SHAWORDS

chhiDaa pahle-pahal jab saaz-e-hasti — Bedam Shah Warsi

"chhiDaa pahle-pahal jab saaz-e-hasti to har parde ne di aavaaz-e-hasti khayaal-e-yaar tere sadqe jaaun tire dam se hai soz-o-saaz-e-hasti main marne ke liye paidaa huaa huun miraa anjaam hai aaghaaz-e-hasti sukun-e-kaaenaat-e-dil baqaa hai ajal ik jumbish-e-parvaaz-e-hasti miri khaak-e-sahar kaa zarra zarra hai 'bedam' makhzan-e-sad-raaz-e-hasti"
Urdu

چھڑا پہلے پہل جب ساز ہستی تو ہر پردے نے دی آواز ہستی خیال یار تیرے صدقے جاؤں ترے دم سے ہے سوز و ساز ہستی میں مرنے کے لیے پیدا ہوا ہوں مرا انجام ہے آغاز ہستی سکون کائنات دل بقا ہے اجل اک جنبش پرواز ہستی مری خاک سحر کا ذرہ ذرہ ہے بیدمؔ مخزن صد راز ہستی

Hindi

छिड़ा पहले-पहल जब साज़-ए-हस्ती तो हर पर्दे ने दी आवाज़-ए-हस्ती ख़याल-ए-यार तेरे सदक़े जाऊँ तिरे दम से है सोज़-ओ-साज़-ए-हस्ती मैं मरने के लिए पैदा हुआ हूँ मिरा अंजाम है आग़ाज़-ए-हस्ती सुकून-ए-काएनात-ए-दिल बक़ा है अजल इक जुम्बिश-ए-पर्वाज़-ए-हस्ती मिरी ख़ाक-ए-सहर का ज़र्रा ज़र्रा है 'बेदम' मख़्ज़न-ए-सद-राज़-ए-हस्ती

chhiḌā pahle-pahal jab sāz-e-hastī
Bedam Shah Warsi
Bedam Shah Warsi
Bedam Shah Warsi
poet68 quotes

