Quote
"duniyaa se har rishta toDaa khud se ru-gardaani ki sirf tumhaaraa dhyaan rakhaa aur jiine mein aasaani ki majnun aur farhaad hue jab ishq mein sab barbaad hue tab jangal ne kuuch kiyaa sahraa ne naql-e-makaani ki us ki mohni surat jaise phulon kaa aameza hai aur us ki aavaaz hai goyaa re-gaa-maa-paa-dhaani ki bhuli-bisri yaad ne jab daryaaft kiyaa ahvaal miraa dil ne zakhm kalaam kiyaa aankhon ne ashk-bayaani ki ilm kaa dam bharnaa chhoDo bhi aur amal ko bhuul bhi jaao aaina-khaane mein ho saahib fikr karo hairaani ki"
