Quote
"ab vo saudaa nahin divaanon mein khaak uDti hai bayaabaanon mein gham-e-dauraan ko gila hai mujh se tu hi tu hai mire afsaanon mein dil-e-naadaan tiri haalat kyaa hai tu na apnon mein na begaanon mein bujh gai shama sahar se pahle aag jalti rahi parvaanon mein dil ne chhoDaa na umidon kaa khayaal phuul khilte rahe viraanon mein 'saif' pahlu mein ye aahaT gham ki kaun rotaa hai bayaabaanon mein"
