SHAWORDS

chheD kar tazkira-e-daur-e-javaani royaa — Jafar Tahir

HomeJafar TahirGhazal
"chheD kar tazkira-e-daur-e-javaani royaa raat yaaron ko sunaa kar main kahaani royaa zikr thaa kucha o baazaar ke hangaamon kaa jaane kyaa soch ke vo yusuf-e-saani royaa ghairat-e-ishq ne kyaa kyaa na bahaae aansu sun ke baatein tiri ghairon ki zabaani royaa jab bhi dekhi hai kisi chehre pe ik taaza bahaar dekh kar main tiri tasvir puraani royaa chashm-e-arbaab-e-vafaa hai jo lahu roti hai ghair phir ghair hai royaa bhi to paani royaa teri mahki hui saanson ki lavein yaad aaiin aaj to dekh ke main subh suhaani royaa ai vatan jab bhi sar-e-dasht koi phuul khilaa dekh kar tere shahidon ki nishaani royaa"
Urdu

چھیڑ کر تذکرۂ دور جوانی رویا رات یاروں کو سنا کر میں کہانی رویا ذکر تھا کوچہ و بازار کے ہنگاموں کا جانے کیا سوچ کے وہ یوسف ثانی رویا غیرت عشق نے کیا کیا نہ بہائے آنسو سن کے باتیں تری غیروں کی زبانی رویا جب بھی دیکھی ہے کسی چہرے پہ اک تازہ بہار دیکھ کر میں تری تصویر پرانی رویا چشم ارباب وفا ہے جو لہو روتی ہے غیر پھر غیر ہے رویا بھی تو پانی رویا تیری مہکی ہوئی سانسوں کی لویں یاد آئیں آج تو دیکھ کے میں صبح سہانی رویا اے وطن جب بھی سر دشت کوئی پھول کھلا دیکھ کر تیرے شہیدوں کی نشانی رویا

Hindi

छेड़ कर तज़किरा-ए-दौर-ए-जवानी रोया रात यारों को सुना कर मैं कहानी रोया ज़िक्र था कूचा ओ बाज़ार के हंगामों का जाने क्या सोच के वो यूसुफ़-ए-सानी रोया ग़ैरत-ए-इश्क़ ने क्या क्या न बहाए आँसू सुन के बातें तिरी ग़ैरों की ज़बानी रोया जब भी देखी है किसी चेहरे पे इक ताज़ा बहार देख कर मैं तिरी तस्वीर पुरानी रोया चश्म-ए-अरबाब-ए-वफ़ा है जो लहू रोती है ग़ैर फिर ग़ैर है रोया भी तो पानी रोया तेरी महकी हुई साँसों की लवें याद आईं आज तो देख के मैं सुब्ह सुहानी रोया ऐ वतन जब भी सर-ए-दश्त कोई फूल खिला देख कर तेरे शहीदों की निशानी रोया

chheḌ kar tazkira-e-daur-e-javānī royā
Jafar Tahir
Jafar Tahir
Jafar Tahir
poet25 quotes

