"nayaa khilaa hai shagufa koi bahaar mein kyaa gundhaa huaa hai miraa dil kisi ke haar mein kyaa uDaane phuul hasin aae hain bahaar mein kyaa lagi hai aag si ye aaj laala-zaar mein kyaa kisi se kahne ye aae hain vo sahar hote tamaam-raat kaTi mere intizaar mein kyaa tumhaare khaal kaa bosa nahin hai ginti mein zaraa si chiiz hai aaegi ye shumaar mein kyaa utaar li sar-e-baazaar jis ne rukh se naqaab hijaab aae use sau main kyaa hazaar mein kyaa ye surma chashm-e-adu ke liye uThaa rakkhein vo khaak Daalte hain chashm-e-etibaar mein kyaa banaaeinge dil-e-pur-daagh jama kar ke unhein chamakte dekhe hain zarre mire ghubaar mein kyaa ye mere dosh se hote nahin judaa dam-e-naza gaDeinge mere farishte mire mazaar mein kyaa hai intizaar ki mai-nosh khum liye pahunchein ghiri hain kal se ghaTaaein ye sabza-zaar mein kyaa jo dekhe saanp ke kaaTe ki lahr use aae bharaa hai zahr ab aisaa bhi zulf-e-yaar mein kyaa sharaab se bhi sivaa khush-gavaar hai ham ko bataaein kyaa ki mazaa paD gayaa udhaar mein kyaa kanaar-e-shauq mein aa kar hasin nikal na sake asar khudaa ne diyaa hai hamaare pyaar mein kyaa 'riyaaz' tauba karo din khizaan ke aae hain tum aae piine ko jaati hui bahaar mein kyaa"
baalaa-e-baam ghair hai mein aastaan par — Riyaz Khairabadi
"baalaa-e-baam ghair hai mein aastaan par chaahein jise chaDhaaein huzur aasmaan par kyuun naa-muraad aah gai aasmaan par TuuTe na aasmaan kahin meri jaan par rusvaaiyaan hain saath vo chhup kar hazaar jaan sau sau ke sar jhuke hain qadam ke nishaan par aanaa use zarur go hon laakh ehtimaam aashiq hai un ki niind miri daastaan par thaa raaz-daar-e-husn vo kaafir jo kah gayaa maashuq dil ki baat na laaein zabaan par un ki gali mein raat mein is vaza se gayaa ghabraa ke paasbaan gire paasbaan par naazuk si tegh-e-yaar hai kyaa zahr ki bujhi khaae hue hai zahr mire imtihaan par bante hain shokhiyon se vo suraj bhi chaand bhi naqsh-e-qadam bhi aap ke hain aasmaan par khalvat mein bhi chali hain kahin sina-zoriyaan is tarah aap tan ke uThe kis gumaan par zikr-e-mai-e-tahur ne taDpaa diyaa 'riyaaz' jaanaa paDaa hamein kisi unchi dukaan par"
بالائے بام غیر ہے میں آستان پر چاہیں جسے چڑھائیں حضور آسمان پر کیوں نامراد آہ گئی آسمان پر ٹوٹے نہ آسمان کہیں میری جان پر رسوائیاں ہیں ساتھ وہ چھپ کر ہزار جان سو سو کے سر جھکے ہیں قدم کے نشان پر آنا اسے ضرور گو ہوں لاکھ اہتمام عاشق ہے ان کی نیند مری داستان پر تھا راز دار حسن وہ کافر جو کہہ گیا معشوق دل کی بات نہ لائیں زبان پر ان کی گلی میں رات میں اس وضع سے گیا گھبرا کے پاسبان گرے پاسبان پر نازک سی تیغ یار ہے کیا زہر کی بجھی کھائے ہوئے ہے زہر مرے امتحان پر بنتے ہیں شوخیوں سے وہ سورج بھی چاند بھی نقش قدم بھی آپ کے ہیں آسمان پر خلوت میں بھی چلی ہیں کہیں سینہ زوریاں اس طرح آپ تن کے اٹھے کس گمان پر ذکر مے طہور نے تڑپا دیا ریاضؔ جانا پڑا ہمیں کسی اونچی دکان پر