More by Bedam Shah Warsi

View all →
Quote
"na suno mere naale hain dard-bhare daar-o-asare aah-e-sahare tumhein kyaa jo koi martaa hai mire ai dushman-e-jaan be-daad-gare tiri surmagin aankhon ke sadqe inhein chheD na panja-e-mizhgaan se abhi zakhm-e-jigar hain tamaam hare ai mahv-e-taghaaful be-khabare liyaa ishq mein jog bhikaari bane tire naqsh-e-qadam ke pujaari bane kabhi sajde kiye kabhi gird phire but sim-bare zarrin-kamre jo tu ne hazaaron vaade kiye lekin vo kabhi iifaa na hue dil hi hain rahe armaan mire ai vaada-shikan but hila-gire 'bedam' kahein kyaa kis tarah rahe mar mar ke jiye ji ji ke mare dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnun-e-shorida-sare"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"ham mai-kade se mar ke bhi baahar na jaaeinge mai-kash hamaari khaak ke saaghar banaaeinge vo ik kaheinge ham se to ham sau sunaaeinge munh aaeinge hamaare to ab munh ki khaaeinge kuchh chaarasaazi naalon ne ki hijr mein miri kuchh ashk mere dil ki lagi ko bujhaaeinge vo misl-e-ashk uTh nahin saktaa zamin se jis ko huzur apni nazar se giraaeinge jhonke nasim-e-subh ke aa aa ke hijr mein ik din charaagh-e-hasti-e-aashiq bujhaaeinge sahraa ki gard hogi kafan mujh gharib kaa uTh kar bagule meraa janaaza uThaaeinge ab Thaan li hai dil mein ki sar jaae yaa rahe jaise uThegaa baar-e-mohabbat uThaaeinge gardish ne meri charkh kaa chakraa diyaa dimaagh naalon se ab zamin ke tabaq thartharaaeinge 'bedam' vo khush nahin hain to achchhaa yunhi sahi naa-khush hi ho ke ghair miraa kyaa banaaeinge"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"mujhe jalvon ki us ke tamiz ho kyaa mere hosh-o-havaas bachaa hi nahin hai ye be-khabari ki khabar hi nahin vo naqaab uThaa ki uThaa hi nahin mire haal pe chhoD tabib mujhe ki azaab hai miri ziist mujhe meraa marnaa hi mere liye hai shifaa mere dard ki koi davaa hi nahin use DhunDte DhunDte kho gae hamein huaa kiyaa aur kyaa ho gae ham hamein pahron tak apni khabar hi nahin hamein koson tak apnaa pataa hi nahin miraa haal kharaab sunaa to kahaa ki vo saamne mere na aae kabhi mujhe rote jo dekhaa to hans ke kahaa ki ye sheva-e-ahl-e-vafaa hi nahin jahaan koi sitam ijaad kiyaa mujhe kah ke falak ne ye yaad kiyaa ki bas ek dil-e-'bedam' ke sivaa koi qaabil-e-mashq-e-jafaa hi nahin"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"ishq ke aasaar hain phir ghash mujhe aayaa dekho phir koi rauzan-e-divaar se jhaankaa dekho un ke milne ki tamannaa mein miTaa jaataa huun nai duniyaa hai mire shauq ki duniyaa dekho tuur par hi nahin nazzaara-e-jaanaan mauquf dekhnaa ho to vo maujud hai har jaa dekho asar-e-naala-e-aashiq nahin dekhaa tum ne thaam lo dil ko sambhal baiTho ab achchhaa dekho taur majnun ki nigaahon ke bataate hain hamein isi lailaa mein hai ik dusri lailaa dekho partav-e-mahr se maamur hai zarra zarra lahrein letaa hai har ik qatre mein dariyaa dekho duur ho jaaein jo aankhon se hijaabaat-e-dui phir to dil hi mein do-aalam kaa tamaashaa dekho sab mein DhunDaa unhein aur ki to na ki dil mein talaash nazar-e-shauq kahaan khaai hai dhokaa dekho nahin thamte nahin thamte mire aansu 'bedam' raaz-e-dil un pe huaa jaataa hai ifshaa dekho"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"qasr-e-jaanaan tak rasaai ho kisi tadbir se taair-e-jaan ke liye par maang luun main tiir se un ko kyaa dhokaa huaa mujh naa-tavaan ko dekh meri surat kyuun milaate hain miri tasvir se gaaliyaan de kar bajaae qum ke ai rashk-e-masih aap ne murde jilaae hain nai tadbir se sadqe ai qaatil tire mujh tishna-e-didaar ki tishnagi jaati rahi aab-e-dam-e-shamshir se ishve se ghamze se shokhi se adaa se naaz se miTne vaalaa huun miTaa diije kisi tadbir se ik savaal-e-vasl par do do sazaaein diin mujhe tegh se kaaTaa zabaan ko si diye lab tiir se kuchh na ho ai inqilaab-e-aasmaan itnaa to ho ghair ki qismat badal jaae meri taqdir se zindagi se kyuun na ho nafrat ki mahv-e-zulf huun qaid-e-hasti mujh ko 'bedam' kam nahin zanjir se"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi
Quote
"kyaa gila is kaa jo meraa dil gayaa mil gae tum mujh ko sab kuchh mil gayaa jis ko aankhein DhunDhti thiin paa gaiin dil ko jis ki justuju thi mil gayaa is gul-e-raanaa ne hans kar baat ki ghuncha-e-khaatir hamaaraa khil gayaa chhoD kar tu us ko ghairon se milaa khaak mein jo teri khaatir mil gayaa ban gai har mauj ik mauj-e-saraab tishna-lab jab main lab-e-saahil gayaa arz-e-haal-e-chaak-e-dil kyunkar karun saamne un ke gayaa munh sil gayaa ghair hi kyaa be-rukhi se aap ki aaj 'bedam' bhi bahut be-dil gayaa"
Bedam Shah WarsiBedam Shah Warsi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari