"yak-ba-yak jaataa rahaa dilbar jo ghar aayaa huaa dauDaa dauDaa main phiraa galiyon mein ghabraayaa huaa jaan kyaa jallaad ki leve dobaaraa hukm-e-qatl munh se us zaalim ne jo yakbaar farmaayaa huaa hijr mein us gul ke ye surat hamaari ban gai rang bhi hai zard aur chehra bhi murjhaayaa huaa khaana-e-dil se karein gham yaar kaa kis tarah duur dar se uThtaa hai muhassal koi biThlaayaa huaa kyaa ghazab TuuTe hai dekhein aashiqon ki jaan par aaj kuchh ghusse mein hai baiThaa vo jhunjhlaayaa huaa yuun kiyaa barbaad us gul ne dil-e-pazh-murda ko pheink de hai phuul jaise koi kumlaayaa huaa 'muntazir' kaa ji jalaa de kyon na har ik baat mein hai vo zaalim shoala-khu ghairon kaa bhaDkaayaa huaa"
dekh kar ye chalan tumhaare ham — Muntazir Lakhnavi
"dekh kar ye chalan tumhaare ham khaak mein mil gae bechaare ham jin hain yaa dev bhuut hain kyaa hain nahin lagte jo tum ko pyaare ham be-qaraari se dil ki shab ko haae dar pe us ke bahut pukaare ham ye jo gulzaar saa hai rukh teraa leinge is baagh ko ijaare ham daagh ik tohfa le ke hasti mein su-e-mulk-e-adam sidhaare ham raat mahfil mein kaan mein us ke kah ke kuchh ho gae kinaare ham 'muntazir' dil ne dukh diyaa ye ki bas mar gae dard-o-gham ke maare ham"
دیکھ کر یہ چلن تمہارے ہم خاک میں مل گئے بے چارے ہم جن ہیں یا دیو بھوت ہیں کیا ہیں نہیں لگتے جو تم کو پیارے ہم بے قراری سے دل کی شب کو ہائے در پہ اس کے بہت پکارے ہم یہ جو گلزار سا ہے رخ تیرا لیں گے اس باغ کو اجارے ہم داغ اک تحفہ لے کے ہستی میں سوئے ملک عدم سدھارے ہم رات محفل میں کان میں اس کے کہہ کے کچھ ہو گئے کنارے ہم منتظرؔ دل نے دکھ دیا یہ کہ بس مر گئے درد و غم کے مارے ہم
देख कर ये चलन तुम्हारे हम ख़ाक में मिल गए बेचारे हम जिन हैं या देव भूत हैं क्या हैं नहीं लगते जो तुम को प्यारे हम बे-क़रारी से दिल की शब को हाए दर पे उस के बहुत पुकारे हम ये जो गुलज़ार सा है रुख़ तेरा लेंगे इस बाग़ को इजारे हम दाग़ इक तोहफ़ा ले के हस्ती में सू-ए-मुल्क-ए-अदम सिधारे हम रात महफ़िल में कान में उस के कह के कुछ हो गए किनारे हम 'मुंतज़िर' दिल ने दुख दिया ये कि बस मर गए दर्द-ओ-ग़म के मारे हम
More by Muntazir Lakhnavi
View all →"jis ki ba-khudaa us but-e-kaafir pe nazar hai chhaati hai pahaaD us ki to patthar kaa jigar hai ai dil dur-e-dandaan ko zaraa dekh to us ke kyaa durj mein yaaqut ki ye silk-e-guhar hai kyaa saaf kahun yaar ke rukhsaar kaa ausaaf ik ghairat-e-khurshid hai ek rashk-e-qamar hai binaai kahaan itni nazar aae jo mujh ko baarik rag-e-jaan se bhi kuchh us ki kamar hai kartaa hai dilaa kis liye tu yaar ko badnaam baais tiri rusvaai kaa ye dida-e-tar hai samjhun na judaai ko main kyon vasl se behtar surat tiri aankhon ke tale aaTh pahar hai rotaa hai vo hasrat pe tiri sokhta-jaan ki juun sham-e-sahar jo koi sargarm-e-safar hai"
"yaar se dast-o-garebaan na huaa thaa so huaa kabhi itnaa main pashemaan na huaa thaa so huaa vaaqai jaa-e-nadaamat to yahi hai ki kabhu mujh se jo kaam azizaan na huaa thaa so huaa tujh ko dekhe koi aur us se khafaa honaa haae kyaa karun ai dil-e-naadaan na huaa thaa so huaa kar ke nazzaara tan-e-saaf kaa us ke haihaat shakl-e-aaina jo hairaan na huaa thaa so huaa hanste hanste na sunaa thaa kahin ho khaana-kharaab rovo ab dida-e-giryaan na huaa thaa so huaa baal ve bikhre hue dekh ke rukh par us ke kabhu kaafir jo musalmaan na huaa thaa so huaa 'muntazir' is dil-e-betaab ke haathon shab-e-vasl kyaa kahein tum se miyaan jo na huaa thaa so huaa"
"vo un zulfon kaa aalam abtari kaa sabab thaa meri shorida-sari kaa pari ki si ho jis zaalim ki raftaar vo kyaa jaane jatan aadam-giri kaa ajab apnaa bhi hai maashuq be-aib hunar hai jis mein aashiq-parvari kaa tiri jaadu-nigaahi jis ne dekhi vo kab qaail hai sehr-e-saamri kaa ravaan hain lakht-e-dil yuun chashm-e-nam se musaafir juun chale rasta tari kaa sharaf ashaab-e-kahf uupar rakhe hai jo sag hai aastaan-e-haidari kaa badi mat kar kisi ki 'muntazir' tu agar khvaahaan hai apni behtari kaa"
"us shokh ke andaaz ko dekhaa to ghazab hai aur us ke sivaa naaz ko dekhaa to ghazab hai baaton mein jo chhal leve hai dil pir-o-javaan kaa us tifl-e-duaa-baar ko dekhaa to ghazab hai kyaa kyaa na kahaa us ne mujhe teri taraf se kaafir tire hamraaz ko dekhaa to ghazab hai har-chand ki hai tuti-e-hind ek hi khush-go par bulbul-e-shiraaz ko dekhaa to ghazab hai har-chand ki hai ishq kaa anjaam hi kuchh qahr har husn ke aaghaaz ko dekhaa to ghazab hai ham 'muntazir' itnaa na samajhte the use lek khuub us but-e-khud-saaz ko dekhaa to ghazab hai"
"umr bhar us pe main maraa hi kiyaa vo masihaa bhi dam diyaa hi kiyaa thaa vo naa-aashnaa-mizaaj vale aakhirash ham ne aashnaa hi kiyaa aashiqi ke sivaa bhi ham ne aur jo kiyaa kaam so buraa hi kiyaa kar gae qais-o-koh-kan jo jo ham ne us se bhi kuchh sivaa hi kiyaa go bhalaa yaa buraa thaa sher apnaa sun ke yaaron ne vaah-vaa hi kiyaa ik na ik us ki zulf-e-barham se pech dil par mire paDaa hi kiyaa shab-e-furqat mein 'muntazir' har roz shama saa dil miraa jalaa hi kiyaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"