बाला-ए-बाम ग़ैर है में आस्तान पर चाहें जिसे चढ़ाएँ हुज़ूर आसमान पर क्यूँ ना-मुराद आह गई आसमान पर टूटे न आसमान कहीं मेरी जान पर रुस्वाइयाँ हैं साथ वो छुप कर हज़ार जान सौ सौ के सर झुके हैं क़दम के निशान पर आना उसे ज़रूर गो हों लाख एहतिमाम आशिक़ है उन की नींद मिरी दास्तान पर था राज़-दार-ए-हुस्न वो काफ़िर जो कह गया मा'शूक़ दिल की बात न लाएँ ज़बान पर उन की गली में रात में इस वज़्अ से गया घबरा के पासबान गिरे पासबान पर नाज़ुक सी तेग़-ए-यार है क्या ज़हर की बुझी खाए हुए है ज़हर मिरे इम्तिहान पर बनते हैं शोख़ियों से वो सूरज भी चाँद भी नक़्श-ए-क़दम भी आप के हैं आसमान पर ख़ल्वत में भी चली हैं कहीं सीना-ज़ोरियाँ इस तरह आप तन के उठे किस गुमान पर ज़िक्र-ए-मय-ए-तहूर ने तड़पा दिया 'रियाज़' जाना पड़ा हमें किसी ऊँची दुकान पर

More by Riyaz Khairabadi
View all →"ku-e-dushman se use chhup ke nikalte dekhaa ham ne naqsh-e-qadam-e-yaar ko chalte dekhaa haae kyaa haal dam-e-vasl hamaaraa hogaa bosa lene mein tumhein rang badalte dekhaa abr ban kar jo baras paDne ko aayaa vaaiz be-tarah ham ne khum-e-mai ko ubalte dekhaa ye bhi piinaa hai koi chaal hai ye bhi koi har-qadam par unhein sau baar sambhalte dekhaa yahi aankhein hain ki jin mein nahin ab naam ko ashk inhin aankhon se kabhi khuun ubalte dekhaa hashr ke roz na taab abr-e-karam ko aai mujh gunahgaar ko jab dhuup mein jalte dekhaa gesu-e-hur kaho sabza-e-turbat kaisaa qabr-e-dushman se dhuaan ham ne nikalte dekhaa kucha-e-ishq mein allaah re paa-mardi-e-dil Thokarein khaa ke use ham ne sambhalte dekhaa ghair ke ghar se jhijakte hue tum nikle the rukte dekhaa tumhein phir chhup ke nikalte dekhaa dil mein kyaa jaan thi kyaa qatra-e-khun ki thi bisaat malte dekhaa use haathon se masalte dekhaa phuul laale kaa khilaa thaa ki shafaq shaam ki thi vasl ki raat ko bhi rang badalte dekhaa kabhi kuchh raat gae yaa kabhi kuchh raat rahe ham ne in parda-nashinon ko nikalte dekhaa khun-e-dil par hai abas rashk tiri mehndi ko apni hi aag mein ham ne use jalte dekhaa dil-e-betaab thaa yaa aag ki chingaari thi kis qadar jild unhein paa-posh se malte dekhaa vaah kyaa rang hai kyaa khuub tabiat hai 'riyaaz' ho zamin koi tumhein phulte-phalte dekhaa"
"zarur paanv mein apne hinaa vo mal ke chale na pahunche aaj bhi ghar tak mire vo kal ke chale ye dosti hai ki hai saath aag paani kaa jo nikli aah to saath ashk bhi nikal ke chale lahad se laai qayaamat hai paanv paD paD kar Thahar Thahar ke chale ham machal machal ke chale hazaaron Thokarein har ik qadam par us mein hain ye raah-e-ishq hai kyuun kar koi sambhal ke chale ye mujh ko vasl ki shab haae maut kyuun aai hinaa lagaa ke jo aae the haath mal ke chale tumhaari raah mein chalne ki hai khushi aisi ki saath naqsh-e-qadam bhi uchhal uchhal ke chale mazaa to aae jo lein rind baDh ke haathon-haath mazaa to aae kahin se jo mai ubal ke chale adaa se naaz se chalnaa qayaamat un kaa thaa jo mal ke dil ko kaleje masal masal ke chale chale vo shama jalaane mazaar par kis ke ki saath saath adu aag ho ke jal ke chale tumhaare gesu-e-pur-pech ne liyaa ham ko ki munh mein saanp ke yaa munh mein ham ajal ke chale uThaa janaaza to boli ye khaana-bardaari nayaa makaan hai kapDe nae badal ke chale hazaaron daagh hain dil mein jigar mein laakhon zakhm 'riyaaz' mahfil-e-khubaan se phul-phal ke chale"
