SHAWORDS

badan par nai fasl aane lagi — Adil Mansuri

HomeAdil MansuriGhazal
"badan par nai fasl aane lagi havaa dil mein khvaahish jagaane lagi koi khud-kushi ki taraf chal diyaa udaasi ki mehnat Thikaane lagi jo chup-chaap rahti thi divaar par vo tasvir baatein banaane lagi khayaalon ke taarik khanDaraat mein khamoshi ghazal gungunaane lagi zaraa der baiThe the tanhaai mein tiri yaad aankhein dukhaane lagi"
Urdu

بدن پر نئی فصل آنے لگی ہوا دل میں خواہش جگانے لگی کوئی خودکشی کی طرف چل دیا اداسی کی محنت ٹھکانے لگی جو چپ چاپ رہتی تھی دیوار پر وہ تصویر باتیں بنانے لگی خیالوں کے تاریک کھنڈرات میں خموشی غزل گنگنانے لگی ذرا دیر بیٹھے تھے تنہائی میں تری یاد آنکھیں دکھانے لگی

Hindi

बदन पर नई फ़स्ल आने लगी हवा दिल में ख़्वाहिश जगाने लगी कोई ख़ुद-कुशी की तरफ़ चल दिया उदासी की मेहनत ठिकाने लगी जो चुप-चाप रहती थी दीवार पर वो तस्वीर बातें बनाने लगी ख़यालों के तारीक खंडरात में ख़मोशी ग़ज़ल गुनगुनाने लगी ज़रा देर बैठे थे तन्हाई में तिरी याद आँखें दुखाने लगी

badan par na.ī fasl aane lagī
Adil Mansuri
Adil Mansuri
Adil Mansuri
poet86 quotes

More by Adil Mansuri

View all →
Quote
"pahlu ke aar-paar guzartaa huaa saa ho ik shakhs aaine mein utartaa huaa saa ho jiitaa huaa saa ho kabhi martaa huaa saa ho ik shahr apne aap se Dartaa huaa saa ho saare kabira aap hi kartaa huaa saa ho ilzaam dusre hi pe dhartaa huaa saa ho har ik nayaa khayaal jo Tapke hai zehn se yuun lag rahaa hai jaise ki bartaa huaa saa ho qailula kar rahe hon kisi niim ke tale maidaan mein rakhsh-e-umr bhi chartaa huaa saa ho maashuq aisaa DhunDiye qahtur-rijaal mein har baat mein agartaa magartaa huaa saa ho phir baad mein vo qatl bhi kar de to harj kyaa lekin vo pahle pyaar bhi kartaa huaa saa ho gar daad tu na de na sahi gaaliyaan sahi apnaa bhi koi aib hunartaa huaa saa ho"
Adil MansuriAdil Mansuri
Quote
"jo chiiz thi kamre mein vo be-rabt paDi thi tanhaai-e-shab band-e-qabaa khol rahi thi aavaaz ki divaar bhi chup-chaap khaDi thi khiDki se jo dekhaa to gali uungh rahi thi baalon ne tiraa lams to mahsus kiyaa thaa lekin ye khabar dil ne baDi der se di thi haathon mein nayaa chaand paDaa haanp rahaa thaa raanon pe barahna si nami reing rahi thi yaadon ne use toD diyaa maar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhaain paDi thi duniyaa ki guzarte hue paDti thiin nigaahein shishe ki jagah khiDki mein rusvaai jaDi thi TuuTi hui mehraab se gumbad ke khanDar tak ik buDhe moazzin ki sadaa guunj rahi thi"
Adil MansuriAdil Mansuri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi