"bataa kyaa kyaa tujhe ai shauq-e-hairaan yaad aataa hai vo jaan-e-aarzu vo raahat-e-jaan yaad aataa hai pareshaan-khaatiri had se guzarti hai to vahshat ko kisi kaa aalam-e-zulf-e-pareshaan yaad aataa hai guzartaa hai kabhi jab chaudhvin kaa chaand badli se mahin aanchal mein un kaa ru-e-taabaan yaad aataa hai andheri raat mein jugnu chamakte hain to rah rah kar dupaTTe ke sitaaron kaa charaaghaan yaad aataa hai ufuq par phailti hain surkhiyaan jab subh-e-taaza ki koi siina pas-e-chaak-e-garebaan yaad aataa hai kali ko phuul bante dekh kar ahd-e-bahaaraan mein koi chehra bahut nau-khez-o-khandaan yaad aataa hai ghazal jab chheD detaa hai koi ahd-e-javaani ki kisi kaa jism-e-mauzun-o-ghazal-khvaan yaad aataa hai vo tufaan karvaTein letaa thaa jo ik jism-e-raaanaa mein vo tufaan ham-kinaari kaa vo tufaan yaad aataa hai vo armaan jo kisi ke shokh honTon par machaltaa thaa vo armaan bosa-e-lab kaa vo armaan yaad aataa hai vufur-e-shauq se khud haath apne chuum letaa huun vufur-e-shauq mein jab un kaa daamaan yaad aataa hai bahut kuchh yaad aataa hai 'rais' un ki judaai mein magar jaise koi khvaab-e-pareshaan yaad aataa hai"
gard mein aT rahe hain ehsaasaat — Rais Amrohvi
"gard mein aT rahe hain ehsaasaat dhime dhime baras rahi hai raat jal uThaa ik charaagh-e-shaam to kyaa bujh gae be-shumaar imkaanaat haae maazi ki dil-nashin yaadein haae khunkhaar bheDiyon ki baraat chyunTiyaan jaise zehan par reingein uf ye mere latif ehsaasaat bhuut ban kar mujhe Daraati rahin meri naa-aafrida takhliqaat kaun aayaa mire taaaqub mein vahi fikr-o-khayaal ke jinnaat dafatan kis ne qahqaha maaraa ye andhere mein kaun hai mire saat sarsar-e-shab kahaan ki patton mein karb-e-gham se karaahti hai hayaat mujh se mujh ko na chhin kar le jaae shaahzaadi-e-kishvar-e-zulmaat subh jaagaa to yaad bhi na rahaa raat thi chaandni ki chaandni raat tuda-e-reg o nakhl-e-khushk-e-chinaar chhup gai kis ki oT mein barsaat ye darakht-e-kuhan lisaan-ul-ghaib aur ye shaakh-e-khushk barg-e-nabaat kyaa yahi hai 'rais'-amrohvi uD ke aae hain duur se zarraat"
گرد میں اٹ رہے ہیں احساسات دھیمے دھیمے برس رہی ہے رات جل اٹھا اک چراغ شام تو کیا بجھ گئے بے شمار امکانات ہائے ماضی کی دل نشیں یادیں ہائے خونخوار بھیڑیوں کی برات چیونٹیاں جیسے ذہن پر رینگیں اف یہ میرے لطیف احساسات بھوت بن کر مجھے ڈراتی رہیں میری نا آفریدہ تخلیقات کون آیا مرے تعاقب میں وہی فکر و خیال کے جنات دفعتاً کس نے قہقہہ مارا یہ اندھیرے میں کون ہے مرے سات صرصر شب کہاں کہ پتوں میں کرب غم سے کراہتی ہے حیات مجھ سے مجھ کو نہ چھین کر لے جائے شاہزادیٔ کشور ظلمات صبح جاگا تو یاد بھی نہ رہا رات تھی چاندنی کہ چاندنی رات تودہ ریگ و نخل خشک چنار چھپ گئی کس کی اوٹ میں برسات یہ درخت کہن لسان الغیب اور یہ شاخ خشک برگ نبات کیا یہی ہے رئیسؔ امروہوی اڑ کے آئے ہیں دور سے ذرات
गर्द में अट रहे हैं एहसासात धीमे धीमे बरस रही है रात जल उठा इक चराग़-ए-शाम तो क्या बुझ गए बे-शुमार इम्कानात हाए माज़ी की दिल-नशीं यादें हाए खूँ-ख़्वार भेड़ियों की बरात च्यूंटियाँ जैसे ज़ेहन पर रेंगें उफ़ ये मेरे लतीफ़ एहसासात भूत बन कर मुझे डराती रहीं मेरी ना-आफ़्रीदा तख़लीक़ात कौन आया मिरे तआ'क़ुब में वही फ़िक्र-ओ-ख़याल के जिन्नात दफ़अ'तन किस ने क़हक़हा मारा ये अँधेरे में कौन है मिरे सात सरसर-ए-शब कहाँ कि पत्तों में कर्ब-ए-ग़म से कराहती है हयात मुझ से मुझ को न छीन कर ले जाए शाहज़ादी-ए-किश्वर-ए-ज़ुल्मात सुब्ह जागा तो याद भी न रहा रात थी चाँदनी कि चाँदनी रात तूदा-ए-रेग ओ नख़्ल-ए-ख़ुश्क-ए-चिनार छुप गई किस की ओट में बरसात ये दरख़्त-ए-कुहन लिसान-उल-ग़ैब और ये शाख़-ए-ख़ुश्क बर्ग-ए-नबात क्या यही है 'रईस'-अमरोहवी उड़ के आए हैं दूर से ज़र्रात

More by Rais Amrohvi
View all →"dayaar-e-shaahid-e-bilqis-adaa se aayaa huun main ik faqir huun shahr-e-sabaa se aayaa huun jahaan-e-nau ki talab aur is kharaabe mein savaad-e-istakhr-o-nainvaa se aayaa huun shab-e-siyaah-e-khizaan ke sumum-o-sar-sar tak nigaar-khaana-e-shubh-o-sabaa se aayaa huun abhi kahaan hai mujhe nauha-o-navaa kaa shuur ki ek naahiya-e-be-navaa se aayaa huun mire rumuz kaa irfaan kise nasib ki main sarosh-e-ruh-e-azal huun samaa se aayaa huun damak rahi hai zamaan-o-makaan ki peshaani sitaara-e-abadi huun khalaa se aayaa huun tumhaare ghuncha-o-gul se gharaz nahin mujh ko idhar ishaara-e-baad-e-sabaa se aayaa huun"
"ye faqat shorish-e-havaa to nahin koi mujh ko pukaartaa to nahin bol ai akhtar-e-ghunuda-e-subh koi raaton ko jaagtaa to nahin sun ki ye madd-o-jazr-e-saahil-e-bahr maajraaon kaa maajraa to nahin zehn par ek khurduri si lakir kankhajure kaa raastaa to nahin ret par chaDh rahi hai ret ki tah baabul o misr o nainvaa to nahin nok-e-har-khaar-o-khas hai khun-aalud ruh-e-sahraa barahna-paa to nahin ai miri jaan-e-mubtalaa ke sukun tu koi jaan-e-mubtalaa to nahin tere jism-e-hasin mein khvaabida baagh-e-jannat kaa azhdahaa to nahin"
"tiraa khayaal ki khvaabon mein jin se hai khushbu vo khvaab jin mein miraa paikar-e-khayaal hai tu sataa rahi hain mujhe bachpane ki kuchh yaadein vo garmiyon ke shab-o-roz dopahar ki vo lu pachaas saal ki yaadon ke naqsh aur naqshe vo koi nisf sadi qabl kaa zamaana-e-hu vo garm-o-khushk mahine vo jeTh vo baisaakh ki haafize mein kabhi aah hain kabhi aansu vo zaaein zaaein ke kitne muhib zanaaTe? fazaa kaa haul havaa ki vo vahshatein har su vo saaein saaein ke kitne ajiib sannaaTe? vo sansani vo pur-asraar ek aalam-e-hu vo dopahar vo habuDe vo seingi baai kuuT fazaa-e-shoala-bajaan o havaa-e-aatish-e-khu vo khiDkiyon mein havaaon ki sar-kashi tundi vo baam-o-dar pe musallat jahannami jaadu vo pech-o-taab bagulon kaa mere aangan main chuDelein ghar mein ghus aai hain khaul kar gesu vo lu kaa zor ki saare kivaaD bajte hain ki jaise lashkar-e-jinnaat kaa amal har su vo shor jaise bagulon mein bhuut hon raqsaan vo qaah-qaah vo haa-haa vo honk vo hu-hu guzar rahaa hai tasavvur se jeTh kaa mausam aur is samay mein mujhe yaad aa rahaa hai tu"
"siyaah hai dil-e-giti siyaah-tar ho jaae khudaa kare ki har ik shaam be-sahar ho jaae kuchh is ravish se chale baad-e-barg-e-rez-e-khizaan ki duur tak saf-e-ashjaar be-samar ho jaae bajaae rang rag-e-ghunchaa se lahu Tapke khile jo phuul to har barg-e-gul sharar ho jaae zamaana pi to rahaa hai sharaab-e-daanish ko khudaa kare ki yahi zahr kaargar ho jaae koi qadam na uThe su-e-manzil-e-maqsud duaa karo ki har ik raah pur-khatar ho jaae ye log rah-guzar-e-zist se bhaTak jaaein ajal qavaafil-e-hasti ki ham-safar ho jaae ba-qadr yak-do-nafs bhi giraan hai zahmat-e-zist hayaat-e-nau-e-bashar aur mukhtasar ho jaae"
"'rais' ham jo su-e-kucha-e-habib chale hamaare saath hazaaron balaa-nasib chale rafaaqaton ki saaadat liye rafiq aae raqaabaton ki nahusat liye raqib chale jo qaafile ki hamaari talab mein nikle the kabhi baiid se guzre kabhi qarib chale aqab mein haadisa-e-subh-o-shaam ke ifrit jilau mein gardish-e-ayyaam ke naqib chale jahaan ko jin ke nasibe pe rashk aataa thaa nikal ke apne gharon se vo bad-nasib chale ye chal-chalaav ajib-o-gharib thaa ai dost gharib log su-e-aalam-e-ajib chale"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"