More by Jafar Tahir

View all →
Quote
"har shai jahaan ki gard-o-ghubaar-e-khayaal hai aashob-gaah-e-dahr mein jiinaa muhaal hai ye gulshan-e-yaqin bhi ba-juz vahm kuchh nahin aalam jise kahein vo tilism-e-khayaal hai nairagi-e-nazar ke sivaa aur kuchh nahin dud-e-firaaq jalva-e-shaam-e-visaal hai ye naghma-e-vajud kisi raagni ki raakh ik chikh saaz-e-umr-e-abad kaa maaal hai har mauj hai ki haath se chhuTti hui inaan vo jast-o-khez hai ki sambhalnaa muhaal hai tapte dinon ki aag mein jiine ki aarzu shabnam ba-ru-e-gul araq-e-infiaal hai tanhaaiyon mein baiTh ke khud ko shikaar kar ye dasht-e-dil bhi dasht-e-khutan ki misaal hai"
Jafar TahirJafar Tahir
Quote
"pilaa ai giroh-e-sukhanvaraan koi sher-e-tar gul-e-taaza ras ye bahaar mein bhi khamoshiyaan na sar-e-junun na pae havas ye hai mai-kada jo baDhaa ke haath uThaa le jaam usi kaa hai na yahaan pe kaavish-e-besh-o-kam na yahaan pe tohmat-e-pesh-o-pas sharar-e-tabiat-e-aashiqaan sabab-e-tajalli-e-gulsitaan ye hinaa-e-shauq shafaq shafaq ye mai-e-nashaat nafas nafas hai siyaah-posh nazar nazar hai nafas nafas nae naala-gar vahi tira-bakhti-e-ahl-e-dil vahi zulmat-e-shab-e-taar-o-bas tah-e-taar-e-kisvat-e-ankabut ye taairaan-e-tarab-navaa sar takht-e-farq-e-humaa humaa ba-sad 'aafiyat hai magas magas ye kamaan-kashaan-e-zah-e-ghurur phirein hain kis ki talaash mein vo jo baagh-e-jaan ki bahaar the vo basaa chuke hain qafas qafas ye fazaa-e-dasht shuur-e-baagh-e-nishaat-o-khuld-e-surur hai na sukhan ki harza-kharoshiyaan na lab-e-sadaa na dam-e-jaras abhi phuul phuul hai jaan-ba-lab ye tap-e-balaa tapish ghazab abhi khul ke abr-e-karam baras abhi aur khul ke baras baras kabhi is taraf bhi guzar karo kabhi is taraf bhi nazar karo main faqir-e-gul-kada-e-vafaa mire barg-e-saaz ye khaar-o-khas"
Jafar TahirJafar Tahir
Quote
"nashshe mein chashm-e-naaz jo hansti nazar paDi tasvir-e-hoshiyaari-o-masti nazar paDi lahraai ek baar vo zulf-e-khirad-shikaar koi na phir bulandi-o-pasti nazar paDi uTThi thi pahli baar jidhar chashm-e-aarzu vo log phir mile na vo basti nazar paDi husn-e-butaan to aaina-e-husn-e-zaat hai zaahid ko us mein kufr-parasti nazar paDi yaarab kabhi tu bul-havason ko bhi de sazaa maanaa hamaari jaan to sasti nazar paDi su-e-chaman gae the bahaaraan samajh ke ham dekhaa to ek aag-parasti nazar paDi kaisi sabaa kahaan ki nasim-e-chaman na puchh naagin si phuul phuul ko Dasti nazar paDi muddat ke baad apni taraf phir gayaa khayaal tum kyaa mile ki surat-e-hasti nazar paDi shabnam ki buund buund ne hans hans ke jaan di 'taahir' kiran kiran bhi tarasti nazar paDi"
Jafar TahirJafar Tahir
Quote
"kahne ko yuun to abr-e-karam qatra-zan huaa vo gul khile nadim ki khun-e-chaman huaa ye daagh-e-dil ki jin se rivaaj-e-sahar chalaa nok-e-mizha pe ashk jo ubhraa kiran huaa patthar ki muratein nazar aati hain chaar-su yaarab tire jahaan ko ye kyaa dafatan huaa donon mein gunjti hain bahaaron ki dhaDkanein meri ghazal hui ki tumhaaraa badan huaa donon se ho rahaa hai nai subh kaa zuhur teri qabaa hui ki hamaaraa kafan huaa 'taahir' siyaah-faam hue ham to gham nahin raushan hamaare naam se naam-e-sukhan huaa"
Jafar TahirJafar Tahir
Quote
"gham-e-dauraan gham-e-jaanaan gham-e-jaan hai ki nahin dil-sitaan silsila-e-gham-zadagaan hai ki nahin har nafas bazm-e-gulistaan mein ghazal-khvaan thaa kabhi har nafas naala-kashaan nauha-kunaan hai ki nahin har nazar naghma-saraa anjuman-aaraa thi kabhi har nazar hairati-e-rang-e-jahaan hai ki nahin har zabaan par thaa kabhi tazkira-e-daur-e-bahaar har zabaan shikva-gar-e-jaur-e-khizaan hai ki nahin mai-chakaan baada-nishaan the lab-e-gul-rang kabhi lab-e-gul-rang pe zakhmon kaa gumaan hai ki nahin surma-e-chashm-e-inaayat ki hikaayat chhoDo aaj har aankh mein aahon kaa dhuaan hai ki nahin qaafile jaane ghaTaaon ke kahaan utreinge har kham-e-zulf ba-hasrat-nigaraan hai ki nahin dasht-e-vahshat se nahin kam ye jahaan-e-gul-o-bu surat-e-reg-e-ravaan umr-e-ravaan hai ki nahin naghma-e-baad-e-bahaari jise tum kahte ho jaras-e-qaafila-e-gul ki fughaan hai ki nahin na to bulbul ki navaa hai na sadaa-e-taaus sehn-e-gulzaar mein ab amn-o-amaan hai ki nahin mujh se kyaa puchhte ho kaun yahaan tak pahunchaa surkhi-e-khaar-e-bayaabaan se ayaan hai ki nahin zindagi kuchh bhi sahi phir bhi baDi daulat hai maut si shai bhi yahaan jins-e-giraan hai ki nahin surat-e-lutf-o-karam ye ho to dil kyuun na jale aag patthar ke bhi siine mein nihaan hai ki nahin zulm chup-chaap sahe jaaoge aakhir kab tak ai asiraan-e-qafas munh mein zabaan hai ki nahin ye adab-gaah-e-mohabbat hai jo chup huun 'taahir' varna yaan kaun saa andaaz-e-bayaan hai ki nahin"
Jafar TahirJafar Tahir
Quote
"ku-e-haram se nikli hai ku-e-butaan ki raah haae kahaan pe aa ke mili hai kahaan ki raah sad-aasmaan ba-daaman o sad-kahkashaan-ba-dosh baam-e-buland-e-yaar tire aastaan ki raah mulk-e-adam mein qaafila-e-ruh jaa basaa ham dekhte hi rah gae us bad-gumaan ki raah luTtaa rahaa hai zauq-e-nazar gaam gaam par ab kyaa rahaa hai paas jo ham lein vahaan ki raah ai zulf-e-kham-ba-kham tujhe apnaa hi vaasta hamvaar hone paae na umr-e-ravaan ki raah gul-haa-e-rang-rang hain afkaar-e-nau-ba-nau ye rahguzaar-e-sher hai kis gulsitaan ki raah 'taahir' ye manzilein ye maqaamaat ye haram allaah re ye raah ye ku-e-butaan ki raah"
Jafar TahirJafar Tahir

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari