SHAWORDS

ham ehtiyaat ki aisi misaal dete hain — Sandeep Gupte

HomeSandeep GupteGhazal
"ham ehtiyaat ki aisi misaal dete hain tumhaaraa zikr bhi aae to Taal dete hain dikhaate phirte nahin dil ke zakhm duniyaa ko tamaam dard ko sheron mein Dhaal dete hain tumhein bhulaane ki koshish mein be-sabab ham bhi khud apne aap ko mushkil mein Daal dete hain ham intikhaab mein ziyaada nahin ulajhte hain agar gharaz paDe sikka uchhaal dete hain hamein qubul nahin chhoTaa munh baDi baatein misaal bante hain aur phir misaal dete hain"
Urdu

ہم احتیاط کی ایسی مثال دیتے ہیں تمہارا ذکر بھی آئے تو ٹال دیتے ہیں دکھاتے پھرتے نہیں دل کے زخم دنیا کو تمام درد کو شعروں میں ڈھال دیتے ہیں تمہیں بھلانے کی کوشش میں بے سبب ہم بھی خود اپنے آپ کو مشکل میں ڈال دیتے ہیں ہم انتخاب میں زیادہ نہیں الجھتے ہیں اگر غرض پڑے سکہ اچھال دیتے ہیں ہمیں قبول نہیں چھوٹا منہ بڑی باتیں مثال بنتے ہیں اور پھر مثال دیتے ہیں

Hindi

हम एहतियात की ऐसी मिसाल देते हैं तुम्हारा ज़िक्र भी आए तो टाल देते हैं दिखाते फिरते नहीं दिल के ज़ख़्म दुनिया को तमाम दर्द को शे'रों में ढाल देते हैं तुम्हें भुलाने की कोशिश में बे-सबब हम भी ख़ुद अपने आप को मुश्किल में डाल देते हैं हम इंतिख़ाब में ज़ियादा नहीं उलझते हैं अगर ग़रज़ पड़े सिक्का उछाल देते हैं हमें क़ुबूल नहीं छोटा मुँह बड़ी बातें मिसाल बनते हैं और फिर मिसाल देते हैं

ham ehtiyāt kī aisī misāl dete haiñ
Sandeep Gupte
Sandeep Gupte
Sandeep Gupte
poet21 quotes

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari