"honTon pe tabassum kaa labaada to nahin thaa ai dil sam-e-andoh ziyaada to nahin thaa ik ranj-e-tamannaa se bahut surkh thiin aankhein sad shukr-e-khudaa nashsha-e-bada to nahin thaa aae the tire paas ghaDi bhar ke liye ham taa-umr Thaharne kaa iraada to nahin thaa aasaan to pahle bhi nahin thi ye rah-e-dil mushkil bhi magar itnaa ye jaada to nahin thaa tahrir the khvaab aur tamanna ke havaale itnaa varaq-e-dil koi saada to nahin thaa"
ek harf-e-muddaaa thaa daastaan kaise huaa — Ahmad Azeem
"ek harf-e-muddaaa thaa daastaan kaise huaa reg kaa ye silsila aab-e-ravaan kaise huaa vo abhi hamraah thaa is zindagi ke dasht mein umr bhar kaa saath pal mein raaegaan kaise huaa aashnaai mein vo chehra surat-e-khurshid thaa ajnabi ho kar vahi chehra dhuaan kaise huaa dil to pahle hi lahu thaa dashnae-e-ayyaam se tujh se ye vaar-e-sitam ai mehrbaan kaise huaa ho gai shaayad khabar us ko fazaa mein zahr ki taaza-dam taair vagarna nim-jaan kaise huaa"
ایک حرف مدعا تھا داستاں کیسے ہوا ریگ کا یہ سلسلہ آب رواں کیسے ہوا وہ ابھی ہم راہ تھا اس زندگی کے دشت میں عمر بھر کا ساتھ پل میں رائیگاں کیسے ہوا آشنائی میں وہ چہرہ صورت خورشید تھا اجنبی ہو کر وہی چہرہ دھواں کیسے ہوا دل تو پہلے ہی لہو تھا دشنۂ ایام سے تجھ سے یہ وار ستم اے مہرباں کیسے ہوا ہو گئی شاید خبر اس کو فضا میں زہر کی تازہ دم طائر وگرنہ نیم جاں کیسے ہوا
एक हर्फ़-ए-मुद्दआ' था दास्ताँ कैसे हुआ रेग का ये सिलसिला आब-ए-रवाँ कैसे हुआ वो अभी हमराह था इस ज़िंदगी के दश्त में उम्र भर का साथ पल में राएगाँ कैसे हुआ आश्नाई में वो चेहरा सूरत-ए-ख़ुर्शीद था अजनबी हो कर वही चेहरा धुआँ कैसे हुआ दिल तो पहले ही लहू था दशना-ए-अय्याम से तुझ से ये वार-ए-सितम ऐ मेहरबाँ कैसे हुआ हो गई शायद ख़बर उस को फ़ज़ा में ज़हर की ताज़ा-दम ताइर वगर्ना नीम-जाँ कैसे हुआ

More by Ahmad Azeem
View all →"khizaan kaa sog yaa jashn-e-bahaar karte hue kaTi hai umr tiraa intizaar karte hue sharaf ye sirf muqaddar thaa aaine ke liye ki dekhtaa rahaa tujh ko singhaar karte hue safar ki shaam kaa manzar lahu mein Duub gayaa sabhi malul the tujh ko savaar karte hue lahu bujhaa na sakaa qaatilon ki pyaas kabhi thaki na shama patange shikaar karte hue banaao aab pe ik yaadgaar un ki 'azim' jo gharq ho gae dariyaa ko paar karte hue"
"ugaa viraaniyon kaa ik shajar aahista aahista shikasta ho gae divaar-o-dar aahista aahista kahaan jaataa hai ye sail-e-ravaan-e-umr-e-gum-gashta bahe jaate hain roz-o-shab kidhar aahista aahista mire dil ke kharaabe ko kabhi aabaad kar aise miri jaan ke bayaabaan se guzar aahista aahista hue ham donon khaakistar dhuaan uTThaa na aanch aai hui kyunkar zamaane ko khabar aahista aahista"
"bhaTakte phirte hain shahr-e-vafaa se nikle hue bahut malul hain ku-e-vafaa se nikle hue tilism-e-aab sabaat-e-gulaab aks-e-charaagh tamaam rang hain teri qabaa se nikle hue balaaein phirti hain khaali makaan mein shaayad paDe hain duur dariche havaa se nikle hue navaa mein karb vahi dil ki vahshatein bhi vahi go ek umr hui hai balaa se nikle hue ab intizaar yahi hai ki raakh uD jaae jhulas jhulas gae shoale navaa se nikle hue"
"ab na sahraa hai na dariyaa baaqi rah gai chashm-e-tamaashaa baaqi in havaaon ne na chhoDaa ab ke shaakh par ek bhi pattaa baaqi chhin gayaa zoam-e-gul-afshaani-e-lab rah gayaa honT pe nauha baaqi lauT jaane ke liye dasht-e-umid ab rahaa koi na rasta baaqi"
"jabr aur ikhtiyaar se aage kab gae is dayaar se aage ek aaiin hai tulu-o-ghurub jaise patjhaD bahaar ke aage kaun si mamlikat ki sarhad hai jism-o-jaan ke dayaar se aage khaamushi kaa muhib sahraa hai sabza-zaar-e-pukaar se aage baarishon se khili hai hariyaali shahr-e-gard-o-ghubaar se aage"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"