SHAWORDS

ham Thahre barbaad-e-mohabbat aalam saaraa jaane hai — Abdul Majeed Khan Majeed

"ham Thahre barbaad-e-mohabbat aalam saaraa jaane hai dil pe hamaare kyaa guzre hai dil hi hamaaraa jaane hai ai saahil se dekhne vaalo tum ko ye maalum nahin Dubne vaalaa kyon tinke ko apnaa sahaaraa jaane hai tum kyaa jaano ishq-e-butaan ko tum ne ishq kiyaa kab hai un ki adaa-e-jaur-o-sitam ko dard kaa maaraa jaane hai ham bhi haqiqat jaan rahe hain baiThe baiThe khvaabon ki vo hai nazar kaa dhokaa jis ko dil ye nazaaraa jaane hai galiyon galiyon phirtaa hai jo dil mein tumhaari yaad liye duniyaa us ko paagal samjhe aur bechaara jaane hai aap ise samjhein na samjhein ham ko hai maalum 'majid' koi to hai jo ham ko abhi tak aankh kaa taaraa jaane hai"
Urdu

ہم ٹھہرے برباد محبت عالم سارا جانے ہے دل پہ ہمارے کیا گزرے ہے دل ہی ہمارا جانے ہے اے ساحل سے دیکھنے والو تم کو یہ معلوم نہیں ڈوبنے والا کیوں تنکے کو اپنا سہارا جانے ہے تم کیا جانو عشق بتاں کو تم نے عشق کیا کب ہے ان کی ادائے جور و ستم کو درد کا مارا جانے ہے ہم بھی حقیقت جان رہے ہیں بیٹھے بیٹھے خوابوں کی وہ ہے نظر کا دھوکا جس کو دل یہ نظارا جانے ہے گلیوں گلیوں پھرتا ہے جو دل میں تمہاری یاد لیے دنیا اس کو پاگل سمجھے اور بیچارہ جانے ہے آپ اسے سمجھیں نہ سمجھیں ہم کو ہے معلوم مجیدؔ کوئی تو ہے جو ہم کو ابھی تک آنکھ کا تارا جانے ہے

Hindi

हम ठहरे बरबाद-ए-मोहब्बत आलम सारा जाने है दिल पे हमारे क्या गुज़रे है दिल ही हमारा जाने है ऐ साहिल से देखने वालो तुम को ये मालूम नहीं डूबने वाला क्यों तिनके को अपना सहारा जाने है तुम क्या जानो इश्क़-ए-बुताँ को तुम ने इश्क़ किया कब है उन की अदा-ए-जौर-ओ-सितम को दर्द का मारा जाने है हम भी हक़ीक़त जान रहे हैं बैठे बैठे ख़्वाबों की वो है नज़र का धोका जिस को दिल ये नज़ारा जाने है गलियों गलियों फिरता है जो दिल में तुम्हारी याद लिए दुनिया उस को पागल समझे और बेचारा जाने है आप इसे समझें न समझें हम को है मालूम 'मजीद' कोई तो है जो हम को अभी तक आँख का तारा जाने है

ham Thahre barbād-e-mohabbat aalam saarā jaane hai
Abdul Majeed Khan Majeed
Abdul Majeed Khan Majeed
Abdul Majeed Khan Majeed
poet49 quotes

More by Abdul Majeed Khan Majeed

View all →
Quote
"rah-e-vafaa mein ba-sad-shauq jab bhi ham nikle qadam qadam pe sabhi maail-e-sitam nikle nahin ye gesu-e-jaanaan ye zulf-e-giti hai har ek biich mein pinhaan hazaaron kham nikle anaa-pasandi-e-fitrat ko ab qaraar kahaan bahisht chhoD ke mushkil safar pe ham nikle mili na manzil-e-jaanaan rakhe na paa-e-talab qadam qadam pe muqaddar ke pech-o-kham nikle junun-e-shauq mein jin ko samajh rahaa thaa khudaa paDaa jo vaqt to miTTi ke vo sanam nikle tamaam umr chale saath phir bhi saath the kab 'majid' khuub tumhaare ye ham-qadam nikle"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed
Quote
"jin ke liye zamaane kaa ham zahr pi chale ho kar vo bad-gumaan ba-sad-be-rukhi chale kuchh der Thahriye ki zaraa dil ki baat ho aae abhi abhi hain janaab aur abhi chale ghar se nikal ke ham to sar-e-dasht aa gae dekhein kahaan talak ye gham-e-aashiqi chale jaise kabhi bhi ham se koi vaasta na ho vo chal rahe hain jaise koi ajnabi chale ham rah-ravaan-e-shauq ko manzil se kyaa gharaz ham ko jidhar tumhaari Dagar le chali chale apne lahu se khuub hue surkh-ru 'majid' ham par hazaar sang-e-sitam aaj bhi chale"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari