SHAWORDS

hissa-e-dard viraasat se ziyaada hi milaa — Faryad Aazar

HomeFaryad AazarGhazal
"hissa-e-dard viraasat se ziyaada hi milaa mujh ko shaayad miri qismat se ziyaada hi milaa gham zamaane kaa zaraa saa hi kharidaa thaa magar maal mujh ko miri qimat se ziyaada hi milaa vo siyaasat ne diye hon ki mohabbat ne tiri dil ko har zakhm zarurat se ziyaada hi milaa log jannat ke talabgaar hain lekin ai maan tu mili to mujhe jannat se ziyaada hi milaa laakh tadbir ne khushiyon ko manaayaa lekin ranj taqdir ko raahat se ziyaada hi milaa"
Urdu

حصۂ درد وراثت سے زیادہ ہی ملا مجھ کو شاید مری قسمت سے زیادہ ہی ملا غم زمانہ کا ذرا سا ہی خریدا تھا مگر مال مجھ کو مری قیمت سے زیادہ ہی ملا وہ سیاست نے دئے ہوں کہ محبت نے تری دل کو ہر زخم ضرورت سے زیادہ ہی ملا لوگ جنت کے طلب گار ہیں لیکن اے ماں تو ملی تو مجھے جنت سے زیادہ ہی ملا لاکھ تدبیر نے خوشیوں کو منایا لیکن رنج تقدیر کو راحت سے زیادہ ہی ملا

Hindi

हिस्सा-ए-दर्द विरासत से ज़ियादा ही मिला मुझ को शायद मिरी क़िस्मत से ज़ियादा ही मिला ग़म ज़माने का ज़रा सा ही ख़रीदा था मगर माल मुझ को मिरी क़ीमत से ज़ियादा ही मिला वो सियासत ने दिए हों कि मोहब्बत ने तिरी दिल को हर ज़ख़्म ज़रूरत से ज़ियादा ही मिला लोग जन्नत के तलबगार हैं लेकिन ऐ माँ तू मिली तो मुझे जन्नत से ज़ियादा ही मिला लाख तदबीर ने ख़ुशियों को मनाया लेकिन रंज तक़दीर को राहत से ज़ियादा ही मिला

hissa-e-dard virāsat se ziyāda hī milā
Faryad Aazar
Faryad Aazar
Faryad Aazar
poet20 quotes

More by Faryad Aazar

View all →
Quote
"isi futur mein karb-o-balaa se lipTe hue tamaam umr ganvaa di anaa se lipTe hue abhi bhi mil na saki in ki khaamushi ko zabaan ye log ab bhi hain saut-o-sadaa se lipTe hue havaa ke shahr mein bas saans lene aate hain vagarna ahl-e-zamin hain khalaa se lipTe hue har ek samt lagaa hai khamoshiyon kaa hujum ye kaun log hain koh-e-nidaa se lipTe hue hansi bhi aati hai in par taras bhi aataa hai ye nafraton ke pujaari khudaa se lipTe hue ham ibtidaa hi mein pahunche the intihaa ko kabhi ab intihaa mein bhi hain ibtidaa se lipTe hue main zindagi ke masaail se laDnaa chaahtaa huun magar vo haath nigaar-e-hinaa se lipTe hue vagarna khatm na hotaa gahan kabhi 'aazar' andhere khauf-zada the ziyaa se lipTe hue"
Faryad AazarFaryad Aazar
Quote
"paDaa thaa likhnaa mujhe khud hi marsiya meraa ki mere baad bhalaa aur kaun thaa meraa ajiib taur ki mujh ko sazaa sunaai gai badan ke neze pe sar rakh diyaa gayaa meraa yahi ki saans bhi lene na degi ab mujh ko ziyaada aur bigaaDegi kyaa havaa meraa main apni ruuh liye dar-ba-dar bhaTaktaa rahaa badan se duur mukammal vajud thaa meraa mire safar ko to sadiyaan guzar gaiin lekin falak pe ab bhi hai qaaem nishaan-e-paa meraa bas ek baar milaa thaa mujhe kahin 'aazar' banaa gayaa vo mujhi ko mujassama meraa"
Faryad AazarFaryad Aazar
Quote
"vo le rahaa thaa miraa imtihaan qiston mein khabar na thi ki nikaalegaa jaan qiston mein tamaam 'umr bhaTaktaa rahaa main khaana-ba-dosh kharid bhi na sakaa ik makaan qiston mein tamaam qarz adaa kar ke saahukaaron kaa bachaa hi lungaa buzurgon ki aan qiston mein ham ek saath har ik shai kharidte kyunkar ham aise log baDhaate hain shaan qiston mein basaa rahaa hai har ik fard ik alag hi jahaan bikhar rahaa hai har ik khaandaan qiston mein ham apne bachchon ko urdu se rakh ke naa-vaaqif miTaa rahe hain sunahri zabaan qiston mein"
Faryad AazarFaryad Aazar
Quote
"is tamaashe kaa sabab varna kahaan baaqi hai ab bhi kuchh log hain zinda ki jahaan baaqi hai ahl-e-sahraa bhi baDhe aate hain shahron ki taraf saans lene ko jahaan sirf dhuaan baaqi hai zindagi umr ke us moD pe pahunchi hai jahaan suud naapaid hai ehsaas-e-ziyaan baaqi hai DhunDhti rahti hai har lamha nigaah-e-dahshat aur kis shahr-e-mohabbat mein amaan baaqi hai main kabhi suud kaa qaail bhi nahin thaa lekin zindagi aur bataa kitnaa ziyaan baaqi hai maar kar bhi mire qaatil ko tasalli na hui main huaa khatm to kyuun naam-o-nishaan baaqi hai aisi khushiyaan to kitaabon mein mileingi shaayad khatm ab ghar kaa tasavvur hai makaan baaqi hai laakh 'aazar' rahein tajdid-e-ghazal se lipTe aaj bhi 'mir' kaa andaaz-e-bayaan baaqi hai"
Faryad AazarFaryad Aazar
Quote
"vus'at-e-sahraa ke aage aasmaan chhoTaa lagaa dhuup aisi thi ki sar ko saaebaan chhoTaa lagaa log khush-fahmi ke panjon par khaDe the fitratan aur yuun qad meraa un ke darmiyaan chhoTaa lagaa yaas mahrumi tazabzub karb khush-fahmi anaa itne saamaan the miraa tanhaa makaan chhoTaa lagaa ji rahaa hai vaa'da-e-fardaa pe tere ai khudaa varna is bande ko teraa ye jahaan chhoTaa lagaa ek ik lamhe kaa jab maangaa gayaa mujh se hisaab jaane kyon zehn-e-shahanshaah-e-zamaan chhoTaa lagaa duur se qatra bhi ik dariyaa nazar aayaa mujhe qurbaton ki zad mein bahr-e-bekaraan chhoTaa lagaa"
Faryad AazarFaryad Aazar

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari