"hamari zindagi to mukhtasar si ik kahani thi bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana"

Bedam Shah Warsi
Bedam Shah Warsi
Sherशेर
See all 22 →hamari zindagi to mukhtasar si ik kahani thi
हमारी ज़िंदगी तो मुख़्तसर सी इक कहानी थी
us ko duniya aur na uqba chahiye
उस को दुनिया और न उक़्बा चाहिए
bedam ye mohabbat hai ya koi musibat hai
बेदम ये मोहब्बत है या कोई मुसीबत है
dene vaale tujhe dena hai to itna de de
देने वाले तुझे देना है तो इतना दे दे
ai junun kyuun liye jaata hai bayaban men mujhe
ऐ जुनूँ क्यूँ लिए जाता है बयाबाँ में मुझे
ab aadmi kuchh aur hamari nazar men hai
अब आदमी कुछ और हमारी नज़र में है
Popular Sher & Shayari
44 total"us ko duniya aur na uqba chahiye qais laila ka hai laila chahiye"
"bedam ye mohabbat hai ya koi musibat hai jab dekhiye afsurda jab dekhiye jab maghmum"
"dene vaale tujhe dena hai to itna de de ki mujhe shikva-e-kotahi-e-daman ho jaa.e"
"ai junun kyuun liye jaata hai bayaban men mujhe jab tujhe aata hai ghar ko mire sahra karna"
"ab aadmi kuchh aur hamari nazar men hai jab se suna hai yaar libas-e-bashar men hai"
hamaari zindagi to mukhtasar si ik kahaani thi
bhalaa ho maut kaa jis ne banaa rakkhaa hai afsaana
vo qulqul-e-minaa mein charche miri tauba ke
aur shisha-o-saaghar ki mai-khaane mein sargoshi
apnaa to ye mazhab hai kaaba ho ki but-khaana
jis jaa tumhein dekheinge ham sar ko jhukaa deinge
ab aadmi kuchh aur hamaari nazar mein hai
jab se sunaa hai yaar libaas-e-bashar mein hai
mujhe shikva nahin barbaad rakh barbaad rahne de
magar allaah mere dil mein apni yaad rahne de
tum jo chaaho to mire dard kaa darmaan ho jaae
varna mushkil hai ki mushkil miri aasaan ho jaae
Ghazalग़ज़ल
na suno mere naale hain dard-bhare daar-o-asare aah-e-sahare
न सुनो मेरे नाले हैं दर्द-भरे दार-ओ-असरे आह-ए-सहरे
ham mai-kade se mar ke bhi baahar na jaaeinge
हम मय-कदे से मर के भी बाहर न जाएँगे
mujhe jalvon ki us ke tamiz ho kyaa mere hosh-o-havaas bachaa hi nahin
मुझे जल्वों की उस के तमीज़ हो क्या मेरे होश-ओ-हवास बचा ही नहीं
ishq ke aasaar hain phir ghash mujhe aayaa dekho
इश्क़ के आसार हैं फिर ग़श मुझे आया देखो
qasr-e-jaanaan tak rasaai ho kisi tadbir se
क़स्र-ए-जानाँ तक रसाई हो किसी तदबीर से
kyaa gila is kaa jo meraa dil gayaa
क्या गिला इस का जो मेरा दिल गया