"zamin mai-kada-e-arsh-e-barin maalum hoti hai ye khisht-e-khum farishte ki jabin maalum hoti hai pari uDne mein zulf-e-ambarin maalum hoti hai ye kaali shakl bhi kitni hasin maalum hoti hai miri hasrat tabassum-aafrin maalum hoti hai chhupi tere tabassum mein nahin maalum hoti hai shafaq kah le koi chaahe shafaq-gun aasmaan kah le hamein to ku-e-qaatil ki zamin maalum hoti hai chali hai tegh to kis naaz se tham tham ke ruk ruk kar ye kuchh un se ziyaada naaznin maalum hoti hai are saaqi zaraa meri sharaab-e-talkh to laanaa mai-e-kausar to bilkul angbin maalum hoti hai chhupi hai vo nigaah-e-shokh bhi mizhgaan ke saae mein chhuri bhi aaj zer-e-aastin maalum hoti hai ubhaaro to zaraa shaayad miraa Duubaa huaa dil ho koi shai bahr-e-gham mein tah-nashin maalum hoti hai nahin ab dard-e-dil lekin abhi tak hai asar kuchh kuchh chamak rah rah ke pahlu mein kahin maalum hoti hai asar Daalaa hai hasrat ne nigaah-e-shauq par kitnaa ki vo ab bhi nigaah vaapsin maalum hoti hai ye ai sayyaad rah rah kar chamakti hai kahaan bijli jahaan meraa nasheman thaa vahin maalum hoti hai lapak us ki chamak us ki vahi dam-kham vahi aalam ye bijli koi aah-e-aatishin maalum hoti hai 'riyaaz' aisi mire dil se lagi hai jaam-e-kausar ki mai-e-angur ab achchhi nahin maalum hoti hai"
"ye sidhe jo ab zulfon vaale hue hain hamaare hi sab bal nikaale hue hain tabassum-fazaa mere naale hue hain zaraa shokh ab sharm vaale hue hain mire haath par khele hain afi-e-zulf ye saanp aastinon ke paale hue hain nahin ham ko laghzish kaa Dar mai-kade mein ki do do farishte sambhaale hue hain ulajhte hain sote mein zulfon se kyaa kyaa vabaal un ko kaanon ke baale hue hain chhupaa kar bahut pi hai masjid mein vaaiz ye zarf-e-vuzu sab khangaale hue hain shab-e-vasl bole na ab dil mein aaein jo armaan mere nikaale hue hain alag hai khudaai se kuchh saakht un ki ye but aur saanche mein Dhaale hue hain jo yaad ab tak aate hain ahl-e-chaman ko qafas mein vahi naghme naale hue hain kisi par dam-e-hashr kyaa aankh Daalun hasin sab mire dekhe-bhaale hue hain junun rang laayaa hai phir fasl-e-gul mein nahin laala sab zakhm aale hue hain charaagh ab shab-e-vasl jalne na deinge vo gesu jo bal khaa ke kaale hue hain nazaakat ne teri giraayaa nazar se sab kitne bhaari doshaale hue hain ye ai shaikh gumbad nahin masjidon mein khum-e-mai hamaare uchhaale hue hain bhari bazm mein lutf-e-khalvat nahin hai vo nashshe mein hain ham sambhaale hue hain ye kahti hai mast aankh un ki shab-e-vasl kai aaj khaali pyaale hue hain bahe hain jo furqat mein aankhon se meri vo dariyaa to aankhein nikaale hue hain are kaanTo jo ashk mizhgaan se Tapke vahi paanv paD paD ke chhaale hue hain subu aab-e-zamzam se dho kar bhari mai achhute hain jitne khangaale hue hain javaani mein kyuun sar uThaaein na gesu ki ab Dasne vaale ye kaale hue hain vo mahshar mein kyaa aib kholeinge mere jo rahmat se ab parda Daale hue hain sunaa hai 'riyaaz' apni daaDhi baDhaa kar buDhaape mein allaah vaale hue hain"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"