paa kaa savaal thaa taqsim karne niklaa thaa vo raushni magar jalte hue diye ko havaa kaa savaal thaa 'daanaa' mujhe azal se ghazal ki talaash thi ye meri zindagi ki adaa kaa savaal thaa"
Abbas DanaAbbas Dana
Quote
"aql-o-daanish ko zamaane se chhupaa rakkhaa hai khud ko daanista hi divaana banaa rakhaa hai ghar ki viraaniyaan le jaae churaa kar koi isi ummid pe darvaaza khulaa rakkhaa hai ban gae unche mahal un ki ibaadat gaahein naam daulat kaa jahaan sab ne khudaa rakkhaa hai qaabil-e-rashk se vo dukhtar-e-muflis jis ne tang-dasti mein bhi izzat ko bachaa rakkhaa hai jis ke mahlon mein charaaghon kaa na thaa koi shumaar us ki turbat pe faqat ek diyaa rakkhaa hai is se baDh kar tiri yaadon ki karun kyaa taazim teri yaadon mein zamaane ko bhulaa rakkhaa hai surkh-ru ho gaiin tanhaaiyaan meri 'daanaa' us ne kaandhe pe mire dast-e-hinaa rakkhaa hai"
Abbas DanaAbbas Dana
Quote
"naam khushbu thaa saraapaa bhi ghazal jaisaa thaa chaand se chehre pe parda bhi ghazal jaisaa thaa saare alfaaz ghazal jaise the guftaar ke vaqt rang-e-izhaar-e-tamannaa bhi ghazal jaisaa thaa phuul hi phuul the kaliyaan thiin hasin galiyaan thiin aap ke ghar kaa vo rasta bhi ghazal jaisaa thaa us ki aankhein bhi hasin aankh mein aansu bhi hasin gham mein Duubaa huaa chehra bhi ghazal jaisaa thaa vo javaani vo mohabbat vo sharaarat kaa nasha vo miri umr kaa hissa bhi ghazal jaisaa thaa faasle the na judaai thi na tanhaai thi teri qurbat kaa vo lamha bhi ghazal jaisaa thaa vo na meraa na main us kaa thaa magar ai 'daanaa' dhundlaa dhundlaa saa vo rishta bhi ghazal jaisaa thaa"
Abbas DanaAbbas Dana
Quote
"miraa khulus abhi sakht imtihaan mein hai ki mere dost kaa dushman miri amaan mein hai vo khush-nasib parinda hai jo uDaan mein hai ki tiir niklaa nahin hai abhi kamaan mein hai tumhaaraa naam liyaa thaa kabhi mohabbat se miThaas us ki abhi tak miri zabaan mein hai tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud tumhaare jism ki khushbu mire makaan mein hai kahaan milegaa hasinon ko daur-e-haazir mein vo shaahzaada jo pariyon ki daastaan mein hai hai jism sakht magar dil bahut hi naazuk hai ki jaise aaina mahfuz ik chaTaan mein hai tujhe jo zakhm de tu us ko phuul de 'daanaa' yahi usul-e-vafaa tere khaandaan mein hai"
Abbas DanaAbbas Dana
Quote
"zarf se baDh ke ho itnaa nahin maangaa jaataa pyaas lagti hai to dariyaa nahin maangaa jaataa chaand jaisi bhi ho beTi kisi muflisi ki to unche ghar vaalon se rishta nahin maangaa jaataa dosti kar ke havaa se jo jalaa dein ghar ko un charaaghon se ujaalaa nahin maangaa jaataa apne kamzor buzurgon kaa sahaaraa mat lo sukhe peDon se to saaya nahin maangaa jaataa peT bharte hain jo maange hue TukDe khaa kar un ke haathon se nivaala nahin maangaa jaataa bhiik bhi maango to tahzib kaa kaasa le kar haath phailaa ke khazaana nahin maangaa jaataa hai ibaadat ke liye shart aqidat 'daanaa' bandagi ke liye sajda nahin maangaa jaataa"
Abbas DanaAbbas Dana

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari