SHAWORDS

dosti us ki dushmani hi sahi — Qalaq Merathi

HomeQalaq MerathiGhazal
"dosti us ki dushmani hi sahi dost to ho vo muddai hi sahi masti-o-bahs-e-uzr-e-kaffaara tauba se tauba ham ne ki hi sahi hai agar kuchh vafaa to kyaa kahne kuchh nahin hai to dil lagi hi sahi ji hai ye bin lage nahin rahtaa kuchh to ho shaghl-e-aashiqi hi sahi mohtasib khatm kijiye hujjat pi hai to khair ham ne pi hi sahi haif khamyaaz-haa-e-hasrat-o-shauq zindagaani kashaakashi hi sahi jaan de kar liyaa hai naam-e-vafaa maut bhi ham ne mol li hi sahi milte hain muddai se milne do ki miri naa-khushi khushi hi sahi bosa dene ki chiiz hai aakhir na sahi har ghaDi kabhi hi sahi qatl hote hain qatl hote hain ahd-e-dil daur-e-naadari hi sahi ai 'qalaq' naasehon se kyaa takraar maan ik baat maan li hi sahi"
Urdu

دوستی اس کی دشمنی ہی سہی دوست تو ہو وہ مدعی ہی سہی مستی و بحث عذر کفارہ توبہ سے توبہ ہم نے کی ہی سہی ہے اگر کچھ وفا تو کیا کہنے کچھ نہیں ہے تو دل لگی ہی سہی جی ہے یہ بن لگے نہیں رہتا کچھ تو ہو شغل عاشقی ہی سہی محتسب ختم کیجئے حجت پی ہے تو خیر ہم نے پی ہی سہی حیف خمیاز ہائے حسرت و شوق زندگانی کشاکشی ہی سہی جان دے کر لیا ہے نام وفا موت بھی ہم نے مول لی ہی سہی ملتے ہیں مدعی سے ملنے دو کہ مری ناخوشی خوشی ہی سہی بوسہ دینے کی چیز ہے آخر نہ سہی ہر گھڑی کبھی ہی سہی قتل ہوتے ہیں قتل ہوتے ہیں عہد دل دور نادری ہی سہی اے قلقؔ ناصحوں سے کیا تکرار مان اک بات مان لی ہی سہی

Hindi

दोस्ती उस की दुश्मनी ही सही दोस्त तो हो वो मुद्दई ही सही मस्ती-ओ-बहस-ए-उज़्र-ए-कफ़्फ़ारा तौबा से तौबा हम ने की ही सही है अगर कुछ वफ़ा तो क्या कहने कुछ नहीं है तो दिल लगी ही सही जी है ये बिन लगे नहीं रहता कुछ तो हो शग़्ल-ए-आशिक़ी ही सही मोहतसिब ख़त्म कीजिए हुज्जत पी है तो ख़ैर हम ने पी ही सही हैफ़ ख़मयाज़-हा-ए-हसरत-ओ-शौक़ ज़िंदगानी कशाकशी ही सही जान दे कर लिया है नाम-ए-वफ़ा मौत भी हम ने मोल ली ही सही मिलते हैं मुद्दई से मिलने दो कि मिरी ना-ख़ुशी ख़ुशी ही सही बोसा देने की चीज़ है आख़िर न सही हर घड़ी कभी ही सही क़त्ल होते हैं क़त्ल होते हैं अहद-ए-दिल दौर-ए-नादरी ही सही ऐ 'क़लक़' नासेहों से क्या तकरार मान इक बात मान ली ही सही

dostī us kī dushmanī hī sahī
Q
Qalaq Merathi
Qalaq Merathi
poet69 quotes

More by Qalaq Merathi

View all →
Quote
"kis qadar dilrubaa-numaa hai dil khaana-e-ghair ho gayaa hai dil har ghaDi kyuun na zalzale mein rahe mashhad-e-hasrat-o-vafaa hai dil maut bhi sahl kuchh nahin apni kis liye taaqat-aazmaa hai dil maslahat is mein ho na koi kaash dushman-e-jaan ho gayaa hai dil sab se lag chalne ki hui hai kho kis qadar sarf-e-aashnaa hai dil shaikh-e-sanaan kaa yaad hai qissa sakht kaafir buri balaa hai dil apni haalat mein mubtalaa huun aap dil-rubaa jaan hai jaan-rubaa hai dil balbe vaamaandgi ki tez ravi jaise jaane pe aa gayaa hai dil kis jafaa-kaar ki vafaa hai jaan kis sitam-kash kaa mudda'aa hai dil teri ulfat kaa naqd daagh-e-jigar meri hasrat kaa khun-bahaa hai dil kahiye kis se lagaa liyaa laggaa ai 'qalaq' kyuun ke lag chalaa hai dil"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"tere vaade kaa ikhtitaam nahin ki qayaamat pe bhi qayaam nahin bevafaai tumhaari aam hui ab kisi ko kisi se kaam nahin kis liye daava-e-zulekhaai ghair yusuf nahin ghulaam nahin vasl ke baad hijr kaa kyaa kaam duur gardun kaa intizaam nahin kaun suntaa hai naala-o-fariyaad charkh ko khauf-e-intiqaam nahin khaal-e-lab dekh kar huaa maalum koi daana baghair-e-daam nahin aap mein kyuun ki aauun jab ki tu aae khalvat-e-khaas bazm-e-aam nahin naala kartaa huun log sunte hain aap se meraa kuchh kalaam nahin jis jagah hai vahaan bhi hai bohtaan ki kisi jaa tiraa maqaam nahin roz-e-furqat ko roz-e-hashr na jaan shaam par bhi to ikhtitaam nahin hai khudaa hi 'qalaq' jo aaj bujhe subh hote nahin ki shaam nahin"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"na pahunche haath jis kaa zoaf se taa-zist daaman tak suraagh-e-khun ab is kaa mar ke jaae khaak gardan tak sar-o-saamaan se hain ye be-sar-o-saamaaniyaan apni ki hai josh-e-junun meraa garebaan-gir daaman tak na ki ghaflat se qadr-e-dil abas ilzaam dilbar par mataa-e-khufta ke jaane ke sau raste hain rahzan tak ye hiila bhi nahin kam maut ke aane ko gar aae na aae jo ki baalin par vo kyaa jaaegaa madfan tak kuchh aisaa ikhtilaat aapas se uTThaa is zamaane mein na qaatil aae hai mujh tak na jaae maut dushman tak miri mehnat kaa zaaea honaa hi to ik qayaamat hai ki baad-o-barq aafat mein raheinge mere khirman tak vafaa ki nazr hai meri hi jaan-e-hasrat-aaluda asar ki qadr hai meri hi aah-e-qaafila-zan tak ghubaar-e-dil kisi Dhab se na qaatil kaa huaa saabit ki saaf us ki havaa ki tegh mujh se mere kushtan tak main apne hausle se aur vo apne jaame se baahar na khanjar kaa use khaTkaa na yaan sarfa hai gardan tak nahin hotaa rafu chaak-e-garebaan-e-fanaa hargiz mangaain charkh-e-chaarum se agar iisaa ki sozan tak giraan-jaani chaman mein bhi nishaana ho gai aakhir ki baar-e-dosh-e-gulban hai miri shaakh-e-nasheman tak 'qalaq' martaa hai aur hotaa hai maatam kaa ye hangaama magar ronaa hai is kaa tu na aayaa bazm-e-shevan tak"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"vahi vaada hai vahi aarzu vahi apni umr-e-tamaam hai vahi chashm hai vahi raah hai vahi subh hai vahi shaam hai vahi khasta-haal kharaab hai vahi khvaab kushta-e-khvaab hai vahi zindagi ko javaab hai na salaam hai na payaam hai vahi josh naala-o-aah mein vahi shoala jaan-e-tabaah mein vahi barq-e-yaas nigaah mein jo khayaal hai so vo khaam hai vahi khvaab-o-khur ki talaash hai vahi jaan-o-dil mein kharaash hai vahi ranj-e-ghair-e-maaash hai mujhe zindagi bhi haraam hai vahi hijr dushman-e-vasl hai vahi marg-o-zist mein fasl hai vahi apne shaghl se shaghl hai vahi apne kaam se kaam hai vahi shaq jigar na siyo siyo vahi ziist hai na jiyo jiyo vahi khun-e-dil na piyo piyo vahi baada hai vahi jaam hai vahi shauq-e-raah hai rahnumaa vahi jalva-gaah hai rukh-kushaa vahi bazm-e-naaz hai jaa-ba-jaa vahi har qadam pe maqaam hai vahi nim-jaan dam-e-vaapsin vahi naala-kash sukhan-e-hazin vahi yaas-e-zist hai dil-nashin ki zabaan pe aap kaa naam hai vahi ranj hai to yuun hi sahi vo 'qalaq' hi thaa ki yuun hi nibhi miri aap ko bhi hai bandagi miraa ishq ko bhi salaam hai"
Q
Qalaq Merathi
Quote
"duuri mein kyuun ki ho na tamannaa huzur ki manzil ko meri qurb se nisbat hai duur ki furqat ne us ki vasl ki tashvish duur ki taskin nahin hai yuun bhi dil-e-naa-subur ki muusaa ke sar pe paanv hai ahl-e-nigaah kaa us ki gali mein khaak uDi koh-e-tur ki kahtaa hai anjuman ko tiri khuld muddai is bul-havas ke dil mein tamannaa hai huur ki vaaiz ne mai-kade ko jo dekhaa to jal gayaa phailaa gayaa charaand sharaab-e-tahur ki muusaa ko kyuun na mauj-e-tajalli dhakel de jalve se us ke gul hui mashal shuur ki arbaab-e-vaqt jaante hain rozgaar ne ki sahv se vafaa to talaafi zarur ki rusvaaiyon kaa hausla ghaT ghaT ke baDh gayaa saamaan hai khaamushi miri shor-e-nushur ki mel aasmaan kaa su-e-zamin be-sabab nahin zer-e-qadam jagah hai sar-e-pur-ghurur ki us se na miliye jis se mile dil tamaam umr sujhi hamein bhi hijr mein aakhir ko duur ki paamaal kar rahaa hai siyah-roziyon kaa josh miTTi kharaab hai mire kalabe mein nuur ki kyaa ek qurb-e-ghair kaa sadma na pochhiye hain dil ke aas paas balaa duur duur ki mazmun mire uDaae 'qalaq' sab ne is qadar suntaa huun main taraana zabaani tuyur ki"
Q
Qalaq Merathi

More on Dosti

View all →
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba