"dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain gavaahi ko chhupaate hain to manzar bol uThte hain miri sachchaai meri be-gunaahi sab pe zaahir hai ki ab jangal kuein sahraa samundar bol uThte hain vo patthar-dil sahi lekin hamaaraa bhi ye daavaa hai hamaare lab jinhein chhu lein vo patthar bol uThte hain badal jaate hain ik lamhe mein hi taarikh ke dhaare kabhi jo mauj mein aa kar qalandar bol uThte hain ye kyaa jaadu hai vo jab bhi mire milne ko aataa hai khushi se ghar ke sab divaar aur dar bol uThte hain zabaan-e-haq kisi ke jabr se bhi ruk nahin sakti ki neze ki ani par bhi Tange sar bol uThte hain labon ki qaid se kyaa farq aayaa dil ki baaton mein ki saare lafz aankhon se ubhar kar bol uThte hain ajab ahl-e-sitam ahl-e-vafaa mein Than gai 'haidar' sitam karte hain vo aur ye mukarrar bol uThte hain"
mere us ke darmiyaan jo faasla rakkhaa gayaa — Haider Qureshi
"mere us ke darmiyaan jo faasla rakkhaa gayaa us ke tai karne ko bhi ik raasta rakkhaa gayaa 'aks kho jaaein agar halkaa saa kankar bhi gire paaniyon mein ek aisaa aainaa rakkhaa gayaa sab taqaaze vaise puure ho gae insaaf ke bas faqat mahfuz meraa faisla rakkhaa gayaa naa-rasaai ki aziyyat hi rahi apnaa nasib mil gai ruhein to jismon ko judaa rakkhaa gayaa bhar ke aankhon mein sulagte khvaab us ki yaad ke mujh ko sote mein bhi 'haidar' jaagtaa rakkhaa gayaa"
میرے اس کے درمیاں جو فاصلہ رکھا گیا اس کے طے کرنے کو بھی اک راستہ رکھا گیا عکس کھو جائیں اگر ہلکا سا کنکر بھی گرے پانیوں میں ایک ایسا آئنا رکھا گیا سب تقاضے ویسے پورے ہو گئے انصاف کے بس فقط محفوظ میرا فیصلہ رکھا گیا نارسائی کی اذیت ہی رہی اپنا نصیب مل گئی روحیں تو جسموں کو جدا رکھا گیا بھر کے آنکھوں میں سلگتے خواب اس کی یاد کے مجھ کو سوتے میں بھی حیدرؔ جاگتا رکھا گیا
मेरे उस के दरमियाँ जो फ़ासला रक्खा गया उस के तय करने को भी इक रास्ता रक्खा गया 'अक्स खो जाएँ अगर हल्का सा कंकर भी गिरे पानियों में एक ऐसा आइना रक्खा गया सब तक़ाज़े वैसे पूरे हो गए इंसाफ़ के बस फ़क़त महफ़ूज़ मेरा फ़ैसला रक्खा गया ना-रसाई की अज़िय्यत ही रही अपना नसीब मिल गई रूहें तो जिस्मों को जुदा रक्खा गया भर के आँखों में सुलगते ख़्वाब उस की याद के मुझ को सोते में भी 'हैदर' जागता रक्खा गया

More by Haider Qureshi
View all →"fasl-e-gham ki jab nau-khezi ho jaati hai dard ki maujon mein bhi tezi ho jaati hai paani mein bhi chaand sitaare ug aate hain aankh se dil tak vo zarkhezi ho jaati hai andar ke jangal se aa jaati hain yaadein aur fazaa mein sandal-bezi ho jaati hai khushiyaan gham mein bilkul ghul-mil si jaati hain aur nashaat mein gham-angezi ho jaati hai shirin se lahje mein bhar jaati hai talkhi hila-jui jab parvezi ho jaati hai be-had power jis ko bhi mil jaae us ki tarz yazidi yaa changezi ho jaati hai ghazlon mein vaise to sach kahtaa huun lekin kuchh na kuchh to rang-aamezi ho jaati hai husn tumhaaraa to hai sach aur khair saraapaa ham se hi bas shar-angezi ho jaati hai zaahir kaa parda haTne vaali manzil par saalik se bhi bad-parhezi ho jaati hai 'rumi' ko 'haidar' jab bhi paDhne lagtaa huun baatin ki duniyaa tabrezi ho jaati hai"
"'ajib karb-o-balaa ki hai raat aankhon mein sisakti pyaas labon par furaat aankhon mein tumhein to gardish-e-dauraan ne raund Daalaa hai rahi na koi bhi pahli si baat aankhon mein qataar-vaar sitaaron ki jagmagaahaT se sajaa ke laae hain gham ki baraat aankhon mein phir us ko daaman-e-dil mein kahaan kahaan rakkhein sameT sakte hain jo kaaenaat aankhon mein bikhar gae hain milan ke tamaam din 'haidar' Thahar gai hai judaai ki raat aankhon mein"
"tumhaare ishq mein kis kis tarah kharaab hue rahaa na aalam-e-hijraan na vasl-yaab hue bas itni baat thi do din kabhi na mil paaein kahin pe tapte hue thal kahin chanaab hue ajab sazaa hai ki mere duaaon vaale huruf na mustarad hue ab tak na mustajaab hue zihaanatein thiin tiri yaa anaaDi-pan apnaa savaal vasl se pahle hi laa-javaab hue haqiqat itni hai us ke mire taalluq ki kisi ke dukh the mire naam intisaab hue jise samajhte the sahraa vo ik samundar thaa khilaa vo shakhs to ham kaise aab aab hue na aayaa Dhang hamein koi ishq kaa 'haidar' na dil ke zakhmon ke ham se kabhi hisaab hue"
"ik khvaab ki jo aankh bhigone ke liye hai ik yaad ki siine mein chubhone ke liye hai ik zakhm ki sab zakhm bhulaa Daale hain jis ne ik gham ki jo taa-umr bhulaane ke liye hai ik ruuh ki sonaa hai magar mail bhari bhi ik aag isi mail ko dhone ke liye hai aankhon mein abhi dhuul si lamhon ki jami hai dil mein koi sailaab saa rone ke liye hai dil ko to bahut pahle se dhaDkaa saa lagaa thaa paanaa tiraa shaayad tujhe khone ke liye hai kashti kaa ye hachkolaa ye mallaah kaa chakkar kashti ko nahin mujh ko Dubone ke liye hai taqdir se laD saktaa hai koi kahaan 'haidar' vo haadsa honaa hai jo hone ke liye hai"
"vasl ki shab thi aur ujaale kar rakkhe the jism o jaan sab us ke havaale kar rakkhe the jaise ye pahlaa aur aakhiri mel huaa ho haal to donon ne behaale kar rakkhe the khoj rahe the ruuh ko jismon ke raste se taur-tariqe paagalon vaale kar rakkhe the ham se naa-daanon ne ishq ki barkat hi se kaise kaise kaam niraale kar rakkhe the vo bhi thaa kuchh halke halke se make-up mein baal apne ham ne bhi kaale kar rakkhe the apne aap hi aayaa thaa phir marham ban kar jis ne hamaare dil mein chhaale kar rakkhe the 'haidar' apni taasirein le aae aakhir hijr mein ham ne jitne naale kar rakkhe the"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"