"gham-e-jahaan ke fasaane talaash karte hain ye fitna-gar to bahaane talaash karte hain rabaab-e-amn-o-sukun ke hasin taaron mein shikast-e-dil ke taraane talaash karte hain ye intihaa hai junun-e-has-parasti ki paraae ghar mein khazaane talaash karte hain nae nizaam ki buniyaad toDne vaale vafaa-shiaar puraane talaash karte hain sitam-navaaz dilon ko jo saazgaar na ho 'shakil' ham vo zamaane talaash karte hain"
bekaar gai aaD tire parda-e-dar ki — Shakeel Badayuni
"bekaar gai aaD tire parda-e-dar ki allaah-re vusat mire aaghosh-e-nazar ki pi shauq se vaaiz are kyaa baat hai Dar ki dozakh tire qabze mein hai jannat tire ghar ki imaan ki daulat se tire husn kaa saudaa imaan ki daulat hai tiri ek nazar ki aa jaae tasavvur mein koi hashr-ba-daamaan phir meri shab-e-gham ko zarurat hai sahar ki vo saamne hain phir bhi unhein DhunDh rahaa huun aakhir koi had bhi hai hijaabaat-e-nazar ki tanhaai-e-furqat mein jo aalam hai idhar kaa hangaama-e-mahfil mein vo haalat hai udhar ki kuchh sahl na paae hain mohabbat ke maraatib chhaani hai bahut khaak tiri raah-guzar ki"
بے کار گئی آڑ ترے پردۂ در کی اللہ رے وسعت مرے آغوش نظر کی پی شوق سے واعظ ارے کیا بات ہے ڈر کی دوزخ ترے قبضے میں ہے جنت ترے گھر کی ایمان کی دولت سے ترے حسن کا سودا ایمان کی دولت ہے تری ایک نظر کی آ جائے تصور میں کوئی حشر بداماں پھر میری شب غم کو ضرورت ہے سحر کی وہ سامنے ہیں پھر بھی انہیں ڈھونڈ رہا ہوں آخر کوئی حد بھی ہے حجابات نظر کی تنہائی فرقت میں جو عالم ہے ادھر کا ہنگامۂ محفل میں وہ حالت ہے ادھر کی کچھ سہل نہ پائے ہیں محبت کے مراتب چھانی ہے بہت خاک تری راہگزر کی
बेकार गई आड़ तिरे पर्दा-ए-दर की अल्लाह-रे वुसअ'त मिरे आग़ोश-ए-नज़र की पी शौक़ से वाइ'ज़ अरे क्या बात है डर की दोज़ख़ तिरे क़ब्ज़े में है जन्नत तिरे घर की ईमान की दौलत से तिरे हुस्न का सौदा ईमान की दौलत है तिरी एक नज़र की आ जाए तसव्वुर में कोई हश्र-ब-दामाँ फिर मेरी शब-ए-ग़म को ज़रूरत है सहर की वो सामने हैं फिर भी उन्हें ढूँढ रहा हूँ आख़िर कोई हद भी है हिजाबात-ए-नज़र की तन्हाई-ए-फ़ुर्क़त में जो आलम है इधर का हंगामा-ए-महफ़िल में वो हालत है उधर की कुछ सहल न पाए हैं मोहब्बत के मरातिब छानी है बहुत ख़ाक तिरी राह-गुज़र की

More by Shakeel Badayuni
View all →"niyaaz-o-naaz ki ye shaan-e-zebaai nahin jaati hamaari khud-sari un ki khud-aaraai nahin jaati hazaaron aaine ho kar muqaabil TuuT jaate hain magar husn-e-azal ki shaan-e-yaktaai nahin jaati koi dilkash nazaara ho koi dilchasp manzar ho tabi'at khud bahal jaati hai bahlaai nahin jaati mohabbat ki haqiqat kam nahin asraar-e-hasti se samajh letaa huun lekin mujh se samjhaai nahin jaati ba-zaahir zabt-e-paiham bhi sharik-e-dard-e-ulfat hai 'shakil' is par bhi apne dil ki rusvaai nahin jaati"
"dil lazzat-e-nigaah karam paa ke rah gayaa kitnaa hasin khvaab nazar aa ke rah gayaa lab tak shikaayat-e-gham-e-dil laa ke rah gayaa un ki nadaamaton pe main sharmaa ke rah gayaa mere dil-e-tabaah kaa aalam na puchhiye ik phuul thaa jo khilte hi murjhaa ke rah gayaa manzil se duur rahrav-e-manzil thaa mutmain manzil qarib aai to ghabraa ke rah gayaa shoridgi-e-naala-e-gustaakh kyaa kahun is qalb-e-naaznin ko bhi taDpaa ke rah gayaa be-gaana-vaar jab vo guzarte chale gae kuchh be-qaraar dil mujhe samjhaa ke rah gayaa un ke huzur lab to mukarrar na khul sake rudaad-e-gham nigaah se dohraa ke rah gayaa yuun khatm daastaan-e-mohabbat hui 'shakil' jaise koi hasin ghazal gaa ke rah gayaa"
"zamin par fasl-e-gul aai falak par maahtaab aayaa sabhi aae magar koi na shaayaan-e-shabaab aayaa miraa khat paDh ke bole naama-bar se jaa khudaa-haafiz javaab aayaa miri qismat se lekin laa-javaab aayaa ujaale garmi-e-raftaar kaa hi saath dete hain baseraa thaa jahaan apnaa vahin tak aaftaab aayaa 'shakil' apne mazaaq-e-did ki takmil kyaa hogi idhar nazron ne himmat ki udhar rukh par naqaab aayaa"
"kab tak 'shakil' dil ko duaa kijiyegaa aap behtar yahi hai un ko bhulaa dijiyegaa aap phir tishna-e-jamaal banaa dijiyegaa aap rukh se naqaab ulaT kar giraa dijiyegaa aap dil ke evaz to gham hi diyaa aap ne magar ab jaan bhi nazr kar duun to kyaa kijiyegaa aap hotaa jabin-e-husn pe gumnaamiyon kaa daagh vo to miri nazar ko duaa kijiyegaa aap ehsaas-e-tark-e-shauq bajaa hai magar 'shakil' maangaa javaab dil ne to kyaa dijiyegaa aap"
"fareb-e-mohabbat se ghaafil nahin huun jo mast-e-junun ho vo dil nahin huun unhein azm-e-tark-e-taalluq mubaarak main un ke iraadon mein haail nahin huun tiri bazm se hai bas itnaa taalluq ki shaamil bhi huun aur shaamil nahin huun qaum aur aghyaar ke mashvaron se main aisi inaayat kaa qaail nahin huun sambhal kar zaraa ai mohabbat ki kashti main tufaan hi tufaan huun saahil nahin huun miraa soz-e-hasti hai dur-az nadaamat main parvaana huun sham-e-mahfil nahin huun"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"