"isi futur mein karb-o-balaa se lipTe hue tamaam umr ganvaa di anaa se lipTe hue abhi bhi mil na saki in ki khaamushi ko zabaan ye log ab bhi hain saut-o-sadaa se lipTe hue havaa ke shahr mein bas saans lene aate hain vagarna ahl-e-zamin hain khalaa se lipTe hue har ek samt lagaa hai khamoshiyon kaa hujum ye kaun log hain koh-e-nidaa se lipTe hue hansi bhi aati hai in par taras bhi aataa hai ye nafraton ke pujaari khudaa se lipTe hue ham ibtidaa hi mein pahunche the intihaa ko kabhi ab intihaa mein bhi hain ibtidaa se lipTe hue main zindagi ke masaail se laDnaa chaahtaa huun magar vo haath nigaar-e-hinaa se lipTe hue vagarna khatm na hotaa gahan kabhi 'aazar' andhere khauf-zada the ziyaa se lipTe hue"
paDaa thaa likhnaa mujhe khud hi marsiya meraa — Faryad Aazar
"paDaa thaa likhnaa mujhe khud hi marsiya meraa ki mere baad bhalaa aur kaun thaa meraa ajiib taur ki mujh ko sazaa sunaai gai badan ke neze pe sar rakh diyaa gayaa meraa yahi ki saans bhi lene na degi ab mujh ko ziyaada aur bigaaDegi kyaa havaa meraa main apni ruuh liye dar-ba-dar bhaTaktaa rahaa badan se duur mukammal vajud thaa meraa mire safar ko to sadiyaan guzar gaiin lekin falak pe ab bhi hai qaaem nishaan-e-paa meraa bas ek baar milaa thaa mujhe kahin 'aazar' banaa gayaa vo mujhi ko mujassama meraa"
پڑا تھا لکھنا مجھے خود ہی مرثیہ میرا کہ میرے بعد بھلا اور کون تھا میرا عجیب طور کی مجھ کو سزا سنائی گئی بدن کے نیزے پہ سر رکھ دیا گیا میرا یہی کہ سانس بھی لینے نہ دے گی اب مجھ کو زیادہ اور بگاڑے گی کیا ہوا میرا میں اپنی روح لیے در بہ در بھٹکتا رہا بدن سے دور مکمل وجود تھا میرا مرے سفر کو تو صدیاں گزر گئیں لیکن فلک پہ اب بھی ہے قائم نشان پا میرا بس ایک بار ملا تھا مجھے کہیں آزرؔ بنا گیا وہ مجھی کو مجسمہ میرا
पड़ा था लिखना मुझे ख़ुद ही मर्सिया मेरा कि मेरे ब'अद भला और कौन था मेरा अजीब तौर की मुझ को सज़ा सुनाई गई बदन के नेज़े पे सर रख दिया गया मेरा यही कि साँस भी लेने न देगी अब मुझ को ज़ियादा और बिगाड़ेगी क्या हवा मेरा मैं अपनी रूह लिए दर-ब-दर भटकता रहा बदन से दूर मुकम्मल वजूद था मेरा मिरे सफ़र को तो सदियाँ गुज़र गईं लेकिन फ़लक पे अब भी है क़ाएम निशान-ए-पा मेरा बस एक बार मिला था मुझे कहीं 'आज़र' बना गया वो मुझी को मुजस्समा मेरा

More by Faryad Aazar
View all →"hissa-e-dard viraasat se ziyaada hi milaa mujh ko shaayad miri qismat se ziyaada hi milaa gham zamaane kaa zaraa saa hi kharidaa thaa magar maal mujh ko miri qimat se ziyaada hi milaa vo siyaasat ne diye hon ki mohabbat ne tiri dil ko har zakhm zarurat se ziyaada hi milaa log jannat ke talabgaar hain lekin ai maan tu mili to mujhe jannat se ziyaada hi milaa laakh tadbir ne khushiyon ko manaayaa lekin ranj taqdir ko raahat se ziyaada hi milaa"
"vo le rahaa thaa miraa imtihaan qiston mein khabar na thi ki nikaalegaa jaan qiston mein tamaam 'umr bhaTaktaa rahaa main khaana-ba-dosh kharid bhi na sakaa ik makaan qiston mein tamaam qarz adaa kar ke saahukaaron kaa bachaa hi lungaa buzurgon ki aan qiston mein ham ek saath har ik shai kharidte kyunkar ham aise log baDhaate hain shaan qiston mein basaa rahaa hai har ik fard ik alag hi jahaan bikhar rahaa hai har ik khaandaan qiston mein ham apne bachchon ko urdu se rakh ke naa-vaaqif miTaa rahe hain sunahri zabaan qiston mein"
"hazaaron khvaahishein rakhne ki majburi nahin hoti havas insaan ki lekin kabhi puuri nahin hoti hamaare jaise bhi qurbaan hue har ahd mein kitne anal-haq ki sadaa har baar mansuri nahin hoti ye kaise jurm ki paadaash hai ye zindagi jis se rihaai mil to jaati hai sazaa puuri nahin hoti masaail se ulajhnaa shaan mardon ki sahi lekin na ho gar tazkira teraa ghazal puuri nahin hoti"
"is tamaashe kaa sabab varna kahaan baaqi hai ab bhi kuchh log hain zinda ki jahaan baaqi hai ahl-e-sahraa bhi baDhe aate hain shahron ki taraf saans lene ko jahaan sirf dhuaan baaqi hai zindagi umr ke us moD pe pahunchi hai jahaan suud naapaid hai ehsaas-e-ziyaan baaqi hai DhunDhti rahti hai har lamha nigaah-e-dahshat aur kis shahr-e-mohabbat mein amaan baaqi hai main kabhi suud kaa qaail bhi nahin thaa lekin zindagi aur bataa kitnaa ziyaan baaqi hai maar kar bhi mire qaatil ko tasalli na hui main huaa khatm to kyuun naam-o-nishaan baaqi hai aisi khushiyaan to kitaabon mein mileingi shaayad khatm ab ghar kaa tasavvur hai makaan baaqi hai laakh 'aazar' rahein tajdid-e-ghazal se lipTe aaj bhi 'mir' kaa andaaz-e-bayaan baaqi hai"
"vus'at-e-sahraa ke aage aasmaan chhoTaa lagaa dhuup aisi thi ki sar ko saaebaan chhoTaa lagaa log khush-fahmi ke panjon par khaDe the fitratan aur yuun qad meraa un ke darmiyaan chhoTaa lagaa yaas mahrumi tazabzub karb khush-fahmi anaa itne saamaan the miraa tanhaa makaan chhoTaa lagaa ji rahaa hai vaa'da-e-fardaa pe tere ai khudaa varna is bande ko teraa ye jahaan chhoTaa lagaa ek ik lamhe kaa jab maangaa gayaa mujh se hisaab jaane kyon zehn-e-shahanshaah-e-zamaan chhoTaa lagaa duur se qatra bhi ik dariyaa nazar aayaa mujhe qurbaton ki zad mein bahr-e-bekaraan chhoTaa lagaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"